Ziya apne kamre mein ro Rahi thi,
Raat har ek cheez ko apne aqab mein le rahi thi,
Usse doctor Aqib ko phone bhi Karne k liye landlines ka istemal krna tha Jo ki kamre k bahar tha,
Usne ek kapda nikala or pankhe par tang diya,
Ziya ne ek phanda banaya or usse apne gale mei. Daal liya,Par uske pair dar se kaanp rahe thhe , use Zindagi jeeni thi, woh jeena chahti thi,
Ziya ne apni aankhein band ki or bed se latak gayi,
Uski saans chadhne lagi, woh tadap Rahi thi, uske haanth pair phadphada rahe thhe.
Usne haqlate hue awaz mein kaha, mujhe maaf Krna Allah , Ab mein thak gayi hu. Ab mere sabr ki inteha khatm ho chuki h,
Woh apne saare pal ko yaad kar marna chahti thi, uske aankhon k aansu bata rahe thee ki woh sach mein thak chuki thi, aaj usse pehli baar mehsoos hua tha ki Allah ne uska saath chhod Diya tha, par uske dimaag mein bas yahi khayal thaUska phanda ekdam se toota or zameen par bohot tez giri,
Shayad Allah ne usse bachana theek samjha tha,
Ziya k toote haanth ko plaster ne bacha rakha tha, par usse dard behad zayada ho Raha tha,
Uske girne ki awaz ko sun kar, sameen andr aayi,
Usne ziya k gale mei. Phanda dekha or daud kar uske paas gayi,Ziya ki saanse abhi bhi chadhe hue thhe , woh haanf Rahi thi,
Sameen ne Arshad ko awaz lagayi or woh dono ziya ko Bina deri karte hue Hospital le Gaye ,Doctor Aqib ne ziya ko strecher par dekha or sakte mein aa Gaye,
Woh doud kar ziya k paas aaye , par unke kadam arshad or sameen ko dekh ruk gaye,Ziya ko jald hi observation mein le liya gaya,
Ziya ab bhi hosh mein thi, bas woh kuch bol nahi paa Rahi thi,Arshad or Sameen kamre k bahar baithe thhe,
Mauka dekh Doctor Aqib andr daakhil hue , woh tez kadmo k saath ziya k paas Gaye,Ziya ne doctor Aqib ko dekha or rone lagi, usne apni dheeme awaz mein kaha, mujhe iss daldal se nikaal lein aap ,mein mar jaaungi, mujhse nikaah kar lein ,
Doctor Aqib ko ziya ki baatein samjh nahi aa rahi thi, woh bas usse sunne ki koshish kar rahe the,
Ziya ko ehsaas hua ki woh bol Rahi thi, par uski awaz bohot dheere thi,
Usne apne halakh par zor dete hue kaha,
Mujhse nikaah kar lijiye aap, or iss daldal se nikal lein mujhe, mein mar jaaungi. AbDoctor Aqib ziya ko ekdam se dekhne Lage, uhone nahi socha tha ki shayad ziya unse aisi baat kahegi,
Doctor Aqib : Par mein kaise aapse nikaah, ......?
Ziya ne ussi kamzor awaz mein kaha,
Please ,mujhe ya toh apna bana lein ya maut dede.
Doctor Aqib ne apna haanth peeche kheencha or kaha,
Mujhe mere abba se baat karni padegi, bina unse baat kiye bagair mein aapse nikaah nahi kar sakta ,Ziya k aankh aansu se bhar gaye,
Ziya : Aap mujhe kahin dur bhej dein ,mein wahan khush reh lungi par mein inke saath nahin jaana chahti please,Doctor Aqib ne kaha mein kuch karta hu, aap mere intezaar Karein,
Ziya ko ab bhi sabr karne ko kaha Jaa Raha tha jabki woh ab apne sabr ko azma azma kar thak chuki thi isiliye usne khudkushi ki socha tha,
--------------------
Hadi ki neend ab khul chuki thi aksar woh raatein jaagte hue guzarta tha
Hadi iss waqt club mein tha,
Woh apne dosto k saath hansi mazak kar Raha tha,
Tabhi ek ladki uske paas aayi or kaha,
Will you .........?
Hadi : can I ............?Hadi k dost usse dekh kar muskura diye
Hadi uss ladki k saath club k ek kamre mein chlaa gaya,
Ladki ne hadi ko bed par bithaya,
Or uske baalon ko sehlaane lagi,
Hadi ko kuch waqt Tak toh acha laga par uske khayalo mein ek baar phir ziya thi, na jaane kyu Aaj usse ladkiyo ka chhuna pasand nahi aa rha tha,Usne apne mind ko divert krne k baarein socha or
Ladki ko ishara kiya,
Woh dono raat k andhere mein ek dusre mein doob rahe thhe.
Par hadi k khayal ab Tak ziya k parde waale chehre par atak hua tha,
Woh Naa jaane kyu ziya ko dekhna chahta tha,
YOU ARE READING
HAYAT : The Way Of Life And Faith
SpiritualA story written in hinglish form which helps readers to read easily and navigate the characters Ziya a girl who's life is a hell before marriage, is her life will be a heaven ? Will any prince will come to marry her ,? who's own mother is her enem...