chapter 13

136 4 3
                                    

⬛⬛⬛

haan mein tumhe yeh bitanay aaya hon ke laila tum se achi aur tum se ziyada khobsorat hai.

Is ne jaldi jaldi challenge khatam kar ke yahan se niklana tha.

**yeh to mujhe bhi pata hai ke woh mujh se ziyada khubsurat hain achey ka to nahi keh sakti mein unke paas ziyada der to nahi rahi lekin aap keh rahay hain to maan lati hon .

rooh ne muskurate hue kaha .

dekho larki yeh saari meethi meethi baatein nah tum sirf bhai ke samnay kiya karo mere samnay nahi. . aaj phir usay achanak hi yaad agaya ke devil is ke bhai jaisa hai. ya phir shayad usay batana chahta tha ke devil ki zindagi mein is ki bohat ahmiyat hai .

**aap baithy mein aap ke liye chai bana kar Lati hon khana khaya aap ne rooh puchne lagi.

**nahi abhi nahi kha paaya abhi jaake khao ga chaye le aao tum. usay kahan devil un ke ghar mein kabhi khanay peenay ko kuch naseeb -hwa tha jo umeed rakhta haan lekin......

jab se yeh ladki aayi thi is ke haath ka mazay mazay ka khana doosre teesray din naseeb ho jata .

lekin phir maksad yaadrakhna  bhi zaroori tha aakhir laila ka dost tha aur usay laila ka hi dever ban-na tha aur....

is ka dil bhi to kehta tha ke laila is se achi aur is se ziyada khobsorat hai yeh baat allag..........thi ke woh yeh baat batane ke liye kabhi yahan nah aata......

rooh muskurate hue is ke liye khana le kar aayi. aap aaraam se khana khayen phir mein aap ko chaye bana ke dun gi khaali pait chaye nahi peetay .....

Sharif ko is waqt bohat bhook lagi thi is liye saaray nahkre aik taraf rakh kar khana khanay laga ab yaram ko pata lagnay se pehlay usay kuch nah kuch khanay ko to naseeb ho hi chuka tha. warnah kya pata yaram saza ke tor par usay qaid khanaay mein hi daal deta. .....

Sharif mein bachpana tha aur chhota honay ki wajah se aksar galtiyan kar jata tha jis ki saza ke tor par duel usay qaid khane mein dalta aur wahan usay peeli daal aur roti ke sath khana khanay ko milta. aur samnay rakhi kitcehn kadain is patli daal roti se to achi hi thi balkay bohat mazay ki bhi thi ....

tum meri shakal dekhna band kar jao mere liye chaye banaao is ne order diya tha jaisay samnay rooh nahi balkay koi waiters khari ho. chalo yaram ke aaj tak di gayi saza ka badla woh rooh se le raha tha .......

yeh baat allag thi ke agar yaram  ko is bare mein pata chal jata to woh is se ulta latkane  mein 1 second nah lagaata .

**achi laila hai khubsurat laila hai aur chai  le kar mein aaon rooh jo kab se is ke nakhre bardasht kar rahi thi is ke samne aakar baith gayi. woh to chai ki umeed liye betha tha achanak usay ghoor ne laga tum bhi achi ho to chahay to day hi sakti ho Sharif ne masoomiyat se kaha woh chai ka aashiq tha aur chai ke liye to woh kuch bhi kar sakta tha....

mein bhi achi hon ya mein hi achi hon. woh dono haath seene par bandhay is se pooch rahi thi ..

chaye ke sath pakore bhi milein ge is ne jachti  nazron se dekhte hue poocha.....

haan zaroor milein ge......

tum laila se ziyada khubsurat aur usay ziyada achi bhi ho Sharif kisi robort ki tarhan bola tha......

rooh ki to hansi nikal gayi...

aur agar tum mujhe challenge karo gi to yeh baat laila ke mun par ja kar kahoon ga .

mein aap ko aisa challenge kyun dun gi rooh ne confuse ho kar poocha.....

kyun kay sab mujhe challenge dete hain jais mein poora karta hon hamein zindagi mein  har qisam ke

challenge ke liye tayyar rehna chahiye koi bhi hamein koi bhi task day sakta hai. devil kehta hai hamein har qisam ki situation ko face karne ke liye tayyar rehna chahiye. yeh zindagi hai is mein kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai. isi liye jo bhi mujhe challenge karta hai nah

is ka challenge har qeemat par poora karta hon .

to yeh baat hai phir to mein bhi aap ko aik challenge dongi

theek hai is ke liye mein tayyar hon. lekin is se pehlay tumhe mujhe aik baat batani ho gi.....

** mein acha hu ya khizar Sharif ko aaj pehli baar yeh ladki itni buri nah lagi thi. shayad aaj se pehlay woh usay laila ki nazron se daikhta tha....

aap se to kabhi tafseel se baat hi nahi hui haan khizar bhai bahut achey hain. is ne dil se tareef ki.....

matlab khizar mujh se ziyada acha hai Sharif ne mun bana kar kaha......

**pani poori khati ho tum Sharif apni fav list mein shaamil hue logon ko aksar –apne paison se pani poori khilata tha .....

**kya pani poori yahan deeni mein ....rooh to khushi se be hosh honay wali thi. jab kay pani poori ka

naam sun kar mun mein pani agaya tha.

haan mein tumhe laa kar day sakta hon lekin is ke liye tumhe mera aik kaam karna ho ga. mein sab kuch karoon gi jo aap kahin ge rooh ne khushi se chehekte hue kaha. ladki pehlay baat to sun lo. Sharif ne usay hawaon mein urrnay se pehlay hi khech kar zameen par laa patka.

tumhe –apne pyare ladle bhai khizar ke liye blood nug ke chhat par charh kar chala chala kar paanch baar kehna ho ga ke Sharif khizar se behtar hai khizar aik number ka lofur hai Sharif ka kabhi muqabla nahi kar sakta Sharif ne chhupa chhupa kar kaha. is ke badlay mein tumhe  1 nahi balkay 5. 5 plate pani

poori ki laa kar khilaun ga ......

aur agar aaraam se kahoon to aik plate miley gi kya. ..? rooh ne masoomiyat se poocha haan.... pyari behna kyun nahi .......lekin is ke liye tumhe khizar ke kaan mein kehna ho ga.....

  lekin is se pehlay ke woh kuch kehti darwaaza baja aur dobara itne jehrana  andaaz se baja ke dono

apni jagah uth kar kharey ho gaye.......


ROOH-E-YARAMWhere stories live. Discover now