Sabiha:- "Arey Imama! Tum to bahut arsey baad aayi ho naah, akhir aana kyun chod diya tumne." (Bhot dino baad woh phir ek baar phir Sabiha ke paas pahunch gayi. Sabiha ka lecture shuru hone wala tha.)
Imama:- "Mujhe aap se kuch baat karni hai, aap apna lecture khatam karlein, mai bahar baith kar aapka intezar kar rahi hu." (Imama ne uski baat ka jawab dene ke bajaye usse kaha.)
Thik 45 minute ke baad jab Sabiha apna lecture khatam karne ke baad bahar nikli to usne Imama ko bahar corridor me tehelte paya. Woh Sabiha ke saath dobara usi kamre me aan baiti jo ab khali tha. Sabiha khamoshi se uski taraf se baat shuru karne ka intezaar karti rahi. Imama chand lamhe kisi soch me doobi rahi, phir usne Sabiha se kaha
Imama:- "Aapko pata hai main kis mazhab se hu?"
Sabiha:- "Haan, mai jaanti hu, Javeria ne mujhe bataya tha." (Sabiha ne pur sukoon andaz me kaha.)
Imama:- "Mai aapko bata nahi sakti mai kis had tak frustrated hu. Mera dil chahta hai mai duniya chod kar kahin bhag jau." (Usne kuch der ke baad Sabiha se kehna shuru kiya.) "Mai... mai...." (Usne dono haathon se apna sir pakad liya.) "Mujhe pata hai ke..." (Usne ek baar phir apni adhuri baat chord di.. phir khaamoshi....)
Imama:- "Magar mai apna mazhab nahi chod sakti. Mai tabah ho jaungi, mere maa baap mujhe maar dalenge. Mera career, mera khwaab, sab kuch khatam ho jayega. Maine to saare se ibaadat karna tak chod diya hai magar phir bhi pata nahi kyun mujhe sukoon nahi mil raha hai. Aap meri soorat-e-haal ko samjhein. Mujhe lagraha hai yeah sab kuch galat hai aur sahi kya hai, mujhe nahi maloom."
Sabiha:- "Imama! Tum Islam qubool karlo." (Sabiha ne uski baat ke jawab me sirf ek jumla kaha.)
Imama:- "Yeah mai nahi kar sakti. Mai aapko bata rahi hu, mai kitne masail ka shikaar ho jaungi."
Sabiha:- "Toh phir mere paas kis liye aayi ho?" (Sabiha usi pur sukoon andaz me kaha. Woh uska muh dekhne lagi, phir usne be bassi se kaha,.)
Imama:- "Pata nahi mai aapke paas kis liye aayi hu?"
Sabiha:- "Tum sirf yeahi ek jumla sunne aayi ho jo maine tumse kaha hai. Mai tumhe koi daleel nahi dungi, kyun ki tumhe kisi sawaal ke jawab ki talash nahi hai. Har sawaal ka jawab tumhare andar maujood hai. Tum sab jaanti ho, bas tumhe iqraar karna hai. Aisa hi hai naah?" (Imama ki aankhon me aansu terne lage.)
"Mujhe lag raha hai mere paon zameen se ukhad chuke hain. Main jaise khala me safar kar rahi hu."
Usne bharayi hui awaaz me kaha. Sabiha ne uski baat ka jawab nahi diya. Woh Bismillah parh rahi thi. Imama gili aankhon ke saath uska chehra dekhne lagi.
Imama:- "Kahi kuch bhi nazar nahi aata Sabiha, kuch bhi nahi....." (Usne apne haathon ki pusht se apne aansuon ko saaf kiya.)
Sabiha & Imama:- "La ilaha illallah..." (Sabiha ke lab ahista ahista hilne lage. Imama dono haathon se chehra dhanp kar bachon ki tarah phoot phoot kar rone lagi, aur woh rote hue Sabiha ke piche kalme ke alfaaz dohra rahi thi.)
Sabiha & Imama:- "Muhammadur Rasool Allah...." (Imama ne agle alfaaz dohrae. Uski awaz bhirra gayi.)
Imama ki samajh me nahi aa raha tha, usse itna rona kyu aa raha tha. Usse koi afsos koi pachtava nahi tha. Magar phir bhi use apne aansuon par qabu pana mushkil ho raha tha. Bhot der tak rote rehne ke baad jab usne sar uthaya to Sabiha uske paas bethi hui thi. Imama gile chehre ke saath use dekh kar muskuradi.
*****
Rabia aur Javeria ek dusre ka munh dekh rahi thi aur Imama apne paon ke angoothay ke saath farsh ko ragarte hue kisi soch me doobi hui thi.
YOU ARE READING
Peer-e-kamil
General FictionThis novel was originally written by Umaira Ahmed in Urdu and English language. But now I'm writing this novel in Roman English so that the people who don't know Urdu and wants to read it in Urdu can take a benefit from this