chapter 5

1.5K 48 53
                                    

Achi tarah nazare dorhane ke bawajood wahan gari ke koi Asaar or na he un dono ka koi sirag mila, usay bari fekar mandi ke sath un logo ke bare mein sochte hoe tori he der guzri ho gi ke achanak usay khayal aya ke wo khud is waqt kahan mojood hain ,
"ye konsi jaga hai yahan se wapasi ka rasta kese mile ga"
wo un logo ko bhool bhal kar apni fekar mein lag gai.ek month mein wo to nairobi se thik tarah se waqif bhi na ho payi thi to yahan is anjan jagah par khud ko pah kar is ka fikar mand ho jana lazmi tha, wo kisi bhi tarah sheheri abadi ke Aas pas phunch jana chahti thi chalte chalte uske paoun shl hone lage magar koi rasta dekhai nahi diya yahan tak ke sham ho gai wo be bas ho kar wohi zameen par beht kar rone lagi usay lag raha tha wo yuni tamam zindagi is jungle mein batakhti rahe gi or usay wapasi ka rsta na mile ga,
"shayad ab kabhi apne ghar walon se na mil paou"
wo phoot phoot kar ro rahi thi , is werane jungle mein Aadam tha na Aadam zaad usay ye soch kar he wishat ho rahi thi ke wo yahan raat guzare gi , raat jo wese bhi apne sath kitne sare khof le kar ati hai or wo to thi bhi bari aam kisam ki darfok si larki jo laal baig se le kar kuta ,bili har janwer se darti thi ,wo to akhele kamre mein sone se darti thi kahan itna drawona ghna jungle jahan is waqt wo bilkul tanha thi.
is waqt usne ek fire ki awaz suni or wo bhuri tarah khof zada ho kar cheenk parhi or phir usay wo mil gaya jo kam se kam ek insan to tha. wo apni khush kismati par khuda ka shukar Ada kar rahi thi jis ne is werane mein usay ek jeete jagte insaan se mila diya, tamam raat us ne ek ajeeb soti jagti khifiyat mein guzari kabhi us ki Aankh lag jati or kabhi achank khof zada ho kar uth behtiti. raat ka jane kon sar peher tha. jab uski Aankh jeep ki start hone se khuli . usne aankhe paarhh kar charo janeb dekha wo wahan kahin nhi tha chaar soo phela andera is baat ka nishandi kar raha tha ke abhi tak subah nhi hoi thi , wo ek dham kuch bad hawaas si ho kar bagher dopate ke bina chmpal pehne bahir nikal ayi. Sanate ko cherti hoi jeep ki awaaz lahma ba lamha us se door hoti ja rahi thi . wo poori raftar se jeep ke peeche baghi .
"sune...please rukh jaye. meri bat sun le please. "
wo cheenk kar usay awaz dene lagi . is waqt jo poora jungle soya hoa tha kahien koi ahat koi awaz nhi thi .iski awaz poore jungle mein pehel gai usne jeep rokh di thi. magar reverse kar ke wapis nahi aya tha. wo khud bagti dorhti jeep tak phunchi ..
"Ap itni raat ko mujhe akhela chorh kar kahan ja rahe hai?? "
wo wahan karhi us se mukatib thi jo string par dono haath mazboote se jamaye barha bezar behta tha.
"mutarima subah ke chaar bajne wale hai raat kab ki katam ho chuki hai or jahan tak apko akhela chorh kar jane ki baat hai to mera nhi khyal hai ke meine ap se is kisam ka wada kiya tha ke apko akhela nhi chorho ga itni buzdil or km himat thi to is jungle mein kya karne ayi thi. "
wo is par malamati nazar dhalta hoa bola.. uske kaprhe badle hoe the or nikra nikra wo kal ke muqabile mein kafi fresh tha ,pata nhi wo kis waqt uth kar tayar hoa tha.
"ap meri madad kare please yahan kisi sheher ya kasbe tak phuncha de mein apka ahsan zindagi bhar nhi bhoolo gi. "
wo minat bhare andaz mein us se mukatib hoi,, to usne lajhe ke akarh pan ko kuch km kar ke us se bola.
