part_7

97 5 8
                                    

Assalamu alaikum
Part_6
Written by alfariya Sheikh
Ignore mistakes

Night 1 pm

At 1 o'clock in the night, a bike stops in the corner of the garden of Khan haweli. The person sitting on the bike takes off his helmet, gets off the bike and smiles after looking at the haweli, which was not normal at all.

wo khan haweli ki taraf badh jata hai jaha sare guards so rahe the wo aadmi haweli ke back area se jata hai waha kuch guards the jo aaram se so rahe the wo aadmi chupte chupate haweli ke andar chala jata hai haweli ke andar jate hi ek nazar pure haweli ko dekhta hai aur sediyo ki taraf chala jata hai

Wo uper pahuchkar ek room ki taraf rukta hai aur uska halka sa gate kholta hai jaha hidayat bed par duniya zamane se befikr so rahi thi wo aadmi uske room me chala jata hai aur gate ko andar se lock kar deta hai

Wo bed ke pas pahuchkar ek gahri smile ke sath hidayat ko dekhta hai aur uske bed ke pas bhethkar hidayat ke chote se hatho ko pakadta hai aur kahta hai

hidayat utho.( Men said)

Lekin hidayat to hidayat hai wo itni asani se kese uth jati wo aadmi fir se awaz lagata hai

Hidayat utho yr.(Men said)

Kisi ki awaz padte hi hidayat ki ankhe fadfadati hai wo dudhli ankho se samne bhethe aadmi ko dekhti hai apne pas kisi ko bhetha dekh uski neend bhari ankhe badi ho jati hai wo cheekhti isse pahle hi wo aadmi uske muh par hath rakh deta hai

main hu anas yr kyu cheekh rahi ho.(anas said)

Ji ye anas tha hidayat ghabrate hue uske hath ko apne muh se hatati hai aur light on karti hai anas ko dekh uske chehre par pasina aa gaya tha uski sanse uper neeche ho rahi thi

Tum yaha kya kar rahe ho andar kese aaye itni raat ko wo bhe.(Hidayat says while fear)

Ha tum aaj college nahi aayi to mujhe tumhari yaad aa rahi thi.((Anas says it without any concern)

Hidayat uski bawkoofi par use ghoorkar dekhti hai

Tum pagal ho kya kisi ne dekh liya to pta bhe hai kya hoga please yaha se chale jao.(Hidayat says while fear)

Kuch nahi hoga kitna darti ho itna risk lekar tumse baat krne aaya tha aur tum mujhe bhaga rahi ho .(Anas says making a face )

Tumhara dimag kharab hai raat ka 1 baj raha hai kisi ne dekh liya to kya hoga aur khan sahab unhone dekh liya to subah ka suraj nahi dekh paoge.(Hidayat says while fear)

Main nahi darta kisi se mujhe baat karni hai tumse.( Anas said)

Ham college me baat karenge please jao abhi koi dekh lega.( Hidayat says while crying)

accha accha ja raha hu rou to mat.(Anas replied)

Mai nahi ro rahi please tum jao isse
pahle koi dekhe tumhe.(Hidayat said)

anas bed se uthta hai aur muh bnakar uske room se nikal jata hai hidayat bhag kar balcony me aati hai anas chupke se bahar nikalkar ghar se bahar aata hai aur apni bike par bheth jata hai aur ek nazar hidayat ki balcony ki taraf dekhta hai jaha hidayat darte hue use jaane ka ishara kar rahi thi anas ek gahri sans lekar waha se nikal jata hai

Uske jate hi hidayat gahri sans leti hai aur balcony band karke room me aati hai aur pani peeti hai anas ke is tarah aane se wo behad dar gai thi kyuki wo janti thi agar hamza dekh leta to anas ko subah ka suraj naseeb nahi hota hidayat pani peekar light off karke bed par let jati hai

Lekin koi tha jiski ankho me door tak neend nahi aayi thi wo apni balcony me khada laal surkh ankho se jis raste anas gaya us jagah ko ghoor raha tha us aadmi ki nase tani hui thi uski ankhe jal rahi thi wo apni pocket se phone nikalta hai aur kisi ko phone karta hai aur phone par kuch kahta hai jisse uske chehre par devil smile aa jati hai wo phone ko pocket me rakhkar cigrit jalata hai aur lambi lambi kash bharne lagta hai

In morning

Everyone was having breakfast, Hamza was not there, everyone was having breakfast laughing

Mera nashta to ho gya main beg lekar aati hu fir college chalte hai.(Hidayat said)

Thek hai aao main garden me wait kar rahi hu.(Faiza replied)

Hidayat uski baat sun room me chali jati hai aur apna beg aur phone uthakar anas ko call karti hai lekin uska phone continue switch off bta rahe the.

Lagta hai gussa hai phone switch off kar liya janab ne btati hu college me.( Hidayat said)

Ye pahli baar nahi tha jab anas gussa hota tha to apna phone switch off kar leta tha isliye hidayat tension free thi.

Hidayat apna phone aur beg lekar neeche aati hai aur faiza ke sath college nikal jati hai kuch der me unki car college ke bahar rukti hai hidayat aur faiza bahar aati hai aur andar chali jati hai hidayat ek nazar pure college me ghumati hai aur class ki taraf chali jati hai use laga tha anas class me hoga

Wo class me aati hai aur apni jagah par bhethkar ek nazar pure class me ghumati hai use anas kahi dikhai nahi deta use thoda ajeeb lagta hai kyuki ye pahli baar tha jo anas college nahi aaya tha

kya hua pareshan kyu ho.(Faiza said)

Aaj anas nahi dikhai de raha hai wo hamesha college aata hai.(Hidayat replied)

aa jayga baccha nahi hai wo tum kya har time uski fikr karti rahti ho.( Faiza says while making a face)

Pyar karti hu fikr to hogi hi wo kabhi college bunk nahi karta aaj abhi tak nahi aaya warna class me hamesha mujhse pahle milta hai.( Hidayat replied)

aa jayga tum pareshan mat hou raste me hoga.( Faiza said)

Ha shyad tum sahi kah rahi ho.(Hidayat replied)

Wo dono baat kar rahi thi tabhi class me professor aa jate hai sabhi log unhe wish karte hai aur class start ho jati hai

_________________________________________

Thankyou for read
Allah hafiz

mohabbat ka nashaWhere stories live. Discover now