Chapter 6

680 26 21
                                    

KYA howa TuM itni jaldi kha chuki? wo heran howa akhir kal iska nadeeda pan apni ankho se dekha tha,,
aur lo kya takleef hai itna tora sa khaya hai....wo shayad khuloos mein khe raha tha lekin Ayla ko laga k wo kal ke awale se tanz kar raha hai.
Mein itna he khati hun shukriya,,
iske jawab par wo khamosh ho kar khana khane laga to Ayela ne socha ke usay apne halat tafseel suna deni chaiye takhe usay pata chale ke wo aisi wesi gayi guzri larki nahi hai.
kal to mein bhooki pyasi ghane jungle mein mari mari  batakti phir rahi thi. laila ki tarling nature ne hum sab ko marwa he diya tha hum log to asal mein ....[wo abhi apni dastan ka dhang se agaz bhi nahi kar payi thi ke wo ise bari boriyat se thok gaya.
zahir hai koi  accident he hoa ho ga- shok mein to ap yahan phir nahi rahi. lehaza is zikar ko rehne dijiye. wo dosri martaba usay apne opar guzri halat ki tafseel sunane se rokh gaya to wo kuch bad maza si ho gayi uska phoola hoa moun dekh kar wo hans kar bola.
dekho larki is mein naraz hone wali koi baat nahi hai. darasal mein bara raqqeq alqalab waqaih hoa hun kisi ki bhi takleef dekh nahi sakta aur ap ki dastane gham yaqeenan aansuon aur saskiyu se barhi ho gi mera is waqt rone dhone ka koi mood nahi hai aur is waqt jab ap mujhe wo ghamgeen dastan sunaye gi to yaqeenan khud bhi roye gi jab ke pehle he 20/25 ltr pani ap apni ansoou se baha chuki hai.
Ajeeb admi hai ap. ap ko mere bhare mein koi tahajus he nhi ke mein kon hun. kahan se ayi hun. [wo chirh kar boli..
to wo plate rakhne ke liye khara huta howa bola.
mein bila waja ki tahajus nhi phala karta. achi larki ab ye batao coffee mein banao ya tum banao gi?
usne bat he badal di to wo khari ho gayi.
mere liye black coffee bagher shakar ke. wo Floor Cushion par Neem daraz huta howa bola.
cup iski hath se le kar wo seedha ho kar late gaya_ apne liye glass mein coffee lihye wo dosra cashion gaseet kar beht gayi.
coffee ka pehla ghoont le kar wo is se bola.
LARKi is mein koi shak he nhi k tum coffee aur khana dono he bht achi banati ho.
MERA  nam larki nahi hai mein AYLA hun. Ayla akram.. wo is musasal larki ke girdan par tang aa kar thok gayi.
Ooh Ayla akram mein bhi kitna bulakhad hun. halankhe Akbaar mein aye din apka tazkara huta hai. aur pichle he dino BBC walon ne apki biogrphy nashar ki hai bas mere zehan se nikal gaya
chehre par sanjeedagi aur ankho mein jhankti shararat zahir kar rahi thi ke wo iska mazaq urah raha hai. Ayla ne is ke bad se koi bat he nhi ki.
coffee pi karr glass utha kar table par rakha aur wapis cashoin par Aa kar beht gayi wo jese iski khamoshi bhi enjoye kar raha tha.
mera khyal hai ab sona chaiye.
wo khara ho jamai rokhta howa bola. phir iske jawab ka intezar kiye bagher wo bed par leht gaya or hath bara kar light bhi band kar di. emergency light jis ko shayad charging ki shadeed zaroorat thi ghul hoi to charo taraf ghap andera cha gaya.
us ne koi cheez Ayla ki taraf uchali or bola ye le lo
wo jo abhi tak wese he behti thi hath laga kar dekha to maloom hoa ke usne kambal ise diya hai din mein to mosam theek thak tha magar raat mein bari sardi ho jati thi. kal rat bhi wo sardi mein tatharti rahi thi. pehle to takaluf ke khyal se inkar karna chaha phir socha k ye takaluf thand mein mar de gi. lehaza araam se floor cashoin par daraz ho kar isne kambal apne hirdgird achi tarah se lapet liya
uske kambal mein se bari pyari or sanso ko matar karne  wali khushbo Aa rahi thi.
pata nhi wo konsi perfume use karta tha. magar iski khushbo lajawab thi. wo is khushbo ko poori tarah mehsoos karte hoe ankhe band karte hoe sone ki kushish karne lagi to us ki awaz aai.
