Mere apne mujhse har roz kaha krte hain
Hum tere liye kuch yu dara krte hain
Masoom sa chehra,Dil hai khara sona
Dekh kr kisi aur ke aaso tujhe yu hi aa jata hai rona
Jis duniya mein tu rehti hai
Waha Dil ki kaha chalti hai
Rishton mein ab woh baat nhi
Jo kuch lafzon mein suljhe waise ab haalat nhi
Daur yeh hai anjana sa
Shakal hai kuch pechana sa
Arre ,Humse kahi ache hai woh kaid bne panchi hai
Beediyan unki pairon ki na Mann ko rok sake
Hum toh azaad ho kr bhi apno ke na jazbaat samjh sake
Lohe ki zanjeer ab kaha kaam aayegi
Jab Dilon mein hi hai diwaar khade toh Sangam ki shaam kaha aayegi
Kehne ko yu toh hum insaan bade
Atrangi aajoobe kr jate hai
Par jab aaye baat insaniyat ki
Toh hum patthar kyu ban jate hai.Jo haath kabhi apne haath mein lekar hum Mela ghuma krte the
Aaj ussi hathon ke kanjar ke zakhm hum Dil mein lekar rehte hai
Duniya ab utni paak nhi Jo tujhe samjh payegi
Teri masoomiyat ko yeh taar taar kar jayegiMere apne mujhse har roz kaha krte hai
Hum tere liye kuch yu dara krte hai.- Aushadhi