mistakes

2 1 0
                                    


Hum sab galatiya karte hai or uski mafi bhi mangte hai.

  Mafi mangne ka matalab hota hai ki ham wo galati dobara nahi doharayenge.

Magar kya ho jab mafi magne ke baad bhi ham baat baar vahi galti doharaye ?

Kya mafi mangne ke baad dobara galti karna galat nahi hota ?

Aaj kal ke logo ko ye batana jaruri hai ki agar ap galti karke mafi mangte hai or apko mafi mile to apko woh galti baar baar nahi doharana chahiye.

  Jo galti baar baar galatiya doharata hai unhe ye yaad rakhna chahiye ki ek baar mafi mil sakti hai do baar mafi mil sakti hai par baar baar nahi.

  Koi waqt esa ayega jab aap siddat se mafi mangna chahoge par samne waala apki taraf dekhne se bhi inkaar kar dega.

****

whisper of my thoughts Where stories live. Discover now