Kuch ankahe prashan

8 1 0
                                    

~If you want you can ignore my rants and go directly to the poetry.

So this is the first book I'm publishing as an poet, I love to write romance novel but some time they also make me bored so I have written all these I the time when I was bored, poetry is the way you can express your felling for anything or anyone so if you relate this please vote for it.

~~~~

"Kehte ho khush rakhoge
hamesha, par kya kabhi ruloge nahi? 
Dawa karte ho mere dard ko samjhne ka, lekin kya sachme samajh paoge? 
Wafa ka wada karte ho har lamha, kya par wafadar reh paoge? 
Dilon ke rishte ki baat toh karti hai puri duniya, par kya dil se rishte kbhi nibha paoge? 

Kehte ho tum seher banoge meri, par kya andheron mein saath doge? 
Chand ban ke muskurate ho, par kya raat ke aansu ponch paoge? 
Jo rishte khatm ho jaate hain raaste mein, un rishte se bacha paoge kya? 
Kehte ho kabhi tootne nahi doge, par jab main bikhr jaun toh samet paoge kya ? 

Tum har baar pyar ke afsane sunate ho, par duniya ko aapne pyar afsana bta paoge kya ? 
Zindagi ke gum milein toh, kya haath thamke sambhal paoge kya ? 
Kehte ho doori se koi farq nahi padta, par door hoke bhi paas aa paoge kya? 
Har mod pe saath dene ka wada hai, lekin jab mod kathin ho, tham paoge kya?"

~~~~~~~

KYA!!!!, if anyone has an answer for this tell me in the comments.

So if you have read this then very very thank you for choosing this these are my emotions, I have written my emotions on the paper and now on this if you liked this please vote.

The Rhythm of longingDonde viven las historias. Descúbrelo ahora