Tanya se hospital me milne ke baad Hardik Apne flat par aa gya. Or Ateet ke dekhkar sochta hai( ye kitna bhi bura Q na dikhe, kitna bhi behraham feelingless person bane lakin ye asal me aisa hai hi nhi, isne mujhe bhi maaf kiya h, koi aisa bhi hota h kya).
Yahi sab sochkar bina kuch kahe apne room ke andar chala jata hai.Ateet- knock knock, kya be harami aa gya pr mujhse najre kyun chura raha hai.
Hardik- Are yaar tu bhi, mai bs thak gaya tha isiliye bina kuch kahe room me aa gya sidha.
Ateet-- Ha chal chal bahut huye tere bahane chal jake coffee bana...
Hardik-- Tu to bana leta hai fir mere liye kayko betha tha.
Ateet -- Bs bana de yaar. Usse tera mood samjh aa jayega😅.
Hardik-- Ayein... 🤨 usse mere mood ka kya talluk hai.
Ateet-- Kuch nhi😂.
Hardik thodi der me coffee bana lata hai or dono sath me bethkar coffee pite hai.
Ateet-- Kya baat bata yaar kisi ko bhulna h to kaise bhula jaye..
Hardik-- 🤣🤣🤣🤣🤣
Ateet-- Abe has kyun raha hai.
Hardik-- 🤣😂😅😁 Are kuch nhi yaar. Aaj ye sabal bo puch rha hai jo hamesha kahta, "yaad rakhna jitna muskil hai usse bhi kahi jyada use bhulana" Tu hi bata fir hasi nhi aayegi.
Ateet- 🤨 chal mat bata...
Hardik- hm sarkar..
Fir dono thahake markar hasne lagte hai.Agla din office me..
Shalini-- Kashish jara ateet ko mere cabin me bhej do.
Kashish - Attu tumhe boss bula rhi hai..
Ateet- ha theek h..... Ek mint kya kaha tumne Attu dobara mat kahna sirf name lo mera..
Kashish - ha baba theek h kah gyi galti se ab nhi kahungi ok.
Cabin me.....
Kahiye boss..Shalini-- Kal hame ek meeting ke liye hyderabad baad jana h tum sath chalna mere.
Ateet-- to aap mujhe kyun le ja rhi ho aapki secretary ko le jao. Mera kya kaam ya team project leader ko..
Shalini- Mera mann mai kisi ko bhi le ja sakti ho baha inme se kisi ka koi kaam nhi, tumhe bas sath chalna hai..
Ateet -- Kal mai free nhi hu Hardik ke sath kisi emergency me jana hai..
Shalini ateet ke samne Hardik ko office me bulati...
Shalini- Hardik kal tum kaha ja rhe ho..
Hardik-- hairani se.. Boss mai to kahin nhi ja rha..
Shalini- Sun liya tumne ab kal ready rahna.
Bechara Hardik unhe aise dekhkar badi hairani se bahar ja rha tabhi Ateet ke dhimi abaaj gadhe bol nhi sakta tha kya koi emergency hai... Tujhe to dekhta hun..
Ateet- Kal kitne baje jana hai.
Shalini -- Evening me 4 baje.. Ok
Next day evening me..
Shalini -- Chalo aa jao Car me betho, tumhe to khud pick up karne ana chahiye pr mujhe aana padh raha hai..
Ateet kuch nhi kahta or chup chap car me beth jata hai. Or bahar ke side dekhta hai.
Kafi samay ho gya chalte huye lakin dono me se koi ek dusre se pahle baat nhi karna chahta.Shalini-- Ek baat puchu tumse sach sach jabab doge mujhe..
Ateet- Kya puchna chahti ho..
Shalini -- Kya tum mujhe bhul paye?
आप पढ़ रहे हैं
Taqdeer
أدب تاريخيAkele rahna hi ishq hai, love story h ek aise ladke ki jise nafarato ne bada kiya or kese use Ek ladki se pyaar hua or uska makaam sirf dard or beintaha ishaq raha. Fir bhi uski taqdeer ne ek alag hi rukh liya.