Zindagi hai tu part 3

8 0 0
                                    

Yuhin kuchi der mein wo ghar pouch gaye the,, gari se nikalte huye,, Zoya Ibad ko dekh ke boli,, Ibad thank you, muje ghar lane ke liye,, Ibad dil pe hath rakh ke sir jhuka ke bola welcome,, Zoya muskura ke ghar ki janib barh gay,, Ibad muskurata hua uske piche chal diya tha,, ghar jate he Ibad ne sakht lehje se sab ko danta tha,, sare hairan huye the ke esa kese ho sakhta hai,, Bushra khatun beti ko bar bar chume ja rahi thi,, or Allah ka shukar ada karne lagin ke Allah ne
kisi bareh nuksan ke bacha liya hai,, Kausar or Hashim sahab bhi pareshan ho gaye the,, Zeshan bi behan ki calls
dekh ke behad sharminda tha,, Zoii soo sorry mera phone he off tha abhi on kiya mene,, Zoya bareh bhai se lipat ke boli,, koi bat nahi bhai meri galati thi,, or sorry meri wajeh se ap sab pareshan ho gaye hain,,, Noreen ageh barh ke boli,, Zoii muje pata he nahi chala ke tumhari call kab ayi thi,, mera phone to chote Azlan ke pass tha,, Zoya muskura ke boli koi bat nahi Noreen,, bas Allah ka shukar hai ke mein agay,, zinda, salamat,, Kausar aggeh barh ke bolin acha ab meri pyari bhanji jaye or change kare,,or dimagh ko relax karo,, shabash,, Kausar ki bat pe Zoya Noreen ke sath change karne chali gayi thi,,,, Bushra
Ibad ka matha chumte huye bolin,, bohat shukriya Ibad,, Ibad muskura ke bola ab muje sharminda to na karen, khala jan,,

Zeshan mazakhana andaz mein ibad ko dekhte huye bola,, ami ese kam karna to purani adat hai ibad ki,, shukriya ki kya bat hai,, akhir SHO officer hai, ye haq hai iska,, Zeshan ki bat pe sab he has diye the,,Ibad bi hasne laga tha or haste huye wo or bhi purkashesh lagne laga tha,,, sab bethe batein kar rahe the or inke kehkon ki awazen chath tak ja rahi
thi,, Zoya ke zehan mein bi bas Ibad ki
batein he dorh 🏃🏻‍♀️rahi thi,,(I love you Zoya,, main tumhe kuch nahi hone dun ga) uff Allah ye main lya soch rahi hu,, kyu mera dimag bar bar Ibad ki batein dohra raha hai,, wo ab khud se tang hone lagi thi,, Noreen us se batein kar rahi thi,, par wo koi bat dehan se nahi sun rahi thi,,iqra or Sadaf bi ayi thi,, Zoya ka hall chal puchne ke bad wo sab milke batein karne lagi thin, wo shadi ke guzre dino ki dastane ek dusre ko suna rahi thin,, par Zoya ka inki baton pe koi dehan na tha, wo khamosh bethi inki batein sunti rahi thi.
,,,

Raat bohat gehri ho gayi thi,, December ki sardi jan lewa thi,, raat 12 baj chuke the,, ghar ke bareh sab soo gay the,, sab in dino ki bhagh dorh mei bohat thakk chuke the or ab sakoon ki nind soo rahe the,,par Zeshan Ibad Hamza or Fawad ye sab cousins jag rahe the,, Ibad aj behad
khush tha,, ke Zoya ne us se muhabat bhare lehje mei bat ki thi,, wo kain khush fehmiya pall raha tha,,
sare milke ek dusre ko kain qisse suna rahe the,, Ibad bi unki batein enjoy kar raha tha,, in sab ke kehkon ki
awazen gujh rahi thin,, Zoya in awazon ki wajeh se soo bi nahi pa rahi thi,, Zoya ke kano mein sirf Ibad
ke kehkon ki awaz he gunj rahi thi,, wo apne andar uthte is ehsas ko dabane ki koshish kar rahi thi,,par phir bhi wo ibad ki tarf khichi chali jaa rahi thi,,, Zoya ke zehan mein
bi kain batein dorh rahi thi,, Zoi idar to dekho,, main idar hu,, dhund lo muje,, kaha ho tum Ibad mein tumhe
nahi dhund pa rahi,, thora right side pe hu pakar lo,, aaaah (chikh),, kya hua Zoi? hahaha mein mazakh kar rahi thi kuch nahi hua muje,, bas ab tum pakre gay ho,, ab tumhari bari hai,, ye lo ye patti ab apni ankhon pe
band lo,, or hame pakro,, Zoya ne sir chatka,, aj se 4 sall pehle wala waqea Zoya ki ankhon se guzra tha,, jab
Zoya or Ibad behad ache dost the,, jab wo milke games bi khela karte the,, wo hassen waqt soch ke Zoya
muskura di thi,,or usne ankhen band kar li thi,,,,
,,,
kuchi der mein Zoya gehri nind mein soo gay thi,,lbad bi apne kambre mein chala gaya tha sone,, sone to wo gaya tha,, par nind bohat dur thi Ibad se,,
wo musalsal muskura raha tha,, or Zoya ke bare mein soch raha tha,, uski ankhon mein ghabray hui,, sehmi
hui Zoya a rahi thi,, or wo dil he dil mein bola,, uff Zoya kya ajeeb bachpana hai tum mein,, 21 salon ki ho gayi hai meri Zoi,,par harkaten,, 12, 13 salon ke bachon wali
hain,, darna,, nervous hona,, jald gussa kar jana,, meri
muhabat se chirnaa,, like kitnii pyari hai Zoyaa Allahhh,,, kash jaldi muje mil jaye meri Zoya,, phir main use is bat ka ehsas karwau ke muje us se kitnii muhabat hai,, or meri he muhabat ke to qabil wo,, wo mohtarma bani he muhabat ke liye
hai,, Ibad ki ankhen ab soch soch ke band ho rahi thi,, labon ki muskan halki ho gayi thi,, thak harr ke aakhir wo soo he gaya tha.

Zindagi hai tu❤️Where stories live. Discover now