4. Multan !

3 0 0
                                    


Jaagirdaar Shabakht salman Ahmed  multan ka sabse bda , or ameer jaagirdaar .

Uss raat usne apne bete k paale mein ek or bache ko dekh hairani hui,, Usse samajh nhi aaya ki yeh bacha yaha aaya kaise ?
Usne bohot der Tak socha, or khoja prr uss kamre mein koi na tha, uss bache ko paida hue jayada waqt nhi hua tha,
Uski biwi jo , delivery k baad se hi coma mein thi.,
Uski kaneez faqiraa Jo uske bache ka khayal rakhti thi, usne Shabakht se pucha ,
Yeh kiska bacha h jaagirdaar sai,

Shabakht ne kuch na kaha, uske man mein, kuch or chal rha tha,

Woh ek Aisa jaagirdaar tha, Jo raat o raat multan ka sabse ammir jaagirdaar bn gya tha,

Shabakht ne faqiraa se kaha,
Agr tumne iss dusre bache k baare mein kisi ko bhi bataya toh mein tumhari zabaan kheench lunga,

Faqiraa ne nazre jhuka di or uske kamre se bahar nikal gyi,
Shabakht ne uss bache ko uthaya or apne haweli se bahar nikla ,

Faqiraa ne usse bache ko bahar le jaate dekha or man mein kaha, iss haiwaan ka koi bharosa nhi, pta nhi ab iss bache k saath kya karega, ? Woh bacha Zinda lautega ya nhi. ?

Shabakht apni gaadi ko tez chalte hue , multan k bahar le Jaa rha tha ,

Uski gaadi tez raaftari se aage badh rhi thi,
Woh aadhe ghante mein multan se bahar tha,
uski gaadi ek veeran si jagah par ruki,
Woh uss bache ko apni god mein pakad ek , teele par chadh gya. Or buland awaz mein kaha,
Lo jin mein aa gya, tumhe meri aaulaad chahiye thi na ? Lo ! Lelo isse

Usne ek jin ko dhoka Dene ka socha tha, woh apne bete ko salamat rkha chahata tha,
Jin usse dikhayi toh na Diya par uski awaz aayi.
Yeh Teri aulaad h ?

Shabakht ne kaha, Haan ! Yeh Mari aulaad h
Jin : usse teele par rakh or chla Jaa

Shabakht ne uss bache ko teele par rakha or palat kr apne gaadi mein Jaa kr baith gya,
Usne kuch der waha intezar Kiya , ki shayad koi jin uss bache ko le jaaye par koi na aaya. 
Usne gaadi shuru ki or wapas multan aane k liye gaadi bhaga Diya,

Kareeb 25 minute mein woh multan mein tha or uski gaadi uske haweli mein daakhil hui,

Faqiraa doud kar ek kone mein chhup gayi,
Shabakht apni gaadi se utra or haweli k andr apne kamre mein chla gya,
Faqiraa ki rooh kaanp gyi. Usse Shabakht k saath uss bache ko nhi paya,

Shabakht apne kamre mein daakhil hua, uski aankhe khuli ki khuli rhe gyi thi,
Uski saans atak rhi thi, usse uski aankhon par yaqeen nhi ho rha tha
Jis bache ko kuch der pehle usne teele par rakh Diya tha woh uss paale mein uske bete k paas leta hua tha,

Uski Nazar apne kamre ki khidki par gayi , usne dekha uss khidki par ek saya tha,

Woh sehem sa Gaya, uska dhoka uss par palat chuka tha,
Jin ne gusse bhari awaz mein usse kaha,
Tumhe kya laga , ? Tum mujhe itni aasani se dhoka de sakte ho, ? Yeh Teri aulaad nhi h,
Shabakht apni ladkhate hue awaz mein Kaha yeh Mera hi beta h ,
Jin ne aur gusse mei kaha,
Bss Karo, mein yeh baat jaanta hu ki yeh tumhari aulaad nahi h. Maine apna sauda pura kiya, par tumne mujhe dhoka Diya, tumne kisi or k bache ko apna bta kar apne bache ko bachana chaha.
Shabakht sakte mein aa gya, uska dimaag Kam Krna band kr Diya tha, usse kuch bhi nhi ssujh Raha tha,
Usne dheeme awaz mein kaha, iss rakh lo or mujhe mere bete se alag mat karo,

Jin : maine yeh sauda nhi Kiya tha, ki kisi or k bache ko rakhu , par ab mein iss bache ko rakhunga !

