SECOND ANNIVERSARY SPECIAL , July 11, 2024

702 74 222
                                    

THE PERFECT TIME

It's Mansi's Sangeet Function....

After a few dance performances, the host ( Deshmukh family) started playing the game of truth & dare with the guests ....

Nikhil:- he will be throwing a flower towards the guests & whosoever gets the flower has to take up the challenge of truth & dare .

After 7-8 rounds ...the flower comes on Raghav's table ..

Amruta:- truth ya dare

Raghav:- mera ko yeh faltu ka game me koi interest nahi hai

Pallavi:- taunts him , hunhh 😏 sach bolne ki inki fitrat nahi hai aur dare lene ki himmat nahi hai

R:- glares at her

P:- Nikhil tum kisi aur per phool dalo

R:- ruko ..bolo kya karne ka hai

Ni:- pehle yeh toh batayiye truth ya dare

R:- kuch bhi ... jo tumhara mann kare

Ni:- theek hai toh apne pehle pyaar ki story batayiye

P:- giggles , ab tak toh na jaane kitni baar pyaar ho chuka hoga enhe .. pehle pyaar ki kahani yaad bhi hogi .

R:- bilkul yaad hai , kaiko ki mera ko life me pyaar sirf ek hi baar hua aur pehla pyaar toh sab ko hi yaad rehta hai .

P:- gives him a look

R:- toh mai shuru kare apna kahani

Ni:- haan haan bilkul ...hum sab toh ab aur bhi jyada curious hai sunne ke liye

R:- glares at Pallavi & then starts telling his story .

Aaj se lagbhag 4 saal pehle ka baat hai , mai kuch 4-5 mahino ka liye Hyderabad se bahar gaya tha , aur wahan ek family ka sath rehta hai , jahan per mai tenat tha.

Abhi kuch 3-4 din hi hua tha mera ko , ki ek din jab mai ghar se nikla toh maine usko pehla baar dekha , he blushes while saying this statement.

Ni:- kis ko dekha ..naam kya hai

R:- naam liya toh badnaam ho jayega . Waise mai uska ek special naam rakha tha Jhansi ka Rani . Woh kya hai ki woh jab dekho tab chhota chhota baat per ladne lag jata tha ..

Autorickshaw wale se lekar sabjiwale kisi ko nahi chhora tha usne , aur pani puri wala bhaiya se toh roj uska ladai hota tha . Mai jinke yahan rehta tha unka daughter ka sath bhi uska aksar ladai hota tha , toh mai uska naam jhansi ka rani (JKR) rakh diya .

Mai jab usko first time dekha toh usne pink colour ka , jis colour ka lehnga Pallavi ne pehna hua hai , same to same esi pink colour ka choodidar salwar suit us din mera JKR ne pehna tha . Koi make up nahi , ekdum simple saada look , aur ek chhoti si bindi lagaya tha usne jo ki uska beauty ko aur bhi enhance kar raha tha .

Us din ka baad se mai usper dhyan dene lag gaya , actually woh paas me hi rehta tha toh jyada effort karne ka jarurat nahi tha aur lagbhag roj woh us ghar me bhi aata tha jahan per mai tenant tha , woh kya hai ki house owner ka daughter uska college ka batchmate tha . Mai bas usko dur se dekh kar khush ho jaya karta tha .

Actually us waqt na mai ek number ka gadha tha.. ekdum dumb , mera me jara sa bhi confidence nahi tha ki mai samne se ja kar ke baat kar paaye . Infact ek baar toh bahut achha mauka bhi mila tha , hum ek shadi ka function me sath me tha . Matlab tab toh kisi na kisi bahane se mai usse baat kar sakta tha ..

Per kya bataye , jab bhi mai usko dekhta mera dimag ka bulb ekdum fuse ho jata tha , upar se uska 1000 words per minute ka speed se bolna samjhne me hi mera ko bahut time lag jata tha . Sach me us waqt mai ekdum idiot tha . He laughs on himself.

The One Shot Series "RAGHVI" Part:-2 Where stories live. Discover now