Woh raat ko khana khane me masroof tha, jab Sikander Usman aur Tayyaba aagaye the. Un dono ke chehre sate hue the. Salar itminan se khana khata raha. Woh dono use mukhaatib kiye baghair uske paas se guzar kar chale gaye the.
Sikandar:- "Khana khatam karke mere kamre me aao." (Sikandar Usman ne jaate jaate usse kaha tha. Salar ne jawab dene ke bajaye fruit trifle apni plate me nikal liya.)
15 minute baad jab woh unke kamre me gaya toh usne Sikandar ko kamre me thehlte hue paya, jabke Tayyaba fikrmandi ke aalam me sofe par baithi hui thi.
Salar:- "Papa! Aap ne bulwaya tha?" (Salar ne andar daakhil hote hue kaha.)
Sikandar:- "Baitho, phir tumhein batata hu kyun bulaya hai." (Sikandar Usman ne use dekhte hue tehelna band kiya. Woh bade itminan se Tayyaba ke barabar beth gaya.)
Sikandar:- "Imama kahan hai?" (Sikandar ne lamha zaye kiye baghair pucha.)
Salar:- "Kon Imama?" (Uski jagah koi aur hota toh uske chehre par thodi si ghabrahat zaroor hoti, magar woh apne naam ka ek hi tha. Sikandar ka chehra surkh hogaya.)
Sikandar:- "Tumhari behen..." (Woh gurraaye.)
Salar:- "Meri behen ka naam Anita hai papa." (Salar ki itminan me koi kami nahi aayi.)
Sikandar:- "Tum mujhe sirf ek baat batao. Aakhir tum mujhe aur kitni baar aur kitne tareeqon se zaleel karaoge?" (Is baar Sikandar Usman dusre sofe par baith gaye.)
Salar:- "Aap kya keh rahe hai papa? Meri samajh me nahi aa raha." (Salar ne hairani se kaha.)
Sikandar:- "Halanki tumhari samajh me ab sab kuch aa raha hai." (Unhone tanziya andaz me kaha.) "Dekho, mujhe araam se batado ke Imama kahan hai. Yeah maamla itna seedha nahi hai jitna tumne samajh liya hai."
Salar:- "Papa! Aap kis Imama ki baat kar rahe hai? Mai kisi Imama ko nahi jaanta."
Sikandar:- "Mai Waseem ki behen ki baat kar raha hu." (Sikandar Usman is baar gurraye.)
Salar:- "Waseem ki behen?" (Woh kuch soch me padh gaya.) "Acha... yaad aaya... woh jisne mujhe treatment diya tha last year."
Sikandar:- "Haan wahi... ab jo ki tumhari yaadashat wapas aayi hai. Isliye mujhe yeah bhi bata do ke woh kahan hai."
Salar:- "Papa! Woh apne ghar me hogi, ya medical college ke hostel me. Mera usse kya taluq?" (Usne hairani se Sikandar se kaha.) "Uske baap ne tumhare khilaf apni beti ke agwah ka case kar diya hai."
Salar:- "Mere khilaf... I don't believe it. Mera Imama se kya taluq hai." (Usne pur sukoon lahje me aur be tassur chehre ke saath kaha.)
Sikandar:- "Yeahi toh mai janna chahta hu ke tumhara usse kya taluq hai?"
Salar:- "Papa! Mai usko jaanta tak nahi hu. 1-2 baar ke alawa mai usse mila tak nahi. Phir uske agwah se mera kya taluq, aur mujhe toh yeah bhi nahi pata ke woh agwah hogayi hai."
Sikandar:- "Salar! Ab yeah acting band kardo. Mujhe batao ke woh bacchi kahan hai. Main ne Hashim Mubeen se wada kiya hai ke main un ki beti ko un tak pahunchaonga."
Salar:- "Toh aap apna wada pura karein, agar unki beti ko un tak pohocha sakte hai toh zaroor pohochaiye. Magar mujhe kyun disturb kar rahe hai?" (Is bar Salar ne nagawari se kaha.)
Sikandar:- "Dekho Salar! Tumhare aur Imama ke darmiyan agar kisi bhi qisam ki understanding hai toh hum is mamle ko hal kar lenge. Mai khud uske sath tumhari shaadi karwa dunga. Tum filhal yeah batao ke woh kahan hai." (Sikandar Usman ne is bar apne lab-o-lehje me tabdili late hue kaha.)
Salar:- "For god sake papa! Stop it... Konsi understanding? Kaisi shaadi? Meri kisi ke sath understanding hoti toh mai usse agwah karunga? Aur mai understanding develop karuga Imama jaisi ladki ke sath? Woh meri type hai?" (Is bar Salar ne buland awaaz me kaha.)
YOU ARE READING
Peer-e-kamil
General FictionThis novel was originally written by Umaira Ahmed in Urdu and English language. But now I'm writing this novel in Roman English so that the people who don't know Urdu and wants to read it in Urdu can take a benefit from this