CHAPTER TWO

144 13 8
                                    

After that he started getting ready for the roka ceremony

By the time keerti reached goenka Villa, suhasini looked at her mockingly and asked

Suhasini: Kya hua tumhe aane mein itni der kyu lagi? Tumhari sasural wale jaane nahi de rahe the kya?

Keerti: Mera sasural walon ko mere yahan aane se ya hone se koi problem nahi hai. Agar unhone mujhe zabardasti nahi bheja hota toh main aati bhi nahi. Aur mera late hone ka reason traffic block tha. Last time keh rahi hu Dadi, mere yahan aane ka ya na aane ka reason mere sasural wale nahi, balki main khud hu. Toh har baat par unhe beech mein lana band kar dijiye please.

Suhasini: Bahut badal gayi ho tum, Keerti. Mujhe yakeen hi nahi ho raha hai ki tum meri poti ho, jo hamesha apni dadi ki baat maanti thi. Ab dekho, tum humse zubaan bhi ladne lagi ho.

Keerti: Main aapse koi zubaan nahi lad rahi hoon, Dadi. Main bas aapko samjha rahi hoon ki mere sasural walon ko taana maarna band kariye, kyunki jo kuch bhi ho raha hai uske liye woh log zimmedar nahi hain.

Saying this, she went inside. Manish came there and said:

Manish: Ma, kyun bina wajah ke usse lad rahe the aap? Bechari itni safar karke aayi hai. Kuch kaha na sahi, yeh bekaar ki ladaayi mat karo, uska saath do.

Suhasini left from there without saying anything.

Currently, Keerti was helping Vedika get ready along with Gayu. Sensing that they both were not happy, Vedika asked:

Vedika: Kya hua? Aap dono khush nahi lag rahi hain. Kisi ne kuch kaha kya ya kisi ne kuch kiya kya?

Gayu: Aisa kuch nahi hai Vedika, bas sab kuch itni jaldi mein ho raha hai na toh samajh mein nahi aa raha hai kya kahun ya nahi.

Vedika: Main jaanti hoon ki sab kuch jaldi mein ho raha hai, but Dadi is shaadi ko lekar bahut zyada excited thi, toh main unhe aur intezaar karwana nahi chahti thi. Main shayad aap dono ke dil mein Naira ki jagah nahi le sakti hoon, par main puri koshish karungi ki aap dono ke dil mein apne liye ek alag se jagah bana paun.

Keerti: Vedika, tumhe humare dil mein kisi ki jagah lena ka ya apne liye alag jagah banane ka koi zarurat nahi hai. Tum jo ho, jaise ho waise raho. Haan, yeh baat sach hai ki hume tumhe apnane mein waqt lagega, par iska matlab yeh nahi hai ki hum tumhe pasand nahi karte ya phir tum hume impress karne ki zarurat hai. Hamare dil mein Naira ke liye ek alag aur khas jagah hai, kyunki hum dono uske saath ek gahara rishta share karte hain. Dheere dheere hum tumhe apna lenge, bas tum hume thoda waqt do.

Gayu: Vedika, tum ek achi ladki ho. Main bas bhagwan se yahi prarthana karungi ki tumhe apni is nayi jeevan mein khushiya mile aur tumhara saath woh sab na ho jo mere behan ke saath hua tha.

At that time, Swarna came to them and said:

Swarna: Vedika, tum ready ho gayi ho toh jaldi se niche aao, pooja ka muhurat shuru hone wala hai. Saath mein tum dono bhi aao niche.

Vedika: Main jaanti hoon ki aap dono ko is ghar ki khushiyon ki chinta hai, par aap log chinta mat karo. Main aap logo se vaada karti hoon ki main is ghar ki khoi hui khushiyon ko wapas laungi jo paanch saal pehle chali gayi thi.

Saying this, she left from there.

Keerti: Tum tab tak is ghar ko khush rakh paogi jab tak Virat Bhaiya ko kuch nahi pata hai. Ek baar unhe sach pata chal gaya na toh phir woh is ghar ki sukh chain sab kuch chheen lenge. Tab tum inhe nahi bacha paogi.

Gayu: Tab tumhe pata chal jayega ki ek bhai apni behen ki khushi ke liye kis had tak ja sakta hai.

Meanwhile in Goa, Lisa saw that Naira was lost in some thoughts, so she went to her and asked:

"Guardian of Her Heart"Where stories live. Discover now