Between Fear and Feelings

1 0 0
                                    

Meera aur Abhishek office mein apne naye clue ko decode kar rahe the, jo ki unhe office aate hi desk par padha mila tha lekin unke dil mein woh unka khaas moment ab bhi basa hua tha. Us raat ki woh car ride, woh unsaid promises - kuch tha unke beech jo ab aur bhi gehra lagne laga tha. Ab unhe ye case sirf solve nahi karna tha, par ek dusre ke saath wo strength aur support ban kar samajhna tha jo unke rishte ko aur bhi mazboot banata.

Jaise hi woh us purani building ke paas pahunche jo clue mein di gayi thi, Meera ne Abhishek ke haath ko ek second ke liye choona. Woh touch ek silent promise jaise tha, jaise woh keh rahi ho, "Main tumhare saath hoon, har mod par."

Abhishek ne ek nazar us par dali aur dheere se muskuraya, "Tumhare saath hote hue darr ka ehsaas kam ho jata hai."

Building ke andar ghoomte hue, woh ek aur narrow hallway tak pahunche jo bilkul creepy lag raha tha. Us hallway mein sirf ek dim light thi aur ek purani ghadi ki tick-tick awaz goonj rahi thi, jaise waqt unka intezaar kar raha ho.

Ek alag si khamoshi thi, par Abhishek aur Meera ke beech ek silent comfort bhi tha. Us waqt mein unhone ek dusre ke saamne woh vulnerability mehsoos ki jo shayad woh kabhi kisi aur ke saamne nahi dikhaate.

Meera ne dheere se kaha, "Tumhe pata hai, Abhi, tumhare saath yeh case solve karna sirf ek duty nahi, par ek journey lagta hai. Tumhare saath har pal, yeh darr bhi kuch alag ho jata hai."

Abhishek ne uske chehre par wo softness dekhi jo woh shayad sirf uske liye rakhti thi. "Meera, tum bina kahin... woh sab keh deti ho jo mein shayad kabhi khud se bhi nahi keh sakta." Usne halki si smile di, par is dafa uski aankhon mein woh gehraai thi jo usne kabhi kisi aur ke liye mehsoos nahi ki thi.

Us waqt mein, unhe door se ek awaz sunayi di, ek purana gramophone baj raha tha aur uske saath villain ki wo terrifying voice gunj uthi: ."Darr ko alag samjha hai tumne, Abhishek aur Meera. Dekhte hain kaun kahan tak saath reh sakta hai."

Ek dusre ki taraf unhone ek silent reassurance di, apne dil ki dhadkane tez hoti hui mehsoos karte hue, lekin is baar woh ek nayi strength ke saath us hallway mein aage badhne lage. Villain ke ye tareeke aur bhi challenging aur dil ko thod dene wale hote ja rahe the, par Meera aur Abhishek ke rishte mein ab woh gehraai thi jo unhe har raaste se nikalne mein madad kar rahi thi.

Yeh journey ab sirf ek case solve karne ki nahi, par ek dusre ke liye woh courage aur support banne ki thi.
-Chapter ends-

Again I know ki chapter Chhota hai par aage nahin hoga exams mein phasa hua huin bas.

ASHENLIGHTजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें