Meri manzil ko mein nahi jaanti
Meri raah ke kaato se haar nahi maanti
Chal padi hoon ek aisi jagah par
Jiska pata bhi nahi jannti
Bas apni chal rokne ki kabhi nahi sochti
Kisi aur se zindagi ki raah nahi poochhti
Bas ek josh aur junun leke
Meri sukoon ki chaav se nikal chuki hoon
Apni zindagi ka kuch hissa badal chuki hoon
Kabhi ladkhadati hoon,kabhi girti hoon
To kahi do pal theher kar,chain ki saanse bharti hoon
Meri manzil ko mein nahi jaanti
Meri raah ke kaato se haar nahi maanti
Chal padi hoon ek aisi jagah par
Jiska pata bhi nahi jannti
