10

474 4 0
                                    

Imama:- "Ab kaisa hai tumhara dost?Gaye the tum uski khairiyat dariyaft karne?" (Imama Waseem ke saath market ja rahi thi, ke achanak use Salar ka khayal aya.)

Waseem:- "Pehle se toh halat kafi behtar hai. Shayad kal parsoo tak discharge ho jaye." (Waseem ne use Salar ke bare me tafseelat se agah kiya.) "Tum chalogi wapsi par usko dekhne?" (Waseem ko achanak khayal aaya.)

Imama:- "Mai?" (Imama hairan hui.) "Mai kya karungi ja kar?"

Waseem:- "Khairiyat dariyaft karna, aur kya karna hai tumhein.." (Waseem ne sanjeedagi se kaha.)

Imama:- "Accha." (Imama ne thamul se kaha.) "Chalo thik hai, chalenge. Halaanki is tarah ke mareez ki ayadat karna fazool hai." (Usne laparwahi se kandhe uchkate hue kaha.)

Imama:-"Waise mujhe tawakku thi ke, uske parents humare ghar aayenge. Shukriya waghera adaa karne ke humne unke bete ki jaan bachai. Kis kadar bar waqt par madad ki thi humne, magar unhone toh bhule se humare ghar ka rukh nahi kiya." (Imama ne tabsira kiya.)

Waseem:- "Tum un becharon ki condition ka andaza hi nahi kar sakti. Kis muh se woh shukriya ada karne aayege. Aur phir agar koi yeah puch bethe ke aapke bete ne aisi harkat kyun ki toh woh dono kya jawab denge? Woh bechare ajeeb mushkil me phanse hue hai." (Waseem ne qadre afsos karne wale andaz me kaha.)

Waseem:- "Waise uske parents ne mera bhot shukriya adaa kiya hai, aur ammi aur baba parso jab uski khairiyat dariyaft karne gaye the toh unhone wahan bhi un dono ka bohat shukriya adaa kiya. Yeah toh ammi aur baba ki samajhdari thi ke unhone unse koi sawaal nahi kiya Salar ke bare me, warna toh udhar bhi khasi khifat ka samna karna padhta." (Waseem ne gadi modte hue kaha.)

Imama:- "Magar aakhir tumhare is dost ka mas'ala kya hai, kyun baithe bithee is tarah ki ahmaqana harkatein karne lagata hai?" (Imama ne pucha.)

Waseem:- "Tum mujhse is tarah puch rahi ho, jaise woh mujhe sab kuch bata kar yeah sab kuch
karta hai. Mujhe kya pata woh kis liye karta hai, ya kyun karta hai."

Imama:- "Tumhara itna gehra dost hai, tum puchte kyun nahi isse?"

Waseem:- "Itna gehra bhi nahi hai ke aisi baaton ke baare me woh mujhe batane lage, aur waise bhi mai kyun kuredunga? hoga uska koi mas'ala."

Imama:- "To phir behtar nahi hai ke tum aise doston se kuch fasle par raho, aise logo se dosti acchi nahi hoti. Agar kal ko tumne bhi is tarah ki harkate shuru kardi toh?"

Waseem:- "Waise tumne jo us din harkat ki thi woh agar usse yaad rahe toh hamari dosti me khud hi khaas farq ajayega." (Waseem ne kuch jatane wale andaaz me kaha.)

Imama:- "Mai nahi samajhti ke usse woh thappad yaad hoga. Woh sahi tor par hosh me toh nahi tha. Tum se zikar kya usne is bare me?" (Imama ne pucha.)

Waseem:- "Nahi mujhse kaha toh nahi, magar ho sakta hai ke use yaad ho. Tumne acha nahi kiya tha."

Imama:- "Usne harkat hi aisi ki thi. Ek toh apna haath kheench raha tha, dusra gaalian de raha tha, aur upar se mere dupatta bhi kheench liya tha."

Waseem:- "Usne dupatta nahi kheench tha, uska haath laga tha." (Waseem ne Salar ka difa karke kaha.)

Imama:- "Jo bhi tha, us waqt to mujhe bhot gussa ayaa tha magar baad me mujhe bohot afsos hua tha aur maine toh Allah ta'al ka shukar ada kiya ke woh bach gaya. Agar kahi woh marr jaata to mujhe bhot hi pachtawa hota apne us thappad ka." (Imama ne qadre maazrat khwahana andaz me kaha.)

Waseem:- "Chalo tum aaj ja rahi ho toh maazrat kar lena." (Waseem ne mashwara diya.)

Imama:- "Kyun excuse karu? ho sakta hai use kuch yaad hi naah ho, phir mai kha-ma-kha gade murde kyun ukhadu. Use yaad dilau ke maine uske saath aisa kya tha." (Imama ne foran kaha.)

Peer-e-kamilWhere stories live. Discover now