Aaj wo us ke liye phone le kar aaya tha, taake din mein us se baat kar sake. Saara din uski bechain nazrein us ka intezar karti thi.
Phir kal to us ne keh diya ke saara din us se baat karne wala koi nahi hota.
Mera dil karta hai aap se baatein karne ko. Aap kaam se thak kar aate hain, khana khate hain, aur so jaate hain. Subah uth kar chale jaate hain.
Saara din mujhe aap ka chehra nazar nahi aata. Us ne masoomiyat se mooh bana kar kaha tha. “Acha, main kal tumhare liye mobile le aaunga, phir jab tumhara dil kare to mujhe phone kar lena.”
“Kya aap mere liye phone lenge? Phir to main Fatima Bibi se bhi baat karungi.”
Woh khushi se chehakti hui boli thi.
“Nahi har giz nahi. Tum soaye mere aur kisi se baat nahi kar sakti is phone par,” usne gusse se kaha tha.
“Lekin main jab se yahan aayi hoon ek baar bhi Pakistan phone nahi kiya, Ammi se baat nahi ki, Rania api, Tania api, Maria api, kisi se bhi nahi, awaaz tak nahi suni kisi ki,” woh udaasi se boli thi.
“Teek hai agar aisi baat hai to tumhein phone le kar nahi dunga. Main nahi chahta ke tum mere ilawa kisi se baat karo.”
Usne apna faisla sunaya aur apne kamre mein chala gaya.
Jab thodi dair ke baad woh uske peeche aayi, to kaha, “Acha teek hai, main kisi se baat nahi karungi, sirf aap se karungi. Lekin aap to unse baat kar ke unki khairiyat pooch sakte hain na. Aap ke paas Ammi ka number hai?”
Roh ne poocha.
“Haan, main aksar unse baat karta rehta hoon. Sab kuch teek hai,” usne jhoot bola.
Aur aaj uske liye phone le aaya tha lekin uske ilawa us phone mein sab number block thay. Yahan tak ke woh police ko bhi phone nahi kar sakti thi.
Agar usse itni samajh hoti to woh zaroor poochti.
⚫⚫⚫
Kya tum ne waqai hi shadi kar li hai? Sarim ab tak be-yaqeeni se coffee shop mein baitha tha. Uske samne Yaram baitha aaram se coffee pee raha tha. "Main tumhara bachpan ka saathi hoon Yaram, tu mere saath aisa kaise kar sakta hai? Tumne mujhe bulaya tak nahi."
"Mujhe yaqeen nahi aa raha, tum jhoot bol rahe ho, yeh shadi nahi hui..." Sarim kab se bole ja raha tha, lekin Yaram kab se qareeb baithi uski beti ke gaalon ko choo raha tha.
"Ma'ira school kyun nahi gayi?" Usne Sarim ki baat ko ignore karte hue Ma'ira se poocha. "Ma'ira ki tabiyat kharab thi chachu," (Arabi tarz o lehje ki wajah se woh Urdu nahi bol paati thi, aur phir jab bolne ki koshish karti to aksar uski zubaan tutla jaati).
"Pehle meri baat ka jawab do," Sarim ne kaha.
"Main zaroori nahi samajhta," Usne ek hi jumle mein jawab de kar phir se Ma'ira ke saath masroof ho gaya.
"Ham dost hain na Yaram?" Sarim ne poocha.
"Acha, kya aisa tha kabhi? Siddiq mera dost tha, bohat pyara dost. Lekin tumne kya kiya..." Woh dheemi awaaz mein ghuraya tha.
"Main apna farz nibha raha tha Yaram," Woh usi ke andaz mein bola.
"Aur main apna farz nibha raha hoon."
"Mera farz mujhe mere farz ke saath ghaddari karne walon se dosti karne ki ijaazat nahi deta."
"Yaram, hum ek saath Dubai aaye the. Tumne aur Siddiq ne ghalat rasta pakda. Siddiq apni manzil tak pohnch chuka hai. Yaram, main tumhein saza nahi hone dunga, qanoon o insaaf se hat kar."
"Qanoon aur insaaf? Humein tumhara qanoon aur insaaf nahi chahiye Sarim. Hum apna qanoon khud banate hain."
"Filhaal, main tumse yeh saari baatein karne nahi aaya. Main sirf Ma'ira se milne aaya tha." Woh Ma'ira ka gaal choomte hue utha tha.
YOU ARE READING
rooh e yaram
عاطفيةRooh e Yaram shows the story of a underworld don living in Dubai.