( This story not written by me its written by areej shah i just translate this story for u )
Yeh manzar Dubai ke bohot bare sheher Ras Al Khaimah ka hai. Is sheher ko Ras Al Khaimah isliye bhi kaha jata hai kyunki yahan khemon se mushahbet rakhne wale chhotay chhotay makan hain jo sahil samandar par mojood hain.
Woh is tarah ke chhotay chhotay kaam karne ke liye khud nahi aata tha lekin us waqt sawal uske left hand Sharaf ka tha jo bachpan se uske sath tha uske har kaam mein barabar ka shareek. Aaj woh usay tanha nahi chhod sakta tha woh us waqt Dubai ki aik bohot badi jail mein tha. Uska wafadar saathi, uspar jaan nisaar karne wale ko woh is tarah se nahi chhod sakta tha. Yeh sach tha ke Don ko usse koi mohabbat na thi, uske sath koi dili wabastagi na thi magar woh uske liye jaan dene ka hausla rakhta tha aur Don ko aise hi logon ki zarurat thi. Raat ek baje ka waqt tha, Ras Al Khaimah sheher din mein jitna viran aur khamosh hota, raat mein utna hi roshniyon se bhara hota.
Aur Don aksar apne kaam roshniyon mein karne ka aadi tha kyunki usay pata tha ke gunahgar ko uska gunah nahi balkay gunah chhupane ka tareeqa maar deta hai. Isliye woh jo bhi karta, khule aam karta. Woh apne kisi bhi kaam mein koi ghalti nahi karta tha. Shayad yahi wajah thi ke 32 saal ki umar mein woh underworld ka Don tha. Gunahon ki duniya mein qadam rakhte hi Don ne is sheher mein Don nami kayi keede makoroon ko masal daala. Dubai ka bachha bachha Don Daadiol ko jaanta tha lekin koi bhi uski shakal se waqif na tha. Woh itni safai aur hoshiari se kaam karta tha ke sath khare Khizr ko bhi pata nahi chalta. Sharaf be gunah nahi tha, usne bhi kahin gunah kiye the, lekin jis cheez ka ilzam abhi usay diya ja raha tha, woh usne nahi kiya tha aur Don ko yeh manzoor na tha ke uski team mein kisi ko is tarah se target kiya jaye.
Usay jin logon se matlab na hota unse woh koi talluq nahi rakhta tha na hi dosti aur na hi dushmani lekin Wasik Malik ne usay samne se lalkara tha. Uske left hand Sharaf par ilzam laga ke usay jail ke andar karwa diya tha aur yahi cheez Don ko gussa dila rahi thi. Wasik Malik jo ke phone par usay dhamkiyan de chuka tha ke woh Sharaf ko phansi ke phanday tak pohnchayega, us waqt usse chhup kar un chhotay chhotay makan mein se kisi ek makan mein tha.
Usne Wasik Malik ko kaha tha ke chhupne se behtar hai ke woh samne aake usse baat kare lekin Wasik Malik na mana. Isi ki wajah se aaj Sharaf ek hafte se zyada waqt se jail mein tha. Woh Don ka left hand tha, usay jail mein kisi cheez ki kami na thi. A.C, TV, bed, woh Don ka khaas banda tha, usay har cheez muhayya ki gayi thi. Lekin jail se zyada Don ko yahan uski zarurat thi jiski wajah se uska bahar hona zaroori tha.
Woh tang gali se nikalta hua ek ghar ke andar dakhil hua jahan uske kuch aadmi ek aadmi ko zameen par bithaaye, uske sar par bandookein taane khare the. Woh bilkul khamoshi se aake sofa par baith gaya, uske chehre par koi ta'asur na tha. Wasik Malik ne zara si nigah uthakar uske chehre ki taraf dekha. Ghane kale baal jo peechay ki taraf pony mein bandhe hone ke bawajood bhi maathe ko cover kiye hue the. Surkh o safed rangat, sabz aankhein, halki halki daarhi, zara zara si mooch. Woh jab baat karta tha uske gaal par ek dimple numayan hota. Lekin yeh shakhs hasta nahi tha. Isliye aaj tak jisne bhi uske gaal ka dimple dekha tha, usse baat karte hue hi dekha tha.
Beshak woh Arabi shehzada hasti hue bhi qayamat lagta hoga. Jab kaatne ki aukaat na ho to bhonkna bhi nahi chahiye, woh uske samne shaan be niyaazi se sofa par baithte hue bola. Ab tak Wasik Malik ko Don ke samne apni aukaat ka andaza achi tarah ho chuka tha. Woh itne chhotay se ilaqay mein aake chhup ke baith chuka tha lekin Don ne usay yahan se bhi dhoond nikala.
Mujhe maaf kar do Devil, mujhse ghalti ho gayi. Tum jaisa kaho ge main waisa karoon ga, please mujhe mat maarna. Usay jaise hi andaza hua ke ab woh Don se bach nahi sakta, woh rone laga. Tum, tumhein saboot chahiye na apne aadmi ke be gunah hone ka, main tumhein abhi saboot deta hoon. Woh jaldi se zameen se uthne laga jab uske aadmiyon ne bandook par zor daal kar usay wapas bitha diya. Tumhein kya lagta hai agar main yahan tak pohnch sakta hoon to kya tum se saboot nikalna mere liye mushkil hai? Woh uski aankhon mein aankhein daal kar puchte hue bola.
YOU ARE READING
rooh e yaram
RomanceRooh e Yaram shows the story of a underworld don living in Dubai.