chapter 9

877 30 31
                                    

Sab ko bech kar us ne darwaza band kiya aur apne kamray mein aya lekin yahan rooh nahi thi.

Yaqeenan woh dosray kamray mein thi.

Mere dil ki duniya hila kar aap dosray kamray mein munh chupaye baithi hain, yeh toh buri na-insafi hai.

Woh muskurata hua uske kamray mein aya.

Woh bed pe baithi thi.. "Tumhare paas 2 minute hain, jaldi se dosray kamray mein aao." Woh darwazay se hukam jari karta wapas palat gaya.

Abhi kuch ghantay pehlay bhi woh uski baahon mein thi. Lekin uske haath chhud aanay ki wajah se woh buramna gaya. Par ab toh rooh usko naraz karne ke baare mein soch bhi nahi sakti thi. Woh apna dil mazboot karti aahista aahista qadam uthati uske kamray tak ayi.

Aur use apne peechay se darwaza band hone ki awaaz ayi. Usne foran palat kar dekha toh woh darwaza band kiye uske samnay khara usay dekh raha tha. Woh aahista aahista bilkul uske qareeb aakar ruka aur uske kaan ke qareeb jhuka.

"Tum jo aarahay ho pehlon mein, ab hosh kise aayega?

Ae ishq zara ruk toh sahi, yeh ishq fana ho jayega."

"Welcome to my life.

Mere banne ke liye shukriya.

Rooh noor se rooh yaaram banne ke liye shukriya. Aaj se tum yaaram ki rooh ho, aur agar rooh yaaram se door hui toh yaaram bejaan ho jayega. Aur main jaanta hoon tum apne yaaram ko kabhi bhi bejaan nahi hone do gi. Mujhe kabhi chor kar toh nahi jao gi na? Waada karo mujhse, rooh chahe kuch bhi ho jaye kabhi mujhse door nahi jao gi, karo waada." Bilkul qareeb khara uska chehra apne haathon mein liye, woh usse waada mang raha tha.

Rooh ne bas apni nazrein jhukaayen. Jab yaaram ki giraft apne chehre par zara sakht hoti mehsoos hui.

Usne yaaram ke haathon pe apne haath rakhe.

"Karo waada ke mujhse kabhi door nahi jao gi, chahe kuch bhi ho jaye."

"Waada." Woh bamuskil uski nazron ki taab na laatay hue boli.

"Thank you so much, Rooh. Main tumhein itna pyaar dunga ke tumhein mere ilawa kisi ki zaroorat nahi paregi."

Uske kaan mein sargoshi karte hue ek jhatke se apne qareeb tar kiya.

"Aaj meri rooh ko meri rooh qaraar de gi.

Aaj toh tera yaaram apni jaan se jayega."

Yaaram ne poore istehaq se uske labon par apne lab rakh diye. Aur uska naazuk sar apni baahon mein bharte hue bed pe uthaya.

"Tumhein pata hai Rooh, tumse pehle meri zindagi mein koi khwahish na thi. Lekin jab se tum meri zindagi mein aayi ho, tumhein chahna, tumhein pyaar karna, bas tumhein hi sochna, tumhara ban jaana... uff kitni khwahishain dil mein jaag gayi hain. Pata nahi tumse pehle yeh sari khwahishat kahan soyi thi." Uske chehre par jaabja apni mohabbat ki mohar sabit karta, woh usay apni mohabbat ka yaqeen dilanay laga.

Usay apni zindagi mein kabhi kisi aurat ki kami mehsoos nahi hui thi. Lekin rooh ke zindagi mein aane ke baad usay hamesha apni zindagi mein rooh ki kami mehsoos hoti thi. Yeh naazuk si larki kab uske liye itni khaas ho gayi, woh khud bhi nahi jaanta tha. Woh toh yeh bhi nahi jaanta tha ke jab rooh ko pata chalega ke yaaram woh shakhs hai hi nahi jiske liye woh itni door yahan aayi hai.

Woh toh bas uske ishq mein giraftar ho chuka tha, usay rooh chahiye thi kisi bhi qeemat par. Chahe iske liye usay apni jaan se hi kyun na jaana paday. Magar yeh na tha ke woh rooh ka naam apne naam se kabhi alag hone dega.

Rooh sirf uski hai, sirf uska haq hai is par. Koi rooh ko sochne ke liye, usay dekhne ke liye, usse baat karne ke liye, yaaram ki ijazat lega.

Yaaram ki shidaton aur jasaraton se ghabraati, uske baahon mein panaah leti larki usay deewana kar gayi.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Sep 28 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

rooh e yaram Where stories live. Discover now