CHAPTER 9

1 1 0
                                    

Wo aise hi sabko islam ke bare mai batata or sab bohut shok se oski baate sunte

Aise hi wo 9 saal bhi guzaar jate hai

Aj oski rihai ka din hai

Wo bohut khush hai ke wo aj ayesha se pore 11 saal baad mile ga kioke 1 saal tak oska case chalta raha or 1 saal baad oski saza kam hui thi or jis saal oski saza kam hui thi wo bhi saal ke akhri mahino mai hi hui thi

Oski dari aahuki thi thori si

Wo aj itne saal baad jail se bahir nikla

Jese osne ayesha ko dekha wo oske gale lag gaya
Wo ro raha tha kioke wo os se kafi saal baad mila tha

Wo ghar aajate hai

Mr anderson bhi khush hote hai bohut

"Tum pore 11 saal mere liye jail mai rahe mai tumhari ahsan mand ho"

Osne ayesha ko muskura ker dekha

"In 11 saalo mai tumhe kabhi meri yaad nahi ayi"

"Nahi"
Wo mazak mai bola

"Haii aisa kio"

"Tumhari kabhi yaad nahi ayi kioke tum mai kio aisi baat nahi hai ke mai tumhe yaad karo"

"Acha acha theak hai"
Wo naraz hoker bolti hai

"Ha ek baat thi jab tum mujhe yaad aati thi"

Wo ek dam se piche mur ker dekhti hai

"Kab"

"Jab jab mai sans leta tha"

Oske mo per ek muskurahat aajati hai

"Pata hai kal kia hai"

"Kia"

"Kal meri birthday hai"

"Acha to"
Saim bolta hai

"Mera gift"

"Tum hi to kehti thi ke birthday nahi manate"

"To wese bhi gift dede ye achi baat hoti hai"

"Nahi nahi mai nahi donga"

"Acha"

Agle din

Wo jab niche aati hai
To saim ke hath mai kuch hota hai

"Ye kia hai"

"Kuch nahi"

"Batai mujhe"

Saim ose wo bara sa bouqet dikhata hai

"Ye kitna bara bouqet hai isme kitne sare flowers hai"

"Ha isme dunya ka har phool hai"

"Ye mere liye hai"

"Ha ha tumhare liye hi hai"

"Ye bohut mehenga hoga itna mehenga kio liya"

"Tumhe phool bohut pasand the isiliyay"

"Aww thankyou wese ye kitne ka hai"

"Choro choro"

"Nahi nahi bataye mujhe"

"Ye 30,000$ dollars ka hai bas"

"Kiaa"
Wo hairani se bolti hai

"Ha to kia mai mazak ker raha ho"

"Thankyou"

"Ha ha welcome aise hi muskuraya karo"

"Wese tum kitne saal ki hogayi ho"

"Mai 34 ki "

"Are are itni bari hogayi ho tum itne jawan admi se shaadi kerli tumne"

"Apki malomat ke liye ap bhi december mai 36 ke hojaye ge"

"Haii"

"Jee ha"

"Mai itna bara kab hogaya"

"In 11 saalo mai bara hi to hona tha apko "
Wo haste hue bolti hai

"Acha mai aata ho abhi"

Wo osi masjid mai jata hai jaha osne 11 saal pehle islam qabool kia tha wo osi burhe aadmi se milne jata hai

Wo jab andar aata hai wo admi ose kahi nahi dikhta

Wo ose puri masjid mai dhunta hai lekin wo ose kahi nahi milta

Tabhi ose ek admi dikhta hai
Jise wo pehchanta tha
Wo tab bhi wahi namaz perne ke liye ata tha
Saim ose pehchan jata hai

"Bhai sunne"

" are tum wahi hona jisne bohut pehle islam qabool kia tha"

Wo admi bhi saim ko pehchan leta hai

" ha mai wahi ho maine kuch pochna tha apse"

"Jee jee zaror"

"Mai yaha ek burhe admi ke sath beheta tha wo admi aj mujhe nazar nahi aaraha kia wo aj masjid nahi aye"

"Apko nahi pata onka to 2 saal pehle inteqal hogaya"

Wo hairan hua tha

"Acha"

"Allah onko jannat naseeb kare"
Wo admi bolta hai

"Ameen ameen"

Wo ghar aajata hai

Wait for next episode

پاک محبتWhere stories live. Discover now