Sahaj Malik: Jaisa naam, waisa kaam. Yeh janaab apne naam ki tarah bilkul simple aur bland hai. Yaa yun keh lein ke inhe apni life mein koi interest hi nahi hai, except for his business.
Punctuality inke khoon mein hai. Yaa phir, Ghadi ke kaanto par chalne wala ek jeeta-jaagta robot bhi keh sakte hai aap inhe.
Lekin bahut jald inki simple aur boring life mein ek bahut bada toofan aane wala hai.
Kahaani Garhwal: Inka naam kahaani kya rakh diya, yeh toh apni hi kahaani ki duniya mein rehti hai. Architecture ban-na chahti hai, lekin inke baba ko inhe doctor bana-na hai, kyunki woh khud doctor nahi bann sakein.
Khair, chalta phirta toofan hai yeh mohtarma. Inke pass aayein toh samajh lijiye aapka nuksaan pakka hai.
kahaaniyon ki pariyon ki tarah inke bhi khubsurti ke kya hi kehne. Lekin jitni yeh khubsurat hai, utni hi tez zubaan bhi. Inse jagadne se pehle banda doo baar soch lein toh hi behtar hai.
Waise, inn ki ek kamzori bhi hai-- Mithaai. Chahe koi bhi mood ho, mithaai khane se thik ho hi jaata hai. After all, sugar stimulates the release of serotonin, a neurotransmitter that is associated with feelings of happiness and well-being.
Lekin, inki clumpsy life mein jald hi koi discipline laane walla aay raha hai.
********************
Abb zara inke parivaar se bhi mill lijiye.
Malik Family
Saumya Malik: Inke naam ki tarah yeh bhi bilkul saumya aur shant hai. Inse sweet lady aapne shayad hi kahi dekhi ho. Aur utni hi khubsurat bhi. Dekh ke aap keh hi nahi sakte ke inke doo (2) bade-bade bacche bhi hai.
Heer Malik: Jitna khubsurat inka naam hai, utni hi khubsurat yeh khud bhi hai. Aur jitni khubsurat yeh hai, utna hi khubsurat inka dil bhi.
Aur uss heer ki tarah, iss heer ko bhi ek ranjhe se pyaar hai. Lekin apne bhai ke darr se iqrar nahi kar paayi abhi tak.
Khair, inhe inke bhai ke saath DNA test ki jarurat nahi hai. Dono ek dusre ki carbon copy hai. Bss farq itna hai ke inke bhai apne mijaaj se punctual hai, aur yeh apne bhai ke darr aur pyaar mein punctual bann hi gai hai.
Garhwal Family
Dheeraj Garhwal: Bss inke toh naam mein hi dheeraj hai. Warna, haqeeqat mein toh yeh chaubis ghante bss gusse mein hi rehte hai.
Khud doctor ban-na chahte the lekin inke baba ke paas paise hi nahi the itne inhe padhane ke. Iss liye aaj yeh ek bank mein accountant ki jab karte hai.
Lekin yeh chahte hai ke inka doctor ban-ne ka adhura khwaab unki badi beti pura karein. Lekin, zindagi hamare hisaab se thodi hi chalti hai!
Katha Garhwal Yeh hai Gharwal khandan ki choti beti. Kahaani se doo saal aur teen mahine choti. Dariye matt, inka naam bhale hi katha hai lekin yeh apni behen ki tarah kahaaniyon ki duniya mein nahi rehti. Inhe apne baba ka sapna pura karna hai, lekin kya karein, inhe padhai mein mann hi nahi lagta. Inka mann toh bss apni ek choti se bakery kholne mein hai.
Anand Garhwal: Garhwal sister's favourite 'chachu'. Apne hi naam ki tarah yeh khud bhi hamesha aanand mein hi rehte hai. Kal ki koi fikr nahi. Duniya ke sabse befikr insaan. Kyunki yeh kehte hai-- Insaan ko hamesha khush rehna chahiye, kal kisne dekha.
Khushi Garhwal: 'Inki jodi rab milai jodi hai'. Yeh bhi apne husband ki tarah utni hi khush-mijaaj hai. Inki koi aulad nahi hai. Issi liye Kahaani aur Katha ko yeh apni hi beti ki tarah rakhti hai. Uss mein bhi Kahaani toh Inki jaana hai, ghar ki pehli beti joh hai.
YOU ARE READING
Jaan - E - Nisaar
Romans"Don't be a slave to the clock, for we live only once." "Your disciplined present decides your better future." ******** She is another name of clumsiness, and He is a defination of perfection.... She has nothing to do with punctuality, and His l...