mein tumhe kal subah he chor ata apne dosto se lagayi hoi shart or apni shikast ko bhool kar magar yahan masla ye hai ke iska shikar ab meri zidd ka masla nhi raha balkhe kahin insani jano ke tahafuz ka bhi sawal hai. hum log to sirf uski phurti or chalaki ka sun kar shikar karne aye the. uski chalaki se tang Aa kar mere sab dosto ne surrender kar diya or chale gaye. magar meine kabhi haar ka lafz nhi suna mujhe nafrat hai harne se. chunacha un ke jane ke bad mein apne mission par data raha . yahan pas ke gaon jane ka itfak hoa to pata chala ke do bache or ek orat ab tak uske luqme ban chuke hai. wo gaon ke logo ke liye shadeed kisam ka qathra hai lehaza iska katam kiya jana bht zaroori hai.
us roz wo mere shikange mein Aa he gaya tha lekin tum ne cheenk mar kar sara khel begarh diya.
aaj bhi sara din mein uski talash mein mara mara phera magar  siwaye mayoosi ke kuch hath na aya. umeed hai tum meri bat samaj gayi ho gi.
AYLA jawab mein khamosh lehti rahi to wo bola.
kuch to farmaiye Aansa Ayla akram sahiba_
iske nam par khasa zor dhal kar bola gaya tha.
meine ap ki tamam taqreer bagor sun li hai muhtaram haroon waqar ahmed sahib_ wo apne maksoos chidhchidhe pan se boli to wo hans parha. ghap andhere mein uski shakal to kya nazar ati lekin hansi sunai de rahi thi.
bht khoob lekin tum ne mera nam kahan se maloom kar liya??
time ne apni taza tehreen ishat mein apka tafseeli interview shaya kiya tha bas wohi se meine ye maloomat ke anmol khazane hasil kiye. [usay udhar rakhne ka shok nahi tha. is liye bari be nayazi se usy jawab deti usy chirane ki kushish ki to wo be sakta bola. tum ne parha tha mera Interview? tab bhi mein kahun tum mujh se itni impress kio rehti ho.. [ wo barhi sanjidagi se bola. or wo apna war khali jata dekh kar chirh gayi.
wese nak charhi Apas ki bat times walon ne to pata nahi mere bhare mein kuch chupaya tha ya nahi magar tum kabhi sedny A kar dekho mein wahan poore Australia mein kitna mashoor hun.
wahan ke maqami  magazine mein aksar mere khalim  or interview chapte rehte hai barh popular hun mein wahan..
APKO APNE MOUN MIYAN MITOO banne ka zyada he shoq hai.
[wo iski apni tareefo se chirh kar boli..
AYLA KHATOON ye miyan mitoo banna nahi khelata balke isay khud shanasi or apne Ap pr confidence kaha jata hai[ wo usay samjhane laga...
SIRF AYLA HUN MEIN. wo chirh kar boli.. OR BY THE WAY isay KHUD SHANASI NAHI khud pasandi kehte hai. SHAB BA KHAIR. [apni bat khatam kar ke usne karwat dosri taraf kar li to wo bola
SIRF AYLA AGAR YE KHUD PASANDI BHI HAI TO tab bhi KUCH GHALAT to NAHI. SHAB BA KHAIR.
andera itna tha k wo na to iske chehre ke tasurat dekh sakti thi  na ye pata chal raha tha wo iski taraf moun kiye leta hai ya dosri taraf. aj din bhar ke tamam waqiyat sochte howe isay pata nahi kab  neend Aa Gayi..
iski Aankh khuli to wo chule ke pas khara chaii>>tea pi raha tha wohi table par usne mom bati jala kar rakhi howi thi.
wo yuni garden morh kar usay dekhne lagi. jo slice or chaii jaldi jaldi halq se niche utar raha tha. gheele bikhre baal bata rahe the k subah he subah neyaha gaya hai. garhi aj bhi kal ki tarah suabh ki 4:30 baja rahi thi.
isay apni taraf dekhta paya to muskra kar bola. SO JAO ABHI BOHUT SUBAH HAI. wo jawab mein khamosh parhi rahi. cup wohi rakh lar wo apni bag mein se  rifle  revolver nikalne laga. iske bad shoes pehne garhi bandi or bahir nikalne laga to wo uth kar beht gayi or boli.
agar wo ek hafte tak apke qaboo mein na aya to kya ap hafta bhar yahi rahe ge??
ek hafta kya agar wo saal bhar hath na aya  to poora saal yahi guzar don. wo jawab deta bahir jane laga to Ayla parishan ho kar boli.
KUCH MERE HAL PAR BHI REHAM FARMAYE MERA KYA HOGA :(

TUMARA KYA ho ga tum rehna yaha. Aaram se. MUJHE mazay mazay ke khanay pakha kar khelana  or sawab hasil karna.. ACHA baki batein wapasi pe Hogi..  khuda Hafiz..
wo iske parishan hal  chehre par tafseli nigha dal kar bahir nikal gaya..
..
<<<<<<<<<<<<<________>>>>>>>>>>>>>
Ab tak ke liye bas itna he.. Baki Ayenda in sha Allah..
bht jald lekhne ki kushish karon gi

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Aug 30, 2018 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Wo Aik Aisa Shajar HoWhere stories live. Discover now