PEER-E-KAMIL

2.9K 29 5
                                    

INTRODUCTION:

Peer-e-kamil, Kamil Saraparast (Perfect Mentor), jo aapke liye likha Gaya hai. Zindagi ke us waqt ke liye, jab aapko andhere aur ujalon ke bichme farq karna hoga. Aap us raaste ko chun sakte h jo aapki zindagi raushan kardein, ya toh aapki marzi hain aap andhere wala raasta bhi chun sakte hai.

Yeah novel 'Peer-e-Kamil' jo likha hain 'Umaira Ahmed' ne aur published kiya gaya tha '2004' Urdu Language me, aur English language me '2011' me.

Is novel ko Roman English me likhne ka maqsad yeah h ki jo lazzat Urdu Language me aa rahi woh English Language me nhi aa pa rahi thi, toh maine yani 'Mansha Momin' ne yeah YouTube se sun kar likhne ki koshish ki hai, agar isme koi bhi galti hui ho toh 'sorry for hurting your feelings.

*****

BOOK INTRODUCTION:

PEER-E-KAMIL kon hota hai? PEER-E-KAMIL kisko kehte hai? PEER-E-KAMIL me kamiliyat hoti h. Kamiliyat un tamam chizon ka majmuwa hoti hai jisko aap perfect keh sakte hai. PEER-E-KAMIL wo shaks hai jo Dil se Allah SWT ki ibadat karta hai, nek aur parsa hota hai. Uski har dua kubool hoti hai. Is hadh tak jis hadh tak Allah SWT chahey! Uskey alfaz me alag hi taseer hoti hai. Woh logo ko gumrah hone se bachne me madat bhi karta hai. Magar use ilham nahi hota hai, use vejdan hota hai. Vahi (Qur'an Sharif) utari gai hai uspar, aur vahi kisi aam insaan pr nahi utari jaati. Sirf PAIGAMBAR par hi utari jaati hai. 1,24,000 PAIGAMBAR me se har PAIGAMBAR Kamil the. Magar PEER-E-KAMIL woh hai jis par nabuwat ka silsila khatam kiya gaya yani Pyaare PAIGAMBAR HAZRAT MOHAMMAD MUSTAFA ﷺ.

*****

Peer-e-kamilWhere stories live. Discover now