DARIYA KINARE 11.0

284 75 85
                                    

On the roof ...

Pallavi:- she is blushing hard & couldn't bear Raghav's gaze , so she turns her back towards him.

Raghav:- immediately back hugs her & rests his chin on her shoulder, mai soch raha tha ki tumhara dada vahini ka plan per paani na phere

P:- kya matlab

R:- matlab yeh ki woh log chahta hai na ki tum yahan se wapas engaged ho kar ke jaaye

P:- toh kya tum mujhse engagement karoge

R:- turns her

P:- her gaze is lowered

R:- lifts her face by holding her chin

P:- looks into his eyes

R:- tum nahi chahta kya ki hum jald se jald ek ho jaaye

P:- thoda sa darr lag raha hai

R:- kaisa darr

P:- kahin yeh khushi mujhse dur na ho jaaye , koi tumhe mujhse chheen na le . Mai toh tumhe bahut pehle se pasand karti thi per mai khud ko rok rahi thi .

R:- pehle se matlab ..kab se ?

P:- makes a puppy

R:- cups her face & asks in a soft voice , bolo na kabse pasand karta tha

P:- jab hum pehli baar Dariya Kinare mile the . Us din tumse baat karke mujhe ehsaas hua ki mai tumhare baare me kitna galat sochti thi . Kuch jyada hi judgemental ho gayi thi tumhe lekar . Tum kuch sahi karte toh bhi tumhe galat samjhti thi .

Per us din jab tumne apni baat kahi mujhse aur yeh kaha ki mere alawa tumhari uljhan koi aur nahi suljha sakta , pata nahi kyu us waqt bahut alag sa laga . Aisa laga jaise ki mai tum me khud ko dekh rahi hu . Us waqt mai ek bure daur se gujar rahi thi. .

Ghar per her koi mujhe shaq ki nigahon se dekhta tha , maine jo nahi kiya us baat ke liye bhi mujhe jimmedar samjha ja raha tha . Aur ek taraf tum the jisko mai apna dushman manti thi , jisko sahi se janti tak nahi thi aur tumne mujhe apni life ke muskil daur ke baare me bataya , mujhe suggestion manga , mujhe es layak samjha ki mai tumhe sahi guidance dungi .

Yeh jo bharosa tumne mujhper dikhaya , woh un logo ne kabhi nahi dikhaya jinke liye maine kitna kuch kiya . Jaane anjane me tumne mere aankhon per bandhi patti khol di . Mai jo khud ko kamjor aur nakabil samjhne lag gayi thi , us soch se bahar nikalne me meri help kari .

Us mulaqaat ke baad mai tumhari baaton per aur bhi dhyan dene lag gayi , tumhe samjhne ki koshish karne lag gayi. Tumhare baare me jaan-ne ke liye aur curious ho gayi. Maine hi tumhe advice di thi ki tum Esha ko ek mauka do per mujhe pachtawa hota jab bhi mai Esha ko tumhare kareeb dekhti .

Mai dil hi dil me chahti thi ki tum aur Esha kabhi ek na ho , kyuki agar tum uske ho gaye toh phir jo waqt mai tumhare sath gujarti hu woh mujhe nahi milega . Jo thoda sukoon meri life me hai woh chala jayega .

Per mujhe tumhare aur Esha ke samne dikhawa karna padta tha ki tum log ek ho jao .Kahin na kahin mujhe aisa bhi lagta tha ki sayad tum meri jaisi ladki me bilkul bhi interested nahi hoge , isiliye bhi mai khul kar apni baat nahi keh pa rahi thi tumse.

R:- tum jaise ladki se kya matlab hai tumhara

P:- matlab mai woh Esha jaise nahi hu na

R:- yahi toh sabse achha baat hai ki tum uska jaisa nahi hai. Tumhara dil kitna saaf hai aur uska dil kitna kala hai . Woh hamesha tumhare ko neecha dikhane ka koshish karta tha . Per tumne kabhi aisa nahi kiya . Mera ko pasand karta tha phir bhi uska tareef hi kiya tum . Mai tumhara jagah hota toh all time Esha ka kamiya ginwata aur usko hamesha ka liye tata tata bye bye kar ke bahar nikal deta humara life se .

The One Shot Series "RAGHVI" Part:-2 Where stories live. Discover now