Assalamu alaikum
Part_11
Written by alfariya Sheikh
Ignore mistakesAfter some time Hamza's car stopped outside Khan's haweli hidayat Without even looking at Hamza, she opened the car gate and went inside. Hamza keeps watching her go inside until she disappears from his eyes.
Hamza leaves from there with his car.Hidayat andar jati hai hall me sabhi log bhethe baat kar rahe the sabki nazar hidayat par jati hai hidayat ko dekhkar Iqra ji kahti hai.
are beta aa gai tum bhetho chai pilo.(Iqra ji said)
Main bahut thak gai hu aaram karne ja rahi hu.(Hidayat replied)
Hidayat sabko ignore karke uper chali jati hai aaj uska fool jaisa chehra murjhaya hua tha wo room me aati hai aur gate lock karke apne beg aur phone ko ek side fekti hai aur zameen par bhethkar apne face ko hatho se cover karke rone lagti hai wo gusse me room ko tahes nahes karne lagti hai
Kyu kiya aapne mere sath aisa khan sahab maine to aapko hamesha itni izzat di kya bigada hai maine aapka aap mujhe meri mohabbat se door kar rahe. (Hidayat says while crying)
wo apne face ko apne hatho me bharkar siskiyon se ro rahi thi hamesha hansne wali hidayat aaj chupke se ro rahi thi uska chehra murjha gaya tha hidayat rote rote hi zameen par so jati hai.
Night 8 pm
At 8 in the evening, hidayat's eyes open, she gets up slowly and goes to the washroom. After some time she comes back after freshening up. She was wearing a red anarkali suit. She opens the gate and comes downstairs.
Hidayat sediyo se utarkar aati hai sabki nazar uspar chali jati hai wo aakar sabko Salam karti hai aur apni chair par bheth jati hai tabhi uski nazar hamza par jati hai jo use dekh raha tha khudpar uski nazro ki tapish sahan kar hidayat apni nazre jhuka leti hai hidayat ke nazar churate hi hamza ke hoton ke kone mud jate hai
Hidayat kya hua kya tumhari tabiyat kharab hai beta.(Aarifa ji said)
main thek hu ammi bus padhai ka thoda pressure hai.(Hidayat replied)
Beta tumhara chehra itna murjhaya hua kyu hai agar koi problem hai to docter ke chale tum college se aakar bhe seedhe room me chali gai thi koi baat hai kya beta.(Iqra asked)
Nahi tayi ammi main thek hu bus thoda thak gai thi college me.(Hidayat replied)
accha thek hai chalo dinner kro sab.(aarifa said)
Hidayat was having her dinner with her eyes down.Hamza's gaze was focused only on Hidayat, the way Hamza was looking at him, it was becoming difficult to take out the food from his throat In some time everybody has dinner.
hamza ek nazar hidayat ko dekhta hai jo apna dinner kar chuki thi hamza sabki taraf dekhkar kahta hai.
mujhe aap sabko kuch btana hai.(Hamza said)
Hamza ki awaz sun sabki nazar uski taraf chali jati hai.
Ha bolo beta kya baat hai.(Usman ji said)
Hidayat sabse nazar hatakar hidayat ko dekhta hai
Hidayat room me jao.(Hamza said)
Hidayat uski baat sunkar nazre uthakar use dekhti hai aur chupchap room me chali jati hai.
Use kyu bhej diya beta room me.(aarifa asked)
Uske sunne ki baat nahi hai chachi.(Hamza replied)
Accha ab btao kya baat hai.(Mehrab ji said)
3 din me mera nikah hai.(Hamza says while imtional less face)
Hamza ki baat sunkar sabhi log shocked ho jate hai aur kuch second tak freez ho jate hai hamza ne sabke sar par boom foda tha.
Whatttt kab kisse ladki kaun hai.(Iqra ji said)
Tumne ladki pasand karli aur btaya bhe nahi beta kya ham itne paraye ho gaye hai.(Aarifa replied)
Bhai aap mere sath aisa kese kar sakte ho maine aur hidayat ne to itni shopping karni thi.(Faiza says while crying face)
Hamza ki baat sunte hi sabhi logo ne uspar sawal shuru kar diye hamza iritate hokar apni gahri awaz me kahta hai
Just shut up.(Hamza says while angerlly)
Hamza ki gahri awaz sunkar sabhi log chup ho jate hai hamza aage badhkar mehrab ji aur aarifa ji ke pas aata hai aur unke pas bhethkar kahta hai.
