chapter 4

890 25 1
                                    

bhala ho is fashion ka

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

bhala ho is fashion ka..is ne khud se kaha.
warna itni thand mein tatarh kar he mar jati.
usy lehte howe 2/4 minute howe hun ge k Aas pas janwaro ki Awazo se wo khof zada ho gai. Aisa lag raha tha k tamam jangali janwar or darinde mil kar sath mein ro rahe ho..mahol itna byanak tha k wo kanf kar reh gai...gap andera or weran jungle. uske zehan mein ajeeb ajeeb se waswase ane lage..
SUNE..ap so gaye hai kya?
apne khof ko zail karne ke liye wo be iktyar puch behti..
or wo jo moun dosri taraf kiye neem ganodagi ki kefiyat mein tha janjala gaya.
ap sone de ge to soho ga na? farmayiye ab kya takleef hai?? moun badsatoor dosri taraf kiye wo jal kar bola
wo uske lahje ko nazar andaz kar k apni parishani bayan karne lagi
hum log yahan mehfooz to hai na? kahin aisa to nhi ho ga k hum be khabar so rahe ho or janwar ghus aye yahan .ya phr koi sanf ya bechu andar ajaye¿¿ jawab mein wo barhi istrayiya muskurait chehre par lata howa iski taraf rukh kar k bola.
Janwar Andar kyun aye ge.. unhe kya apni zindagi aziz nhi? Akhir ko Malika-e-Aliiya
yahan khwab kargosh ke mazay le rahe hai. or wo yahan Aa kar in ke Aaram mein kallal daal de
medam apke is hali shan mehal ko jo charo taraf se maslah dasto ki nigrani mein hai kisi kisam ka koi katra nhi hai.. lehaza ap Aaram farmaye..
uske itne tanziya lahje par wo bhuri tarah Tap gai. jab ke wo apna moun dobara dosri taraf kar chuka tha.
is ne bhi ankhe band kar ke_ jitni bhi surate yad thi parh Li. or khud pr Achi tarah dham kar ke sone ki kushish krane lagi. is waqt iska deyan lailah or danish ki taraf chala gaya.tamam din apni uljan or parishani mein mubtila rahi thi. iske bawajood Unka khyal bhi use barabr parishan karta raha tha..pata nhi unka kya bana ho ga. ya ALLAH unki hifazat farma..wo dono jahan bhi ho khairo khairiyat se ho...wo dil he dil mein un dono liye duaye karne lagi..kitne khush bash hum ghar se Chale the kya pata tha ke humari ye tafreeh kitne sangeen nataij ka hamil ho gi..
woo kal rat ke tamam masail yad kar ke naye sre se khof zada ho gai.
Lailah iski chacha zada behan or behtreen dost thi. jis ki por zor dawat par wo in dino kenya ayi thi. chacha miya shurooh mein he Nairobi mein muqeem the. Lailah inki akloti or ladli beti thi. beti bhi kya thi chacha meya ke baqol lailah to mera beta hai.. wo thi bhi tom boy tayf..mast malang or apne ap se la farwa...bohut zaheen parhakoo or sath he sath adventure ki shoqeen bhi..uske nazdeek aisi zindagi koi zindagi he nhi thi jis mei adventure na ho koi tarhal or tez raftari na ho. apni iftedad thibah ke bahis wo godhe se Le kar jahaz tak sab kuch chala leti thi. sirf ek chachi jan ke elawa har koi iski harkato se khush rehta tha..chachi jan iski in harkato ki waja se parishan rehti thi. balke uthte beht te AYLA ki misale deti thi.
Aray larkio ko larkio wale kam karne chaiye. ye AYLA ko dekho cooking kitni achi kar leti hai. bolti kitna aista hai .tumari tarah nhi . or dekho uske andaz mei kitna dema pan or shaistagi hai.
magar wo lailah he kya jis par bat asar kare. chachi jan ki tamam dhant pathar wo ek kan se sunti dosre kan se nikal deti.
dono ki shaksiyat itni muktalif hune ke bawajood wo dono gehri doste thi.
