34|Trigger

4.4K 583 165
                                    

"Ayzel?" Ilhaan calls from back.

"Ji?" Ayzel turned around stiffly.

"Kia karahi ho?" Roohi agai?" Ilhaan asks.

"Nahi. i mean agai leken mein batein nahi sunrahi thi mein bas Kiraan pass jrahi thi wo school se agai ha to batane ayi thi." Ayzel stammered.

"Mene kab kaha batein sunrahi thi? Aur abhi mat jaou na! Mein lunch lekar aya hu sath krete ha ajaou." Ilhaan suggested.

"Toh! Ap log krlena." Ayzel replied.

"Sath me krti haina! Roohi ayi ha maza ayegi." Ilhaan suggested.

"Wo to aksar ati ha ap log aksar party krte ha? Mein to hamesha apne room me hoti huna! To aaj kyu nahi?" Ayzel asks.

"Phele ki baat aur thi na Ayzel! Abhi mein kheraha hu hamare sath lunch karlo to kia problem ha?" Ilhaan asks sharply.

"Problem? ek problem nahi ha mujhe sau problem ha! Sau sawal ha mere ha! Kyu phele ki baat aur thi aur ab ki aur ha? Kyu phele mera uper rehna sahi tha ab nahi ha? Kyu mein achanak itni important hogai ha? Kyu mein achi lagne lagi hu? Jo Azaan bhai mere shakal dekh kr cheekna shuru krdete the wo kyu ab mere liye raat tak jagte ha? Aisa kia hua ha bhai?" Ayzel didn't realise when and how her anger sparked. Something about Roohi and Saba triggered her.

"Calm down!" Ilhaan shouted.

"Ilhaan!" Roohi rushed out of the room.

"Ek sec Roohi!" Ilhaan stopped her.

"Kia hua ha? Tumhe pata haina? Bhaiya agaye hum sab ab theek ha phir bhi tum yahi batein krahi ho!" Ilhaan replied.

"Ohh aur kal agar apke bhaiya wapis chale gaye toh? Mein phirse akeli hojangi na? Toh why not let me start from today only? Mein ap logo se umeedein lagalu? End me to mein hi hurt hongi na?" Ayzel replied wiping her tears.

Ilhaan crouched down in front of her.

"Kia hogaya ha Ayzel? Hum sab sahi the? Raat tak theek thi toh ab kia hua?" Ilhaan asks.

"Aur nahi jange bhaiya ab wapis! Aur agar chale bhi gaye to we have realised how much you mean to us yaar! Jo galtia hum se hogai woh to ab hogai na? Change to nahi krsakte? Agey barh sakte haina." Ilhaan explained softly.

"Ap logo ne mujhe 12 saal akele chora ha! 12 saal agr ap log mujhe is baat ki saza dete ke mein apke baap ki dusri biwi ki beti hu to mein chup bhi rehti leken ap logo ne mujhe apne bhai ke jane ki saza di wo bhi us bhai ke jisko me janti tak nahi hu dhang se! Ajj achanak se mere naam ke agey unka naam jor dia gaya ha? Meri custody lene gai ha woh? Jo apne sage bhen bhaio ko chor kar chalagay wo mujh soteli se kia rishta nibahayega?" Ayzel shouted crying.

"Kia karte woh? Custody nahi lete to kia krte? Aise hi chordete tum? Hamari galti ki saza unhe mat do!" Ilhaan snapped loudly.

"Iluu!" Roohi squeezed his shoulder.

"Chordete na mujhe mere haal pe! Koi bhi leleta mere custody! Rehaan bhai lelete." Ayzel said and Ilhaan felt the hurt he has never felt.

"Wo single male jinse tumhara koi blood relation nahi wo nahi leskate the! Bhaiya stepped up and you should be grateful." Ilhaan pointed a finger in her face and said.

"Well I am not! Mujhe pata ha pura yaqeen bhabhi ne use force kia ha! Wo mujhse seedhe muh baat nahi krte wo mere guardian banenge?" Ayzel spat.

"That is enough Ayzel! Hurt ho I can understand leken limits cross nahi karo you would have never said in front of bhai to mere samne kyu?" Ilhaan asks.

"Exactly! Unhe apne dil ki baat nahi karpati toh soocha apke samne karlu! Koi bhi nahi ha bhai mere pass jisse mein apni batein share krsaku! Kiske pass jaou dil halka krne maa bhot phele margai! Baap coma ha apna koi hai nahi! Do hafte ke liye bhai mile tha ap lagta ha wo bhi meri zindagi ka ek khuwaab tha apko pata ha mene itni bari ye sab apne khuwabo me dekha ap reality me horaha toh mere dil maane ke liye tayar hi nahi." Ayzel choked up.

Ishq-e-Khass (special love)Where stories live. Discover now