Aachai or burai
Ye dono ek sikke 🪙 ke do pehlu hai.
Jo hamesha hamare aaspas rehte hai. Par hum sirf acche pehlu ko dekhte hai or iss baat se inkaar kar dete hai ki nato hamare sath kuchh bura ho raha nahi kuchh bura ho sakta hai. Dusaro ke sath hota hoga lekin hamare sath nahi ho sakta.
Hum ye keh kar piccha cchuda lete hai par jinke sath galat hota hai unka kya ?
Par kya ho agar hamare karm hi hamari zindagi ki sacchai ban kar khade ho jaaye ?
Ab me ye nahi keh Rahi hu ki mene kuchh galat kiya hai. Me ye kehna chahti hu ki Jo log galat kar rahe hai. Wo thodi der ruke or apne kiye gaye galat kamo ki taraf dekhe or shoche ki ab unke shath kya hoga ?
Me ye bhi nahi kehna chahti ki upar wala dekh raha hai wo tumhe tumhare karmo ki saja dega and all.
Uparwala tumare karmo ki gawahi de ya na de par tumhare kiye gaye galat kaam khud unki gawahi denge.
Kyuki pata nahi kab or kese aap ke kiye gaye karm apki zindagi ki sacchai ban kar khade ho gaye.
Or aap kucch na kar paaye........
***
YOU ARE READING
whisper of my thoughts
Randomye book mere thought se bare mein hai. is book me mein apni zindagi ki ramkatha nahi kehane vali. bus mere thoughts kuch jyada hai or muje inhe express karne ke liye ek platform chahiye tha Jo muje mil gaya hai. this book is about my thoughts on var...