Main ne to us waqt hi kaha tha is ladki ko ghar se nikaal do jab us ka baap mara tha, tab to tumne meri baat suni nahi. Us waqt tumhein free ki nokrani chahiye thi. Abhi to kuch nahi, is ki khoobsurati teri saari bachiyon ki zindagi barbaad na kar gayi to naam badal dena. Aqsa khala, jo ke ammi ki bachpan ki saheli thi, unke ghar mein aayi thi.
"To main kya karoon, tum hi batao. Yeh ladki meri bachiyon ki zindagi barbaad kar degi. Doosri baar Rania ka rishta toota hai, 29 saal ki ho gayi hai woh, lekin abhi tak kunwari baithi hai. Haye yeh manhoos teri betiyon ka naseeb kha jaayegi," Aqsa khala ne dono haath malte hue kaha. "Apni betiyon ko bitha ek taraf aur jaldi se is ke haath peele karke isko rafaa dafaa kar, taake teri betiyon ke achay rishte aayein," khala ne kaha.
"Ne apni betiyon ke liye zeher jama kiya hai? Arre tujhse zeher maang kaun raha hai? Main ek aurat ko jaanti hoon, woh na rishte karwati hai."
"Arre, kahaan se karu shaadi, mere paas iske liye phoote koode nahi hai, badi mushkil se main..."
"Lekin kuch nahi leti, ulte paise deti hai," Aqsa khala ne sargoshi wale andaaz mein kaha.
"Kya matlab hai tumhari is baat ka?" Ammi ka andaaz bhi sargoshana tha.
"Arre, woh koi Dubai mein sheikh rehta hai. Ladki khoobsurat aur kam umar honi chahiye, phone par ladki se Nikah parhate hain aur deeni bula lete hain pehle larki us sheikh ke sath rehti hai aur baad mein. Khala bolte bolte khamosh ho gayi.
Baad mein...?
Baad mein sheikh larki ko aage bhej deta hai. Aakhir jo larki ke aba o ajdaad ko rupiya deta hai woh wapas wasool bhi to karni hoti hai.
Kya matlab hai larki bech dete hain? Ami ab baat ko samjhein thi to bechari masoom si larki hai main us ke sath aisa har giz nahi karungi chand peson ke liye nahi bechungi. Ami ne foran inkaar kar diya.
Aqsa ki saheli jo kaafi arsay se mashhoor thi ke larkiyon ke nikah Dubai mein parhati hai us ne kayi baar kaha ke meri betiyon ke nikah karwa do lekin Aqsa khala hamesha hi taal deti. "Are theek hai jaisi tumhari marzi main ye thori keh rahi hoon use bhej do main to bas tumse keh rahi thi ke raste se hatao main ne to bas idea diya tha.
Ab tumhari betiyon ki zindagi barbaad kar rahi hai 25 saal ki to Maria ho gayi hai aur jab tak ye yahan rahegi tab tak tumhari betiyon ka kahin koi chance nahi hai."
Aur jinhein tum chand paise keh rahi hoon na, bees lakh hain. Arey dhoom dhaam se apni betiyon ki shaadi kar sakti ho tum. Khala bas itna bol kar apna bag uthakar uthne lagi.
"Beees lakh?" Ami ka munh raqam sun kar khul gaya. "Arey yeh to kuch bhi nahi. Larki khoobsurat aur kam umar ho jaisi ke Rooh hai to humein pachis aur tees mein bhi badal sakte hain." Khala mazeed lalach dete hue ghar se bahar nikal gayi.
Raat ke kareeban teen baje ka waqt tha. Tanzeem na jaane kab se nigahen Rooh ke soye hue wujood par dale usay apni nazron mein liye hue thi. Jab ke dimagh mein baar baar Aqsa ki baatein goonj rahi thi.
"Zara socho Tanzeem, tumhari betiyon ki zindagi sambhal jayegi aur saath mein is museebat se bhi chhutkara mil jayega.
Bhulomat ye tumhare shauhar ke dhoke ka nateejah hai. Woh tum se mohabbat ke daaway karta tha aur tum se chhup chhupakar kisi aur larki se na sirf shaadi kar rakhi thi balki usme se ek aulaad bhi paida ki hui thi."
Kab tak is ke baare mein sochti raho gi? Tumhari betiyan is ki wajah se kunwari baithi hain. Ma'soom se chehre ko dekh rahi thi.
Hain, Rania ka do baar rishta is ki wajah se toot chuka hai.
Nazim Begum ke dimaagh mein Aqsa Khala ki batein chal rahi thi jabke aankhein ab tak Rooh ko dekh rahi thi.
Waise to wo har larki ke liye lakh rupay deta hai lekin is ke poore tees lakh maangoon gi. Aray zara socho tees lakh rupay dega sheikh aur koi aise hi nahi utha le jayega, pehle nikah parhayega, jaiz rishte mein baandh kar phir bulayega use wahan. Aur Dubai jayegi. Zara socho.
YOU ARE READING
rooh e yaram
RomansRooh e Yaram shows the story of a underworld don living in Dubai.