Silent Confessions

0 0 0
                                    

Ab wo villain wahan se gaya ho chuka tha. Meera aur Abhishek chup chaap car mein baithe or office ki tarf jaane lage, lekin dono ke dimaag mein woh awkward moment goonj raha tha, jab villain ne unse unke rishton ke baare mein poocha tha. Raat ka sannata unke beech ek ajeeb si energy create kar raha tha, jaise dono kuch kehna chahte ho, lekin lafzon mein nahi aa raha.

Car mein ek thandi hawa chal rahi thi, lekin andar ka atmosphere kuch zyada hi garam tha. Meera ne chhupte chhupate Abhishek ki taraf dekha, jo road par concentrate karne ki koshish kar raha tha. Uska chehra usually calm hota tha, lekin abhi woh clearly uneasy tha.

"Abhi," Meera ne dheere se bola, uski nazar windshield par thi. "Tumne jab kaha tha... ki main tumhari partner hoon, tumhare bina tum kuch nahi-tum sach mein aisa sochte ho?"

Abhishek ne ek second ke liye brake par pair rakha, car halki si ruk gayi. Usne Meera ki taraf dekha, jaise uska sawal directly uske dil tak pahuch gaya ho. "Haan, Meera," usne serious tone mein kaha. "Main yeh bas kisi game ke liye nahi bola tha."

Meera ki aankhon mein ek halka sa blush aa gaya. Woh usually confident thi, lekin is moment mein wo thoda vulnerable feel kar rahi thi. "Mujhe laga tum bas situation ko handle kar rahe ho... tumhe pata hai, villain ke samne."

Abhishek ne halki si smile di, lekin usmein ek softness thi jo usually dikhai nahi deti thi. "Nahi, Meera. Tum meri partner ho, sach mein" Uska voice suddenly halki si warmth le aaya, jo Meera ko andar tak mehsoos hui. "Mere liye, tum ho to main hoon. Tumhari support ke bina... kuch missing hota hai."

Meera ne thoda surprised hoke uske taraf dekha. "Tum kab se itne emotional ho gaye?"

Abhishek ne hansi chhupaate hue kaha, "Shayad tumhare saath zyada time bitane ke baad." Usne road ki taraf phir se dekha, lekin uska focus ab sirf driving par nahi tha.

Thoda silence beech mein phir se aa gaya, lekin is dafa yeh uncomfortable nahi tha.

Meera ne dheere se apne haath ko Abhishek ke haath ke paas rakha, jaise bina kuch bole apni feelings express kar rahi ho. "Tum kabhi yeh nahi dikhate ke tumhe kuch feel hota hai... lekin aaj tumne jo kaha... it means a lot."

Abhishek ne uska haath halka sa chhoda, jaise woh bhi is touch mein apna jawab de raha ho. "Mujhe hamesha lagta tha ki personal feelings aur kaam ko alag rakhna chahiye... lekin tumhare saath, yeh line kabhi blur ho jaati hai."

Meera ne muskurate hue bola, "Toh tum accept karte ho ke tumhare bhi dil mein kuch hai?"

Abhishek thoda sa hesitation ke baad bola, "Haan, shayad." Usne apni aankhein Meera ki aankhon mein daal di, aur woh pal ekdum se intense ho gaya. "Tumhare bina yeh cases solve karna itna interesting nahi hota, Meera. Tum mere liye sirf ek partner nahi ho."

Meera ke chehre par ek soft smile aa gayi, jo uske eyes tak dikhayi di. "Acha... toh main tumhare liye kya hoon, Abhi?"

Abhishek ne ek deep breath liya aur dheere se bola, "Tum mere liye... woh ho jo har pal mere saath hai, chahe kitni bhi mushkilein ho. Tum meri strength ho, meri zaroorat. Aur shayad... tumse kuch zyada bhi."

Meera ka dil tez dhadak raha tha, lekin usne apne aapko calm rakha. "Aur tum... mere liye bhi kuch aise hi ho. Tumhare saath sab kuch asaan lagta hai, even jab hum kisike deadly games mein fass rahe ho."

Abhishek ne halki si hansi di, lekin usmein ek softness thi jo usually Meera ke liye reserved thi. "Toh, tum bhi... kuch feel karti ho?"

Meera ne halki si nazar jhukai, lekin uski eyes ab bhi Abhishek ke chehre par thi. "Haan, Abhi. Shayad main tumhare bina itni confident nahi hoti. Tum hamesha mere saath ho... aur mujhe lagta hai, humari team isliye itni strong hai."

Abhishek ne apna haath Meera ke haath par rakh diya, aur dono ke beech ek unsaid promise tha.

"Chalo, Meera. Office pahuchte hain," Abhishek ne teasing tone mein kaha.

Meera ne thoda sharma kar bola, "Haan, abhi ke liye focus kaam par rakhte hain."

Car raat ke andhere mein office ki taraf ja rahi thi.
-Heere chapter ends-

ASHENLIGHTजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें