Us ne Shams ko bohot samjhane ki koshish ki magar usne Devil ki baat na mani. Shayad woh use theek se janta nahi tha. Uska yehi kehna tha ke ek tees battiis saal ka mard 45 saal ke aadmi ka kya bigaڑ sakta hai.
Aur phir usne woh kiya jo us 45 saal ke aadmi ne kabhi nahi socha tha. Khizr ki soch ke mutabiq blade Shams ke jism par reeng raha tha kisi saanp ki tarah apni surkh lakeeron ko chhodta hua. Laila ne ise ek hi baar is andaz mein dekha tha aur iske baad woh ek mahina isse door rahi.
Usne aaj bhi Laila ko apne saath aane ki offer di thi magar uske haath mein blade dekh kar woh uske saath nahi aayi. Usne Shams ke na sirf haathon ki balki puri jism ki ragain kaat di. Woh uske samne tadap tadap kar mar raha tha magar woh sath wali kursi par baith kar cigarette se lagaa raha tha.
Uski cheekhain sun kar use ajeeb sa sukoon mil raha tha. Usne uski saari raghain kaat di magar gardan ki ragh nahi kaat paaya kyunke woh apne saath sirf tees blades laaye the. Agar ek bhi faalto laata to usse itni der uski cheekhain bardasht na karni parti.
⚫⚫⚫
Jabke doosri taraf Khizr Masooma ko lane airport ke liye nikal chuka tha. Masooma ne usse kaha tha ke woh usse corridor mein baat karegi taake use koi bhi pehchaan na paaye, lekin Khizr ko apni bevaqoofi par bohot afsos ho raha tha kyunke usne Masooma se uski tasveer tak nahi maangi.
Ab woh use kaise pehchane ga?
Chalo yeh bhi shukr tha ke usne Masooma se uske kapron ka rang poocha. Warna aaj to yaqeenan Devil ne uska kuch na chhodna tha, waise bhi woh aaj blade use kar raha tha. Abhi woh khada har taraf nazar dauda raha tha jab nazar samne se aati ek masoom si ladki par padi.
Usne aasmaani rang ka abaya pehna tha, jiske saath usne hum rang aasmaani rang ka scarf bhi le rakha tha, jo kaafi darpoK si lag rahi thi.
Mil gayi na Masooma. Woh tezi se chal kar uske qareeb aaya.
Scarf liya tha.
Tum pohnch gayi, main to pareshan ho gaya tha ke tumhe pehchaanunga kaise. Khair, woh papers to laayi ho na tum... Usne fikarmandi se poocha kyunke agar is baar papers mein kuch gadbad ho jati to Devil use nahi chhodne wala tha.
Ji haan, main papers le aayi hoon. To aap mere shauhar hain, usne hairani se poocha.
Shauhar...? Khizr ko jhatka laga.
Sir, aap mujhe airport par lene aaye to main aapko wahan corridor mein mukhatib karungi kyunke mujhe lagta hai ke mere peechay kuch log lage hain. Usse Masooma ki phone par ki gayi guftagu yaad aayi. Shauhar... haan shauhar, tumhara ghar pe hai. Chalo, main tumhe usi ke paas le jaane aaya hoon.
Papers mujhe do. Khizr ne baat sambhalte hue papers maange.
Nahi, papers to hain, unhi ko doongi. Usne masoomiyat se kaha. Tum mujh par yaqeen kar sakti ho, main uska wafadar aadmi hoon. Khizr ne kaha, nahi, papers main unhi ko doongi. Khizr ko laga ke agar usne ek baar phir se papers maange to Masooma rone lagayegi. Woh sirf naam ki Masooma nahi thi, phir woh sach mein bohot masoom thi. Phone par baat karne wali ladki to nahi lag rahi thi, woh to bohot bold aur talented lag rahi thi.
⚫⚫⚫
Woh aakar gaadi mein baith gayi tab bhi Rooh kaafi zyada dari hui thi. Ab Noor mil ho jao. Mazeed acting karne ki zaroorat nahi hai, Khizr ne uski taraf dekhte hue kaha, jabke uski chhatti hiss usse kuch galat hone ka ishaara kar rahi thi.
Kya matlab? Rooh ne masoomiyat se poocha.
Matlab yeh ke ab tumhe darne aur ghabrane ki zaroorat nahi hai, mohtarma apni asliat par aa jao. Aur woh file mere hawale kar do. Khizr se ab mazeed bardasht karna mushkil ho raha tha. Yeh aap kya keh rahe hain bhai, mujhe to kuch samajh nahi aa raha aur main aapko bata chuki hoon ke yeh file main apne shauhar ko doongi, to aap baar baar kyun maang rahe hain mujhse. Rooh ne uski taraf dekh kar pareshani se kaha kyunke uski baatein Rooh ke sir ke upar se guzar rahi thi.
YOU ARE READING
rooh e yaram
RomanceRooh e Yaram shows the story of a underworld don living in Dubai.