"is waqt to mujhe jaana hai wapis a ke tumare is masle pe bat kare ge. "
wo jeep start karne laga .iske udas chehre par ek sarsari sa nazar dhal kar us se mukhatib hoa 
"kuch kha pi lena wahan andar black colour kar bag rakha hai us mein khane peene ka saman hai lekin uske elawa meri kisi cheez ko mat cherna ,or agar moun hath dhona ho to wo tumara shahi Hamam hai."
is ne ishare se ek door se nazar ati jheel dikhai .
wo kuch der karhi jeep ko dekhti rahi jab wo nazaro se uhjal ho gai to wo wapis khema mein a gai. kuch der yun he parishan behti rahi.
"usne kaha tha meri madad kare ga yun kamaka parishan ho kar behtne se meri problm slove tori ho jaye ga.is tarah behtne se behtr hai mein moun hath do kar kuch kha pee lo. "
wo khud ko samjati uth karhi hoi. or jheel ki taraf aa gayi.subha ka ujhala halkha halkha phelna shoorooh ho gya tha. chiriyu ki chechehati awaze or thandi pur sokoon narm hawa ke jhonke ise kuch der ke liye tamam fikaro se ghafil kiya. "ALLAH ne is duniya mein kitni khubsoorati peda ki hai. ye drakt, phal ,phool, or ye behta hoa nadi."
wo kitni he der karhi mahbhot wahan ka husn dekhti rahi.. is ne jheel ke thande pani se moun hat doya,, tabiyat ek dham bashash ho gayi. or wo wapis kaimay mein aa gayi,, usne namaz parhni thi par na qible ka pata tha or na he ye ke namaz ka time hoa hai ke nahi, lekin wo ALLAH ki hozoor mein niyat band ke karhi ho gayi. , namaz parh kar wo ALLAh se apni is parishani se nijaad ke liye ro ro kr duaye manghi. ajeeb sa sokoon or tamant uske andar peda ho gayi thi. apne liye chaii banane ka socha or chulla ke qareeb aa gayi. wo shayad jaldi mein apne liye chaii bana kar gaya tha. is liye chaaii ka cup or kettle wese he parhe hoe the. bartan dhone ka yahan koi intzam nazar nhi aa raha tha. uske bataye hoe black colour ki bag ki taraf barhi .. takhe us mein se dosra cup ,chaii patti wagera nikal sake.
bag mein khushk khurak kafi mikdar mein thi. chaii ki patti ,cheeni,or khushk doodh bhi tha. magar cup na tha ,usay majbooran wapas jheel tak ja ke cup do kar layi,, chaii ke sath usne raat ka khula hoa biscuit utha liya. 4 biscuit or ek cup chaii ka pee ka usne AALAH ka shukar Ada kiya jis ne usy is werane mein bhi uski khurak ka bandobast kiya tha. nashte se farigh ho kar usne bartan do kar wapis wohi rakh diye, iske bad bestar ki chader jarhi or kambal teh kiya ,in kamo se fargh hoi to time dekha sirf aadah gatha he guzar chuka tha.
wo agarcha manah kar ke gaya tha magar akhele chupchap wo is tarah kab tak beth sakti thi .is liye mez per kitab utha kar wo parhne lagi. shikarat se mutaliq wo is kitab ko ba mushkil 10 mint parh payi. iske bad tape record on kiya isne redio lagaya jis mein bolne wali zuban se wo qatahan na Ashana thi. bahar nikal kar Aas Pas ki tafri se yun he nhi le sakti thi k agarcha rasta bhool gayi to phir kya ho ga. dosra ye koi picnic spot nhi hai jungle hai ,agar koi janwae takra gaya to kya ho ga. janwaro ka khyal aya to dosri dil dilane wali soch bhi iske dil mei a gayi.