har sal chuttiyoon mein wo log pakistan Ate the. to saal bhar ki jama shuda batein wo karne beht jate the.sare khandan mein inki dosti ko heriyat se dekha jata tha. kahan lailah jeans ke opar shirt ya kurta pehne wali manchali or moun pat qisam ki larki or kahan AYLA salwar qameez ke opar do ghaz ka dopata khoob pela ka orhne wali khamosh tbah or sanjeeda si larki. sab ki heriyat se khata nazar wo dono bachpan se bestfrnd the.
pechle sal jab lailah chuttiyoon mein karachi reh gai to jate waqt khe kar gai k aghle sal tum kenya ao gi .ye koi insaf nhi ke har bhar mein he tum se milne pakistan aon. ab jab ke wo parhai se farigh ho gai thi to lailah har dosre din usy phone karti or usy ane k liye kehti. wo bhi jane ke liye betab thi par asal masla to ijazat milne ka tha. abu to khair man jate par Asal masla ammi or bhabi ka tha. jin ke khyal se iske jane se ghar soona ho jaye ga. humare ghar mein afrad he kitne hai agar tum bhi chali gai to mujhe or ammi ko ghar khat khane ko dorhe ga. bhabi shai farman jari farmate jis par ammi dil khol kar taheed karte. wo jal kalas kar reh jati. muqadama abu or bhai ke hadalat mein jane se pehle he karj kar diya jata..
is ne lailah k musasal israr se tang a kar usy sari surathal bata di. wo is masle ka koi hal nikal sakti hai to nikal le. warna chup chap beht jaye. dil to uske khud ka jane ko cha raha tha Magar kya karti.
mere iklote chacha..meine uska aj tak ghar nhi dekha wo khud par afsos krti..Lailah bhi apne waqt ki ek thi .pata nhi usne kis tarah or kin alfaz mein chacha ko dastan sunai. k unho ne karachi phone kar k ammi or abu se kaha k AYLA unhe boht yad a rahi hai .lehaza usy Nairobi bejh diya jaye. Ticket iska pehle he rawana kar chuke the. chacha miya ke khwaish ke aghe to koi kuch nhi khe paya. or wo yun nairobi puhnch gai.wahan punchne par uska chachi ammi ,chacha jan or sb se barh kr lailah ne uska welana istakbal kiya .lailah ne achi mezban hune ka haq poori tarah Ada kiya or ek mah ke doran usy bar poor company faraim ki . iski har aoutng pr danish bhi zaroor mojood huta tha. Lailah ka to lgta tha k khana b danish k bagher Hazam nhi huta tha. dani hum log filana fark ja rahe tum bhi ajao. dani hum log chainez ja rahe tum bhi Hume join kar lo .danish hokum ka gulam apni mareezo ko chorh charh kar foran hazir ho jata tha.
Lailah ka danish ke sath pechle saal nikah ho gaya tha.rukhsati yun nhi hoi thi k dono fareeq iske liye Amada nhi the .Lailah sahiba apna M.s karne mein masroof thi or danish apna zati hospital still kar raha tha. danish bhi lailah ki tarah yahi pida howa phala barha tha. dono bachpan k dost the pr dono mein bhala ki !!!!!!understanding bhi thi.kabhi kabar to in dono ki zehani hm ayenagi to AYLA ko heran kar deti thi .zindagi k har mamle mein dono ki pasand na pasand sb kuch ek jesa tha. dono ko ek jesa mosam ek jesa rang ek jesa music.ek he jesa lebas. ek jesi kitabe ek jesa khana pasand tha shooroh mein AYLA ko in k sath bahir ghoomna ajeeb sa laga .usy lgta tha k wo kammaka kabab mein Haddi ban rahi.
wo dono ek dosre ka behad khayal rakhte the.
