Rahul aur Sara Ali Khan ke liye shooting ka agla din alag-alag scenes ke liye scheduled tha. Film ke iss part mein, Abhishek aur Jiya ki alag-alag struggles aur emotions ko dikhaya ja raha tha. Rahul aur Sara dono apne- apne character ke depth mein ghus kar scenes shoot kar rahe the. Scene 1 – Abhishek’s Struggles (Rahul’s Scene)
Rahul ke liye aaj ka scene ek emotional breakdown ka tha. Scene ka background kuch aisa tha ki Abhishek (Rahul) ek rejected sponsorship ke baad akela apne room mein baitha tha, frustrated aur confused.
Scene Details: Abhishek apne laptop ke samne baitha hota hai, sponsor ki email padhte hue. Uska gussa aur bezarapan uske chehre par clearly dikh raha tha. Woh ek diary uthata hai aur likhna shuru karta hai:
Rahul (as Abhishek): "Kya main sahi direction mein hoon? Har din ek nayi umeed ke saath utha hoon, aur har raat ek naye failure ke saath sota hoon. Kab tak, kab tak yeh cycle chalega?"
Rahul ke emotions flawless the. Uske acting mein ek natural intensity thi, jaise woh sach mein apne papa ke dard ko samajh raha ho. Jab director ne cut bola, toh crew ne taaliyan bajayi. Director ne Rahul se kaha, "Tumhari performance bilkul real thi, jaise ek struggling creator ke emotions tumhare andar alive ho gaye."
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Scene 2 – Jiya’s Rejection (Sara’s Scene)
Dusri taraf, Sara Ali Khan apne character Jiya ki journey dikhane ke liye ek audition rejection ka scene shoot kar rahi thi.
Scene Details: Jiya ek studio ke samne khadi hai, apne audition ke baad ka result sun rahi hai. Casting director usse kehta hai, "We’re sorry, you don’t fit the role."
Sara ka chehra pehle hopeful hota hai, lekin jaise hi rejection ka shabd sunai deta hai, uski aankhen bhar aati hain. Woh ek corner mein baithti hai, apne phone par Abhishek ka number dial karti hai, lekin call karne ki himmat nahi karti. Uske chehre par ek mix of helplessness aur hope dikhai deta hai.
Sara ka performance itna genuine tha ki crew members bhi emotional ho gaye. Jiya, jo monitor par scene dekh rahi thi, apne character ke iss phase ko dekh kar apne tears ko nahi rok pai. Where Abhishek comes and consoles her.
Shooting ke baad, Rahul aur Sara break room mein mile. Rahul ne Sara se kaha, "Tumne mummy ke emotions ko itna beautifully portray kiya, jaise unki real-life journey wapas screen par aa gayi."
Sara ne Rahul ke performance ke baare mein kaha, "Aur tumne apne papa ke emotions itne naturally dikhaye, jaise tum unke hi reflection ho."
Jiya aur Abhishek ne dono ko appreciate kiya aur kaha, "Tum dono humari kahani ko itne pyaar aur respect ke saath dikhate ho, yeh humare liye sabse badi blessing hai."