EIGHT~

207 17 48
                                    

31st December, 2012
Monday

Parhai acchi chal rahi hain. Beech mein kaafi dheeli hogayi thi. Ek toh naye naye relationship ke chakkar mein, dusri rahi yeh fever. Kya dangerous bukhar charha tha. Hosh bhi nahi thi kuch din toh. Hardik ke saath bheeg ke aayi thi ekdin bohot der tak. Bass! Usi ka action tha shayad. Khair, Hardik ke pyaar mein pata nahi aur kya kya ho jayega. But mujhe chalega.

Isi beech ekdin Virat Sir ne personally mujhe aur Rishu ko bulaya tha apne cabin mein. Bohot der tak samjhaya unhone humein ki chahe jo bhi karey, parhai se focus nahi hatni chahiye. Sir ko bohot umeed hain humsey. Humare sabke favourite Professor Nanda sabke baarein mein bohot sochte hain. I think he and M.S Sir are the best teachers one could ever get.

Hardik bhi alag hi respect karta hain unka. I have never seen him admiring anyone so much as much he admires them. Sochnewali baat hain ki yeh izzat unhone kamaye hain. The elites too would do anything to impress them or do something for them. Aur humlog toh hain hi unkey chamche.

Anyways, aaj bade dino baad likhne layak kuch huya, warna pre tests aur exams sirh pe aaney ke chakkar mein toh likhne layak kuch ho bhi nahi raha tha aur mann bhi nahi kar raha tha.

Bohot din baad Rishu ke ghar gayi thi. Pehele school ke wakt toh wahi parih reheti thi adha time. Rukmini Aunty bohot pyaar karti hain mujhse. Jab bhi jaati hoon apne haathon se kuch bana ke khilati hain aur ussdin cooks ka chhutti. Rajneesh Uncle Bengal se hain. Bachpan se yaha paley barey hain isiliye bengali boltey nahi hain utna.

Aur Rishu ka toh Delhi wala language hain completely. Yeh banda rajput gharane ka hain dekh ke kahega hi nahi koi. Awaaz bhi bacche jaisa hain, kaam bhi bacche jaisa karta hain.

Anyways, exam issbar jaldi hoga due to some official reason and all. I don't know exactly what's the matter. Chahe thodi jaldi ho yah late se, likhna toh sab kuch hi hain. So it doesn't matter. Filhaal viva accha jaa raha hain. Iskey baad hain practicals. Assignments saarey submit kiye hain aaj hi. Luckily kal ka din chhutti hain. First day of the year after all. Next din ke practical ke kiye padh hi rahi thi ki Hardik ka call aaya.

"Come out of your house right now,"was his command.

Lo karlo baat. Raat ke 10:30 baje janab ka hukum hain ki ghar se baahar niklo! Hardik ki inn baaton se toh abb main hairaan bhi nahi hoti hoon. Vaise toh 10:30 means evening for him. Raat ke 2 baje bhi same demand kar sakta hain voh.

"Kya? Abhi? Iss wakt? Bhaiya ghar pe nahi hain aur Mummy Papa rahe hain ghar mein. Aaj baahar gaye theh, sab thakey huye hain. Main bhi soneh jaa rahi thi,"I replied.

"Haan toh? Tum soyi toh nahi na? Bass tumsey hi matlab hain mujhe. I don't know anything. Aao baahar. Main wait kar raha hoon,"he said and I opened the window of my room to find him standing near the gate, leaning against his black Porsche.

"Okay fine!"I said and tiptoed out of my room before slowly going downstairs and then unbolted the lock of the main door and walked out of my house in the silence of the night.

"Kya hain?"I asked and he said,"chalo! Ghumney jaayenge."

"What? No way. Ghar mein kisi ko pata chal gaya toh..."

"In this way babes, you'll never be able to enjoy life. Chalo chalo,"he said and opened the door of his car for me and I got in without thinking anything.

This was something which would happen whenever he was with me. I stop thinking rationally at once. He has a narcotic effect on me I must say.

🅻🅾🆅🅴 🅱🅴🆃🆆🅴🅴🅽 🅿🅰🅶🅴🆂|✅COMPLETED|Indian Cricket Team AU FanfictionWhere stories live. Discover now