Lailah m.s mein studies environmental mein masroof thi. In dino wo apni tais mein masroof thi .apni masrofiyat ke bawajood wo AYLA ko time dena nhi bhoolti thi. uski tais ka mozzoh tha jungli hayat ka tahafuz. apni be chain tabiyat ke ain mutabiq usne ek naya shosha chorh kar chachi jan k gussay ko satwe asaman tak puncha diya. or chacha is din beti ki hamaiyat mein ek lafz bhi na bole.. jab menat samajat, pyar, dhamkkiya yahan tak ke sb na kam ho gya to lailah ne bhook hartal kar di.pehle din to chachi jan ne kuch khas parwa na ki magar dosre roz wo fekar mand howe. magar lailah bhi apni zidd ki pakki thi jab tak chachi ne usy ijazat na di wo apne kamre se nhi nikli
.ijazat milte he wo khushi khushi kamre se bahir nikli or chachi jan ka shukria Ada karti khush huti rahi. chachi jan ne barhi mushkil se usy ijazat di thi k usne nayI zidd shurooh kar di k mere sath AYLA bhi jaye gi chachi jan pehle to nhi Maani pr lailah ki zidd k aghe wo baad mein chup rahi.
ek ap he mjh se har wqt bad gumaaan or naraz rehti hai or jahan tak AYLA k sath jane ka taluq hai to aisa mein is liye khe rahi hun k mein do din tak wohi apna research work karti rahun gi. iski bhi isi bahane kuch tafreeh ho jaye gi. Africa k junglat ko to poori duniya mein sherat hasil hai kya harj hai k ye bhi sath aye or apni ankho se sari jungle dekh le. laila ki tafseeli khatab se wo mutasir hoi thi ya nhi magar usy ijazat deni parhi thi. laila k sath sath danish bhi inhe qail karne chala aya tha. chachi jan apne iklote damad ko kese naraz kar sakte the lehaza chehre pr naraz ke tamam asar mita kar AYLA or lailah ko jane ki ijazat de di. wo to khud he laila ke sath jana cha rahi thi lekin chachi jan ki gusay ki khof se khamosh thi. ijazat milne ki der thi is ne khuhi khushi ek sweater or shall rakh kar apna saman pack kiya.
sar-e- sham he wo log ghar se rawana ho gaye the
danish or laila agli neshtu pr behte the jab k wo peche behti in logo k guftogoo.mei shareek thi .poori rat wo log safar karte rahe kabhi danish drive karta to kabhi lailah. wo tori der k liye so kar taza dham ho chuki thi.in dono k sath goftogo mein shareek ho gai thi lailah kisi bat ar qehqa lagate howe k isy achank aisa laga k gari poori qoowat se kisi cheez se takrai hai .lailah or iske moun se be iktyar buland cheenk nikli thi. is se pehle ke wo log sambalte k gari do teen kalabaziya khaye the zehan bilkul maoup ho gya tha kuch samaj nhi a raha tha k ye kya ho raha hai. gari k 2/3 kalabaziya khane ki waja se uski taraf ka darwaza khul gaya or wo ek dham se niche ger gai. jab k gari musasal larhakti ja rahi thI .behosh hune se pehle jo AkheRi manzar usne dekha tha wo ye tha k gari kisi khelone ki tarah larhakti samne mojood khaahi mein ja geri.iske bad usy kuch bhi hosh na raha iska zehan mukamil tareekio mein dhoob gaya.
usy hosh aya to wo kitni der patreli zameen par parhi rahi uske sar ke ain opar sooraj apni shayen baker raha tha. wo 10/15 minute yun he parhi rahi phr usy
yad aya wo ek dham uth kar beht gai pata nhi kis ki duaye kam ayi thi ya koi mujaza runema hoa tha k itni bhuri tarah gari mein uchal kr gerne ke bawajood isy koi shadeed qisam ke chohute nhi ayi thi.
wo apni in chohuto ko nazar andaz karti dorhti hoi khaai ki taraf ayi. jahan is ne gari ko gerte hoe dekha tha us jaga Jhuk kar nechay dekhte he uske ronghate kare ho gaye.wo khaai to is ke tasawar se bhi zyada gehri thi

Wo Aik Aisa Shajar HoWhere stories live. Discover now