Sanate Ko Cherti ek fire ki awaaz ghonji thi aur sath he kisi janwar ki khofnak si chingadh bhi sunai di thi.wo jo pehle he hawaas baqta si dari sehmi nazron se irdgird ka jaiza le rahi thi is achanak iftad par be akhtiyar bokla kar ek taweel w areez cheenk is ke moun se bar Aamad hoi. phir is cheenk ka gala barhi be dardi se kisi ne is ke moun par hath rakh kar ghont diya aur sath he angrezi nehayat safaak lajhe mein is se kaha. khabar dar koi harkat ki ya awaz nikali jan se mar donga. aur wo bechari to pehle he itni dari sehmi hoi thi mazeed kasar is ke safaak lajh e ne nikal di. is se khof ke mare gardin morh kar ye tak na dekha gaya ke issey dhamkane wala jalad akir hai kon.
wo badsatoor is ke moun par hath rakhe isse gaseethta do char qadam piche hata aur phir isse kuch door le ja kar zameen par patakta howa bola. bagher koi awaz nikale yahan behti raho. pehle he mera sara plan chopat kar diya hai, agar zra si bhi awaz nikali to chorho ga nhi.
ayla bechari itni sakt aur kadri zameen par apne patakne jane par bazown se nikalta khoon he dekhti rahi aur wo dobara Aghe barh gaya.. is ki Ankhon se be Akhtiyar Ansoo beh nikle. ya ALLAH ye kis jurm ki saza hai. itne weran khofnak jungle mein itne he khofnak Admi se pala parha hai. ya ALLAH madad farma.
wo khamoshi se apni chothe sulati hoi Ansoo baha rahi thi. kab wo wapas Ata dekhai diya. ayla ne isse door se apni taraf ate dekha to naye sere se seham gai is khofnak qisam ki dhamki se bhuri tarah khof zada reh gai thi. tumari waja se meri itne dino ki mehnat barbad ho gai tum stupid larki mera dil cha raha hai tumara gala dhaba don , tume itni be tukhi kisam ki cheenk marne ki zaroorat kya thi. agar itni he darpok ho to yahan is jungle mein kya kar rahi ho. ja kar apne ghar behto Araam se .wo is k pas karha isse ghoorta hoa bol raha tha andaz aisa tha jesy isse kacha chabana chahta ho.
pata nhi wo jhariyun mein kahan chup gaya hai.. zakhmi sher ko to yun chora bhi nhi ja sakta aur ab to mere bajaye wo meri taakh mein ho ga.akhir isse apne zakhmi kiye jane ka inteqam bhi to lena hai.wo khud kalami karne mein masroof tha. kuch sochta hoa apne aap se bate kar raha tha,aur wo rona dhona bhool kar bas zakhmi sher par bhuri tarah dehal gai thi, is ki khof se patti Ankhon par is ki nazar parhi to bare tanziya muskurahat chehre par sajata hoa bola, tum bhi apni khair manao. ho sakta hai mere bajaye tum he is ke hatey charh jao. bara hayar or chalak hai teen din se mujhe nacha kar rakha hoa hai. kuch tume bhi saza mile yun be moqa cheenkne ki, phir is ke jawab ka intezar kiye bagher wo aghe barh gaya,
wo shayad wapis ja raha hai or mujhe to isi se help mangni chaiye, jesa bhi sahi akhir hai to ek insan he chahe jalad nima he sahi.. kam az kam is zakhmi sher se to yahi behtar hai , agar ye bhi chala gaya to mera kya bane ga, is soch ka zehan mein ana tha k wo itni der se mustakil zameen par ek he aingle mein behti thi. be akhtiyar is ke piche bagi. cheenk kar isse awaz nhi di ke wo pehle he is ke cheenkne par chira hoa tha, wo bari sust rohee se chal raha tha is liye ayla ne do char seconds mein he isse ja liya. or phooli hoi sanso ke sath is se mukatib hoi, dekhe mein yahan rasta batak kar a gai hun ap ki meharbani ho gi agar ap meri madad farma de please.
wo jo is ke bhaag kar apne piche ane par heran tha is ki baat par bari be nayazi se isse dekhta hoa bola. awal to muje kidmat khalaq ka kuch ziyada shok nhi dohom ye ke agar huta bhi to tumari to mein hargiz madad na karta lehaza meri taraf se mazrat, is par ek sakt gussay se baboka niga daal kar wo jese he Aghe bara.
Ayla samne A gai aur hath jorte hoe boli..please meri madad kare apko insaniyat ka wasta dekhe mein janbooj kar nhi cheenki thi aap mujhe maf kar de mein yahan is khofnak jungle mein khof or deshat se mar jaon gi. is ke samne wo hath jorhe karhi thi Ankho mein altija liye .
wo do char minutes isse ghoorta raha phr aghe barhta hoa bola. Aao.to wo jo itni der se umeed w beem ki shikar thi ek dham he pur sakoon ho kar is ke piche chal pari. jabke wo is bat se qathan be neyaz nazar a raha tha ke wo is k piche A bhi rahi hai ya nhi. Ayla taqreeban dorh rahi thi jab bhi is se kafi piche thi, bagte bagte is ki tanghe bhuri tarah shal ho gai thi sans phool gaya tha lekin wo musasal baag rahi thi yun jese isse khof tha k wo isse chor kar chala na jaye.
isse shayad istarah bagte dorhte hadha ganta ho gaya tha jab wo ek jeep ke pas ja kar rukha driving seat par beth te hoe is ne barabar wali seat ka darwaza khol diya, Ayla ke bethte he is ne jeep speed mein dorhani shurooh kar di,
isse shayad har kaam tez raftar karna pasand tha, tez chalna, tez gari chalana, tez awaz mein bol kar samne wale ko dehalana,
is ki taraf to is ne sarsari nazar bhi nhi dekha tha jab ke wo chori chori kitni martaba is ki taraf dekh chuki thi, black jeans black jacket long shoes, kande se latakti hoi raifal, jacket ki jaib mein tonsa hoa revolver aur jeans mein arha hoa knjir. wo shaid koi professional shikari tha.