CHAPTER 5

3 1 0
                                    


Phir wo ghar aajata hai

Jese hi wo ghar aata hai to mr anderson bolte hai

"Tum kaha gai the"

Onho ne os se isiliyay pocha kioke onge pata chal gaya tha ke wo masjid jaata hai

"Kahi nahi bas aise hi kisi kam se gaya tha"

Wo apne kamre mai ja raha hota hai tabhi wo bolta hai

"Tumhara masjid mai kia kam tha"

Wo apni jaga per khara hogaya

"Mera dost tha bas wahi andar tha"

"Acha"

Wo apne kamre mai aajata hai

Ab wo soch raha hota hai ke wo ayesha se kese mile

Kuch din baad

Mr anderson ke ghar jaate hai noah yani saim ke sath

Uncle umair onhe batate hai ke ayesha ki shaadi hone wali hai
Ye sun ker to saim jam sa gaya
Wo kuch bol nahi pa raha tha

To uncle umair ne unhe bhi invite kia tha

"Shaadi kab hai"
Nosh yani saim ne pocha

"2 hafte baad"

Kuch der baad wo ghar aajate hai
Ab saim decide kerta hai apne bestfriend ko batane ka

Ye sun ker oska dost shocked hojata hai

"Ye kia baat ker rahe ho"
Wo hairani se bolta hai

"Ha to oski shaadi horahi hai or mai ye nahi hone nahi de sakta "

"Kia tum waqai mai muslim hogai ho"

"Ha"

"To tum kia karoge ab"

"Tumhe maine isiliyay bulaya hai ke mujhe kuch batao ke mai kia karo na ke ye french fries khane ke liye bulaya hai"

"Acha to kia ab tum ose kidnap karo ge"

Wo sochta hai or bolta hai

"Oh acha idea hai lekin ye achi baat nahi hai"

"To or kia karo ge"

"Hmm acha"

2 hafte baad

Raat ko wo oske ghar aata hai jab ke wo bahir nikal rahi hoti hai
Or saim ne mask lagaya hua hota hai
Wo ose laal rang ke jore mai dekh ker tang reh jata hai

Wo car se otarta hai or oske bahir aane ka wait kerta hai jese hi wo bahir aati hai wo oske mo per rumal rakh ker ose behosh kerdeta hai

Phir wo sheher se dor ek jaga aata hai
Osne ayesha ko bilkul bhi haat nahi lagaya hota
Wo abhi bhi gari mai hoti hai or wo osne jagne ka intezar ker raha hota hai

Jese hi wo othti hai to wo pareshan hojati hai
Wo saim ko dekh ker bolti hai

"Tum....tum mujhe yaha kio le aye ho"

"Kioke mai nahi chahta ke tum kisi or se shaadi karo"

"Kia mujhe yaha kio laye ho"

"Kioke mai tum se shaadi kerna chahta ho"

"Aisa nahi hosakta tum christan ho"

"Mai muslim ho "

"Nahi tum jhoot bol rahe ho"

"Mai jhoot nahi bol raha"

"Agar tum muslim hote to mujhe yo kidnape nahi kerte ye koni shrafat hai"

Oski baat sun ker saim ko thora pachtawa hota hai

"Lekin mere pas koi or rasta nahi tha"

"Mujhe jaane do "

"Nahi ab tum mujh se shaadi karo gi"

"Kio"

"Kioke mai tumhe pasand kerta ho"

"Mai nahi kerti tumhe pasand"

Dosri tarf
Sab pareshan hote hai kioke onhe ayesha nahi mil rahi hoti
Police ose har jaga dhond rahi hoti hai

"Kuch der mai tumhara mere sath nikkah hojai ga"

Kuch der baad jab nikkah parhane wala aata hai to wo os se pochta hai saim to qabool kerleta hai lekin jab ayesha se pochte hai to wo kuch nahi bolti

"Ayesha"
Wo ose dekhta hai

Wo dar se qabool kerleti hai

Phir sab chale jate hai

"Mujhe ghar jaane do ab"

"Ab tum mere sath jao gi"

"Ye tumne bohut bura kia hai kia kabhi tumhe kisi ne ye nahi bataya ke zabardasti nikkah nahi kerte kisi ke sath"

"Mujhe bataya tha lekin mere pas koi or rasta nahi tha or mene tumhe hath bhi nahi lagaya"

Phir wo osse car mai bhitatha hai or wo oske ghar aate hai

Jese hi wo ghar ka darwaza knock kerti hai to aunti saida darwaza kholti hai

Wo ose dekhti hai or oske mo per zor dar chamat lagati hai

Tabhi aima or uncle umair bhi aajate hai

"Ab tum nahi aao gi yaha jiske sath gai thi na ab jao osks sath"

Tabhi saim aata hai

"Tum yaha kia ker rahe ho"

"Wo kuch logo ne inhe kidnap kerlia tha or mai wahi se ja raha tha to mai ise bacha ker yaha le aaya"

"Tum theak ho beta"
Uncle umair bolte hai

"Jee"

"Kia ye sach bol raha hai ayesha"
Aunti saida bolti hai

"Jee "

Uncle umair ose andar lekar aate hai

"Tumhara bohut shukriya"
Uncle umair bolte hai

Unhe lag raha tha ke ose kisi or ne kidnap kia tha

Agle din

Saim phir se unke ghar aata hai

"Mujhe ap se zarori baat kerni hai"

"Dara sal mai muslim hogya ho"

"Kiaa"
Wo hairani se bolte hai

"Jee or mai ayesha se nikkah kerna chahta ho"

"Kia bol rahe ho"
Wo itna hairan hogaye the

"Jee mai sach hol raha ho or koi galat irada nahi hai mera"


Wait for next chapter

پاک محبتWhere stories live. Discover now