"agar is waqt yahan koi janwar andar ghus aye to mein kya karon gi? "
is soch ka ana tha ke wo naye sere se khof mein mubtila ho gayi. ,agarcha khud ko har taha belane ki khushish ki thi ke akhir wo ek shekari hai usay yahan ke mahol "ke bhare mein mukamil tor par pata ho ga us ne apna kaima yahan soch samaj kar lagaya ho ga. yahan yaqeennan koi qatre ki bat nhi hai, "
magar dil ko jakarh lene wale is khof ko wo zail nhi kar saki kuch samajh mein na aya to dorood shareef ka ward karne lagi. subah se dopher hoi dopher se sham wo wohi behti rahi..nashte ke bad isne ek glass  pani tak na piya tha. gari ne 4 bajaye to usne shukar Ada kiya,,
"bas ab wo ane wala he ho ga. kal bhi hum log isi waqt aye the. "magar 4 to kya 06:30 ho gaye or wo wapas na aya to usay ajeeb-w-gareeb weham satane lage.
"wo usi sher ka shikar karne gaya hai yaqeenan,"
is ne khud se kaha ,
"agar wo usi sher ka shikar ban gaya to kya ho ga? mein yahan behti uska intezar karti rahun gi or wo wohi sher ka dinner bana ho ga."
is soch ka Ana tha k wo uske salamti k liye dil se dua karne lagi .2 rukhat nafal parh kar uski zinda salamat loat ane ki dua maang rai thi ke jeep rukhne ki awaz ayi.
"shukar hai khudaya..."
usne forran shukar Ada ki or apni duawun ki maqbooliyat pr khush hute karhi ho gayi.wo andar aya to dopata sar par namaz ke style mein horhe wo isi taraf nazre jamaye karhi thi.
"shukar hai ap wapas Aa gaye mein bohut parishan ho gayi thi. "
wo barhi khushi or masrat se us se mukatib hoi to wo ek hadh secound uski taraf ghoorta bed pr beht gaya. or jacket uthar kar samne carpet par paink di.iske badd apne long shoes barhey be rhemana andaz mein uthare or inhe bhi door paink diya.. wo jo apni bat ka jawab na milne par sharminda si ho gayi thi. is ke gussay or narazgi bare andaz se seham kar reh gayi.
shirt ke button khul kar wo shayad shirt bhi uthar kar painkne ka irada rakhta tha magar iski taraf dekh kar rukh gaya or bottun wapas band karta hoa ghara kar bola.
"kya museebat hai mere sar par kyun karhi ho pata nhi konsi manoos ghari thi ke tum jesi bhala mere peeche parhi."
wo is be waja ki dhant par heran reh gayi magar halaat is baat ka ijazat nhi de rahe the ke wo usay 2/4 kari kari suna deti. is liye chere ki tasurat ko usne dostana he rakha, yun jese ke wo kisi or par baras raha hai. iski taraf dekhe bagher wo cigarette or liter utha kar dobara bed par beht gaya. ek ke bad dosri, or dosri ke bad teesri cigarette sulgata wo pata nhi kinn socho mein tha. wo barhi khamoshi se uska jaiza le rahi thi..
is waqt to mosoof itne jalal mein lag rahe hai in se bat kese ki jaye? wo apne ap se boli or thook nigalti apni himat bandati uske samne karhi ho gayi.
"sune ap ne kaha tha meri help kare ge ..dekhein mere ghar wale parishan ho rahe hunge. ap yahan qareeb treen jo bhi sheher ho ap mujhe puncha de please. "
darte darte bari mushkil se usne apni bat mukamil ki to wo jo iske wajood se itni der se yaksar begana tha or be nayaz nazar Aa raha tha. iski taraf dekhe bagher gussay se bola.
"meine koi tumara tekha nhi liya hoa hai kya bat hai ghar wale parishan ho rahe hun ge, akhele jungle mein bejte hoe unhe koi parishani nhi hoi, le kar museebat mere sar par dhal di . dekho bibi tumare sing jahan sama jaye chali jao, mein is waqt bohut gussay mein hun . mujh se bat na he karo to behtar hai."
bat ki inteqam par iski taraf sakt gussay or janjalaht se dekha..