Chacha chachi aap dono ne hamesha mujhe apne bete ki tarah samjha hai hamesha mujse mohabbat ki hai meri har khwaish ko pura kiya hai agar aaj aapka ye beta aapse kuch mange to aap doge use. (Hamza said)
Hamza ki har baat sabko shocked aur confuse kar rahi thi aarifa ji aur mehrab ji na samjhi me hamza ko dekhne lagte hai lekin aman ko hamza ki sari baat samajh aa rahi thi.
Beta aisa kya chahiye tumhe btao agar hamare bus me hua to ham tumhari ye khawish bhe puri karenge. (aarifa replied)
Jo chahta hu wo bahut keemti hai.(Hamza said)
Bolo to beta kya chahiye aapko.(Mehrab replied)
Mujhe hidayat se nikah karna hai.(Hamza said)
Hidayat ki baat sunkar sab hairan ho jate hai Usman ji hamza ki baat sunkar gusse me kahte hai.
Kya tumhara dimag kharab hai bacchi hai wo abhi aur tumhare aur uska umar ka fasla bahut hai tum us bacchi ke bare me soch bhe kese sakte ho.(Usman says while angerlly)
Hamza ye kya battemizi hai tumhare abbu sahi kah rahe hai hidayat tumse bahut choti hai beta.(Iqra ji replied)
Hamza sabko ignore karke mehrab ji aur aarifa ji ki taraf dekhta hai jo abhi bhe shock me the.
Chachi chachu kya aapko apne hamza par bharosha nahi hai kya.(Hamza said)
Mujhe manjoor hai.(Aarifa replied)
Aarifa ji ki baat ne sabke uper ek aur boom foda tha sab shocked hokar unhe dekhne lagte hai
aarifa ye tum kya kah rahi ho hidayat kabhi nahi manegi.(Mehrab ji said)
Maine hidayat se baat kar li hai aap logo ko uski fikr karne ki koi zaroorat nahi hai agar main chahu to bina btaye bhe usse nikah kar sakta hu aur mera koi kuch kar bhe nahi sakta lekin main fir bhe aap sabki razamandi chahta hu.(Hamza replied)
Kya tumne hidayat se baat kar li wo raazi hai.(aarifa said)
Ji maine usse baat kar li.(Hamza replied)
Agar hidayat raazi hai to mujhe koi masla nahi hai.(aarifa said)
lekin aarifa hidayat bahut choti hai abhi (Mehrab replied)
agar hmari beti ka nikah kisi anjaan se hoga to hme hamesha uski tension rahegi aur hamza hmara dekha hua hai use ham bachpan se jante hai aur hmari beti hmari nazro ke samne rahegi.(Aarifa said)
Lekin abhi wo padh rahi hai aarifa.(Usman ji replied)
Bhaijaan hamza baccha nahi hai jo uski kitabe faad dega wo shadi ke baad bhe padh sakti hai.(aarifa said)
Thek hai jaisa aap sabko behter lage lekin ek dafa hidayat se baat kar lena.(Usman ji said)
Ha main hidayat se baat kar lungi.(aarifa ji replied)
Lekin 3 din me nikah kyu ham dhoom dham se shadi karenge hmare ghar ki pahli shadi hai.(Iqra ji said)
nahi main chahta hu nikah sadgi se ho kuch rishtedar bula lein bus 3 din me hi nikah hoga jumme ko.(Hamza replied)
Thek hai main ek baar hidayat se baat karlu ok.(aarifa said)
Ghar me sab itne khush to nahi the par aarifa ji ke chehre par sukoon tha aur wahi dusri taraf faiza ke chehre par pareshani thi wo sabko ignore kar hidayat ke room ki taraf badh jati hai.
_________________________________________
Thankyou for read
Wait for next part.
YOU ARE READING
mohabbat ka nasha
Romancethis story depand on cousin merriege hamza khan and hidayat khan.