Reaching Nani's House 🏡

26 0 0
                                    

Garmiyon ki chhuttiyon ka intezaar toh tha hi, par Rahul ke excitement ne poore safar ko aur bhi khaas bana diya. Jab gaadi Nani ke ghar ke paas pahuanchi, Rahul sabse pehle window se bahar jhaank kar chilla pada, “Mumma, Papa! Hum Nani ke ghar aa gaye!”

Abhishek gaadi rokhte hi Rahul ne darwaza kholne ki koshish shuru kar di. Jiya hanskar boli, “Arre ruk jao, Rahul! Papa help karenge darwaza kholne mein.”

Abhishek ne darwaza khola, aur Rahul tez bhaag kar Nani ke paas chala gaya. Nani darwaze par khadi apni pyari muskaan ke saath apne potay ka intezaar kar rahi thi.

“Nani!” Rahul unki godh mein chadhte hue bola, “Mujhe aapke saath khelna hai, aur wo wali kahani sunni hai jo aap hamesha sunati ho!”

Nani ne Rahul ko gale lagate hue kaha, “Arre, pehle ghar ke andar toh aao! Khushi ko bhi dekh loon, meri chhoti gudiya.”

Abhishek aur Jiya bhi Khushi ko lekar andar aaye. Jiya ki maa ne Khushi ko godh mein lete hue bola, “Meri pyari Khushi! Kitni badi ho gayi hai meri gudiya.”

Rahul wahan khade ho kar bola, “Nani, main Khushi ka dhyan rakh raha hoon. Aap dekh lena, main uska sabse achha bhai hoon.”

Ghar poore pyar aur khushi se bhar gaya tha. Rahul aur Khushi ki masti shuru ho gayi, aur Jiya aur Abhishek apne maa ke saath bet kar unka haal-chaal lene lage.

Rahul ki excitement aur Khushi ki masoomiyat ne poore ghar ko zinda kar diya tha. Ye unke liye ek yaadgar vacation banne wala tha.

**************End*************

Love Story of Abhishek Malhan and Jiya Shankar  Where stories live. Discover now