"mein akheli nahi thi , hum logo ka bohut seriuse accident ho gaya tha wo to...."wo yahan apni mojoodgi ki wazahat karna cha rahi thi usne bezari se thok diya,
"mujhe tumari ghamzda dastan mein koi dilchaspi nahi hai. baraye merbani mujhe maf he rakho."
"yahan rehna hai to khamoshi se raho warna jahan dil chahe chali jao. mein jab tak apna target achieve nahi karona yahan se kahien nahi jaon ga ,, tumare opar mera yahi ahsan kafi hai ke tume yahan rehne ki ijazat di hoi hai, is se zyada mujh se tawaqa na rakhna. "
or wo jo itni der se bila waja ki dhant pathkar sun rahi thi. is ke badtameezi se bat karne par ghussay se pagal ho gayi.
"bharh mein gayi sari mahslat, ye jungli khud ko smajta kya hai itni bate to meine aj tak kisi se nahi sunni.. rakhiye apna ye ahsan apne pas sambal kar. mujhe koi zaroorat nahi hai ap jese behuda or badtameez insan ka ahsan lene ki jisse is bat ka bhi lehaz nahi k mein ek kamzor be bas or parishan larki hun .or sirf larki he nahi balke apka hum watan , hm mazhb bhi hun.. apke liye darinde insani jano se zyada himiyat rakhte hai ja rahi hun mein yahan se."
barahii hoi awaz se bolti hoi bahar ki taraf qadam barhane lagi. wo samne behta tathki bande uski taraf dekh raha tha . ankho mein kuch herani bhi thi,
Ansoo se tar chera , jinhe wo bari be dardi se hatho ki pusht se saf karti us se boli ..
"ab chahe mein yahan sisak sisak ke mar jaon par ap se madad mangne nahi aoun gi."
"itni ANA to mujh mein hai magar jate jate ap ko ek bat bata don ke ap ek badtameez , jungli, or bad iqlaq insan hai. jo siwaye logo ko takleef phunchane ke or kuch nahi kar sakta or agar mein mar gayi to mera khoon ap ki garden par ho ga. rakhiye apne kazane sambal kar mein nahi aoun gi yahan chahe kuch bhi ho jaye. "
ansoo saf krti wo is par akheri nigha daal kar bahir nikal ayi.
apni ye kamzor or rona bilkul hi acha nhi lag raha tha. agar wahan se Aa he rahi to ise rone ki kya zaroorat hai. mohsoof ke demagh achi tarah se drust karne chaiye the. khud par jatati wo kitni der bagher simat ka taheen kiye chalti rahi. gussay mein bahir to nikal ayi thi ab Aas pas se ajeeb awaze usy dra rahi thi . sham ke 7:30 baje is jungle mein aisa werani ka halam tha jese k hadhi rat guzar chuki ho...
"thik hai agar meri kismat mein aise hai marna likha hai to mein isse badal to nahi sakti na. "
apni be basi par wo ek patar pr beht gayi ,, charo taraf hunch hoonche drakt the. ajeeb si weshat or werani thi. aisa lagta tha ke abhi kahi se bhoot nikal aye ga..
aisi jagaoun par to bad roohe bhi basera karti hai. isne socha ke shayad abhi koi churail kahi se a jaye or lambe lambe nakno se mujhe noch kr mera khoon pi jaye ..khof mein geri ghutno mein sar rakh kar wo bilak bilak kar rone lagi. degar awazo mein ab iski rone ki awaz bhi shamil ho gayi thi.
"samjata kya hai khud ko jese kahin ka nawaz hai. ALLAH kare usay woi sher cheer parh ke rakh de, "
zor shor se roti wo usy bad dua de rahi thi..
"peeth peechay kisi ko bad dua dena to koi achi bat nhi hai,, "
isne jani pechani awaz suni to apna sar utahya to wo samne khara labo pe muskurahat liye ..usay dekh kar AYla ne nafrat se moun pher liya.
