Raah chalte fakir ki tarah
Jo dil mein aaye sab kehna chahti hoon
Sama mein udti chidiya ke bhati
Mein apni udaan bharna chahti hoon
Kal-kal chalti nafi ki bhati
Mein sapno ki raah par behna chahti
Hoon
Madhur gaati koyal ki tarah
Mein apna geet gana chahti hoon .
Galli mein khelte bache ke bhati
Mein befikar khil-khilana chahti hoon
Bina kisi aur se kahe
Mein khud ko sarahana dena chahti hoon
Bina kisi aur se kahe
Mein khud ke tarike se jina chahti hoon