Shabakht ne chain ki saans li. Usse laga jin uske bache ko chhor dega

Jin : mujhe dhoka Dene ka hashr tujhe milega, yeh bacha Teri Jaan lega, or tere bete ki bhi.,

Shabakht k saans ko jaise kisi ne rok liya ho,
Uske pair kaanp rahe thhe ,
Jin : Na tu isse maar paaega or na isse alag kar paaega, yeh bacha Teri Jaan ko tere jism se nikalega, yeh bacha jin banega, or tujhe or Teri is malkiyat ko ukhaad kar phenk dega,

Shabakht ne ghutno par girte hue kaha. Aisa mat karo, tum apni saari daulat le lo, paar Aisa mat karo,

Jin : Tumhe sauda mazak laga Shabakht !!, prr mein tumse yeh sab nhi cheenunga , tumhe ghut ghut kar mrna hoga, yeh bacha jisse tumne mujhe Diya tha mein tumhe isse lauta rha hu. Iski parwarish Teri biwi khud karegi.

Jin ka saya ekdam se gayab ho gya.
Shabakht zameen par dhare k dhare reh gya, usse samajh nhi aaya ki woh kya kare ,
Woh apni jagah se utha or uss bache ki taraf badha usne uss bache ko uthaya or zameen par patak diya,
Prr uss bache ko kuch nhi hua
Usne phir usse uthaya,

---------
Jaagirdaarni saadiya , ki aankhe khuli or usne., Shabakht ko dekha. Or usko awaz lagayi
Shabakht ekdam se ruk gya. Sadiya,ki awaz ne usse rok diya , jo delivery k waqt se coma mein thi,
Woh palat kr usse dekha,
Sadiya ne kaha. Mere bache ko mujhe de dijiye aap .
Shabakht na toh usse sach bta sakta tha or na hi kuch kar sakta tha,
Usne uss bache ko paale mein rakha or apne bache ko sadiya k god mein rkha ,
Sadiya ne usse kaha, kya baat h aap yeh dusra bacha kahan. Se laaye ?
Shabakht ko kuch nahi sujh rha tha ,usne koi bahana socha or kaha,
Tum coma se kaisi jaag gyi , ?sadiya,
Sadiya : pta nahi,
Shabakht uske baju mein baith gya, or dheere dheere , uske baalon ko chhune laga,
Sadiya ne phir pucha yeh bacha kiska h,?
Shabakht ne kaha , yeh bache ko Maine ek kachre se laya h,
Sadiya ne uss bache ko dekha or kaha, kaise maa-baap hote h. , ek bacha bhi nhi sambhlta h logo se ,
Shabakht ne usse kaha , par tum fikr mat Karo mein iss bache ko kal hi yateem khane mein de dunga,
Sadiya ne uska haantho ko pakda or kaha, nhi, aap , aisa mat kariye , mein iss bache ko palungi. Isse mujhe de dijiye, ham isse pyar denge ,

Shabakht ne sadiya ka haanth jhatka 
Pagal ho gyi ho tum, yeh hamara bacha nhi h ,
Sadiya ne uske haantho ko pakda or kaha. Please mujhe ,rakhne dijiye isse,
Shabakht apni biwi k samne bebas tha, usse uss waqt sadiya par bohot gussa aa rha tha , par woh kuch kar bhi nahi sakta tha, uss bache se apne aap ko mehfuz rakhna chahata tha, uske dimaag mein jin ki ek ek baat goonj rahi thi, usne ek baar phir sadiya ko dekha, woh usse nahi bta sakta tha , yeh bacha uski maut h, agar usne batane ki koshish bhi ki toh saude k mutabik usse sab kuch cheen liya jaaega isliye usne
ek shart rakhi,
Yeh bacha hamara nhi h, mein iski parwarish nhi karunga, tum hamare bache ko pehle dekhogi or baad mei. Isko , yeh hamare saath nhi tumhari kaneez faqiraa k saath rahega ,
Woh uss bache par nigarani rakhna chahata tha.
Sadiya ne kuch der socha or kaha ,jaisa aap chahe bss iss bache ko yaha rehne de ,

Shabakht uth khada hua or kamre se bahar nikal gya,
Sadiya ko kuch ajeeb laga,
------
Faqiraa dabe paaon se kamre mei daakhil hui .
Woh bhi sakte mein aa gyi thi, ki abhi kuch ghante pehle Shabakht ne iss bache ko gaadi mei. Le kar kahin gya tha or phir khaali haanth wapas aaya , par jab usne bache ko laya hi nahi toh yeh bacha iss kamre mein aya kaise ,?
Yeh baat faqiraa ko satane lagi, uska shak , Shabakht par din b din badh rha tha,

-------

Sadiya ne uss bache ko bhi apni god mein uthaya
Uski zindagi mano Gulzar ho uthi thi,
Woh muskurayi or dono bachon ko seene se lagaye baithi rhi

HAYAT : The Way Of Life And FaithWhere stories live. Discover now