Khushi apne career mein kamaal kar rahi thi aur apne unique content se aur zyada popular ho rahi thi. Wahi, doosri taraf Rahul ko apne acting career mein ek life-changing offer mila. Ek din uske ek purane dost, jo ab ek talented director ban chuka tha, ka phone aaya. Usne Rahul se kaha, "Main ek movie bana raha hoon jo tumhare parents ki kahani par based hai. Tumhare papa ke struggles aur tumhari maa ke talent ki kahani duniya ko dikhana chahta hoon. Is project ke liye main tumhe tumhare papa ka role play karne ke liye cast karna chahta hoon."
Rahul excited ho gaya lekin usse aur zyada khushi tab hui jab uske dost ne bataya ki uski maa ka role Sara Ali Khan play karegi. Rahul ne apne parents ke paas jaa kar unhe yeh news di.
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Sara Ali Khan as Jiya Shankar in the Movie Rahul Shankar Malhan as Abhishek Malhan in the the Movie
Jiya ne emotional hote hue kaha, "Rahul, yeh ek bada chance hai, lekin ek badi zimmedaari bhi hai. Tumhare papa ke struggles aur meri journey ka har emotion screen par le aana mushkil hoga, lekin mujhe tum par pura bharosa hai."
Abhishek ne muskurate hue kaha, "Mujhe toh apne beta ko mujhe portray karte hue dekh kar bohot maza aayega. Lekin yaad rakhna, emotions kaafi important hote hain. Audience ko feel karna chahiye ki yeh sach mein hamari kahani hai."
Khushi ne hasi karte hue kaha, "Bhai, Sara Ali Khan ke saath kaam karne ka experience toh alag hi level ka hoga!"
Rahul ne is project ke liye haan kar di. Shooting shuru hui aur Sara Ali Khan ke saath kaam karna ek alag hi experience tha. Sara ne Jiya ka role play karne ke liye unse kaafi interaction ki aur Jiya ke mannerisms aur personality ko samajhne ki koshish ki.
Rahul ne apne papa ki journey ko deeply samjha aur uske har chhoti-badi baat ko observe kiya. Shooting ke dauran, Rahul aur Sara ke beech bohot achhi chemistry ban gayi, jo screen par bhi dikhi.
Jab pehla scene shoot kiya gaya, toh Jiya aur Abhishek set par maujud the. Scene dekhne ke baad, Jiya ne Rahul aur Sara ko gale lagaya aur kaha, "Tum dono ne meri aur Abhishek ki journey ko itne perfect tarike se capture kiya hai. Main bohot proud hoon."