"chalo..."
wo ise chalne ka khe kar khud aghe barhne laga. murh kar iski taraf dekha wo apni jaga se hili bhi nhi thi.
"chalo bhi.. accha meri ghalati thi sorry..ab kya tumare samne hath jorho? "
wo mana bhi raha tha jese iski 10 naslo par ahsan kar raha ho.
"nahi jaon gi kabhi bhi nhi jaon gi.chahe kuch bhi ho jaye. itni be gherat nhi hun. ke mujhe itna zaleel kiya jaye or phir bhi chali jaon .. "
itni der se cheenk cheenk kar rone se uski awaz beht gayi thi jabke ansoo dobara behne ko tayar the..
"soch lo ,jahan tum is waqt behti ho ye jaga sanpo ka gadh hai, rat ke waqt to kasoosiyat ke sath drakto se uthar kr zameen par chehil qamdami karte hai, or sanp bhi konsa .kubra,, wese to yahan pr ba qasrat urhne wale sanp bhi paye jate hai..kahir ..tumari marzi hai."
apni bat ke inteqam par usne la parwai ka muzahira kiya or ek qadam aghe barh gaya. jab ke wo sanpo ki is wadi mein behti rahi ke is ki apni ANA ka masla tha.. achanak wo cheenka ,,
"aray tumare peeche sanp hai helna nahi."
jawab mein wo is se bhi buland wa baala cheenk mar kar ek dham apni jaga se karhi ho gayi or bhagh kar uske peechay a kar chup gayi. mazbooti se iski kameex thame wo uski qande par se achak kar samne us pathar ki taraf dekhne lagi jis par kuch der pehle wo Araam farma rahi thi.
"kak---kahan hai sanp mujhe nazar nahi Aa raha??
pata nahi kahan gaya abhi to yahi tha kahir jane do chalo chale, "
wo jawab mein barhi sanjidagi ka muzahira karte hoe bola.
Ayla ne uski kameez chor di or dobara uski taraf ghor se dekha. sanp kya wahan to chipkali ka bhi nam o nishan na tha.
"tumhe chalna hai ya nahi, itni iltejaye to meine aj tak kisi ki nahi ki. halanke tum yahan beht kar mujhe he qoas rahi thi magar mein phir bhi tume lene Aa gaya hun. "
wo is par ahsan jatata hoa bola.
wo bechari to abhi tak sanpo ke gham mein dehli hoi thi.
"sune.. kya abhi waqi mere peechay sanp tha? "
wo nigaye usi taraf jamaye boli.
"us waqt kya abhi bhi tumare peechay drakt ki shak pe ek sanp jhool raha hai. "
wo barhi be neyazi se bola. jawab mein wo zor dar cheenk mar kar apni jaga se hat gayi. "wo uski taraf qadam bharate hoe boli. jaldi chale yahan se mujhe yahan bohut dar lag raha hai." chehre par khof or deshat tari kar ke wo us se khe rahi thi . usne apni be sakta muskurahat ko rokha or dheere se barh barhaya ----idiot
wo uski barh barhaht sune bagher aghe barh gayi to wo bhi uske peechay chalne laga ,,
agar abhi ye na ata to mein kab ki is dar fani se khoch kar chuki huti,, achanak is ke halk se cheenk barhamid ho gayi to wo bhuri tarah janjala gaya..
"tume takleef kya hai akhir.. bat be bat cheenkhe marti ho. tumare gale mein karashe nahi parhti? mujhe to apne kano ke parde pathte hoe mehsos ho rahe hai,,, "
wo chirh kar bol raha tha.
"abhi abhi koi cheez mere paoun par se guzri hai,, shayad sanp ya bichoo.. "wo usay matlah karne lagi.
"koi chhoha ho ga,,sanp reengte hai uchalte hoe sanp tum ne kahan dekhe? "
wo iske chehre ki safed parhti rangat se mutasir ho kar ise ahtminan dilane laga..
