⚫⚫⚫
us waqt devil agaya. Sharif ne dartay hue kaha .....
**aap ko kaisay yaqeen hai ke woh hon ge rooh ne poocha.....
mujhe pata hai wohi ho ga dekho tum mujhe bacha lena. ..
tum meri pyari behan hona plzzzz mujhe -apne shohar ke hathon se bacha lena .
unhon ne zaroor aap ko kisi aur kaam ke liye bheja ho ga aur aap yahan aagye yahi baat hai na..... .?
rooh ne poocha .....
aur darwaze ki taraf jane lagi .
kon hai. . ?
mein hon rooh darwaaza kholo bahar se Yaram bola .......
is ne palat kar dekha.....
mein achi ya laila...??? andaaz mein shararat saaf jhalak rahi thi
arrey tum achi ho meri maa kkhuda ke liye mujhe bacha lena .......
Sharif ne minnat ki aur rooh ne hanstay hue darwaaza khol diya lekin darwaaza kholtey hi Yaram rooh ko ignore karta hwa Sharif ki taraf bhara aur usey gardan se pakar liya .......
***tumhari himmat kaisay hui yahan anay ki mein ne mana kya tha nah tum logon ko ke yahan koi nahi
aaye ga woh ghusse se fatkara tha .....
***Yaram yeh kya kar rahay hain aap choden inhen .......
rooh to pehlay is ke jarehana andaaz pay ghabrayi aur phir agay bhar kar Sharif ko churwane lagi.......
***Sharif tum ne mera bharosa tora hai kyun aaye thay tum yahan yeh laila mujhe bta chuki hai......
tumhara to mein woh hashar karoon ga jisay tum saari zindagi yaad rakho ge. woh ghusse se is ki taraf bhar jab rooh ne usay apni taraf khincha ......
***woh mujh se milnay aaye thay. kya Meer bhai mujhe is ghar mein milnay nahi aasakta. boltay hue
rooh ki aawaz kaafi onche ho gayi. khabardaar jo aap ne mere bhai ko kuch bhi kaha woh un dono
ke beech mein dhal ban ke khari thi .
bhai mein aap ka bharosa kabhi nahi toar sakta aap ke ilawa mera hai hi kon is duniya mein..............
.
.
.
.
Sharif ko phir se Emotional dora para tha. mein to bhabhi ke haath ka khana khanay aaya tha woh abbehan se bhabhi ho gayi thi .
aur abhi mujhe chai bana ke daine wali thi ke aap aagaye woh masoomiyat se bola ......
bahut bhook lagi thi tumhe. khana to tumhe mein khilaun ga. woh aik nazar rooh ko dekh kar usay ghurte hue bola .
ghoorna band karen mere bhai plus dever ko. or khabar daar jo inhen danta bhai aap yahan baithy mein
aap ke liye chaye Lati hon ......
yeh yaram ki mohabbat hi thi jo usay itna bolnay ki ijazat day rahi thi. Yaram ki mohabbat ne ise
chand din mein hi bahut ko nafadence diya tha...
Sharif ne ijazat talab nazron se yaram ki taraf dekha woh sir jhatak ka tie dali karta wahan sofay par baith gaya .
**bhai mein aap ka bharosa kabhi nahi toar sakta mujhe nahi pata laila ne aap se kya kaha lekin is
ne mujhe yahan anay ka challenge Kiya tha ke mein rooh bh ko yahan aakar yeh kahoon ke laila un se ziyada khubsurat hai ........
**phir rooh bhabhi mere liye khana le ke aayi....... lekin mera yaqeen karen mein aap ka bharosa kabhi nahi todun ga mein rooh bhabhi ko kabhi nahi batau ga ........