"kya pata tha mutarima sirf sanp ke nam se itna darti thi agar jo kahi asli sanp dekh liya. to pata nhi kya ashar ho ga."
phir iske pheron par nazar parhi to heran ho ke bola,,
"tumare champal kahan hai ?ap ne itni badtameezi ki thi mere sath mein gussay mein aisay he bahir nikal ayi.,,"
wo apni pheron ki taraf dekhti, usay uski bad solooki yad dilane lagi.
"meine badtameezi ki thi? "
wo heran ho ke bola,,
"larki jhoot zra km he bola karo khuda ko kya moun dekhao gi. ultha tum mujhe jungli , behuda, pata nhi kya kya khe kar ayi thi ye to meri Alaa zarfi hai ke mein phir bhi tume bulane Aa gaya hun.. "
uski bat par wo naye sere se thup gayi ,,,
"Acha.. mujhe manoos , museebat or bhala kis ne kaha tha? "
wo ba qaida thane dene karhi ho gayi.
"acha chalo hisab barabr ho gaya. kisi ka kisi par koi odhar baqi nahi raha, mera khyal hai ke ab is topic ko close kar dena chaiye, "
wo jagrha katam karne laga.
wo khamoshi se chalte kaimay tak puhunch gaye,,
"tashreef laiye meri nehyat qabil, ahtram, or bohut he mazaz , mehman agar ap andar Aa kar mere ghareeb khane ko ronaq baksh de to mein isse apni khush kismati samjon ga. "
iske samne sar jhukaye wo barhi hajezi se bol raha tha. magar chehre or Aankho ke tasurat ek dosre se mutsadim nazar Aa rahe the. wo khamoshi se karha uske andar jane ka intezar kar raha tha. wo andar dakil hoi to wo bhi uske peechay andar Aa gaya.
"mera khyal hai yun bat bat par chirh kar naraz ho kar tum ne apni sehat ka ye haal kar liya hai,, larki,,,khush raha karo,, achi sehat ke liye khush rehna nehayat he zaroori huta hai, warana kuch arsay bad log tumara nam chirhchirhi , bad mezaj, or khutbi rakh de ge,, "
wo chulle ki taraf barhta hoa is se bola. phir chulle jala kar us se poochne laga ...
"kuch khaya tha dopher mein? "
jawab mein usne nafi mein sar hela diya or boli,,
"subah chaii pi or biscuit kahaye the.
dekho agar tum bemar parhi to mujh se ye tawaqamat rakhna ke mein tumari temadari karon ga. had ho gayi,, chalo mein ajj apni kam ki dhun mein khane pene se gafil raha lekin tum.."
wo usy dhant raha tha .. jab ke wo khamoshi se karhi usi ko dekh rahi thi.
"chalo tum bhi kya yad karo gi mein aj tume mazedar kisam ka pasta bana kar khelata hun. .. "
wo achanak he is pr merban ho gaya tha or wo is khaya palat par heran karhi thi. bag se ek Adad pasta ka packet or choti si patheli nikal kar dobara chulle ke pas karah hoa or wohi pas parhe kain mein se pani dhaal kar ubalne ke liye rakh diya, pani ubalne laga to wo pasta khol kar us mein dhalne laga. wo usay tokhna cha rahi thi ke do logo ke liye poora packet bohut zyada hai magar phr kuch soch kar chup ho gayi.
uske kam karne ka andaz bilkul anadhiyu wala tha or wo uske poharh pan ko bardasht na kar saki to uske pas Aa gayi or boli..
"ap rehne de mein bana leti hun. "
jawab mein usne kande uchkaye or bola,,,
"most welcome ye kam to wese bhi mere liye duniya ka mushkil treen kam hai abhi agar abdullah yahan huta to uske hath ka pakha mazay ka khana kha kar ap khush ho jate magar afos .. "
wo chulle ke aghe se hat gaya. tore say pani mein opar tak pasta bara hoa tha. becharo ko doobne ke liye chuloo bhar pani naseeb na hoa tha. usy hasta dekh kar wo heran hoa tha. . kya hoa??
"kuch nhi.. "
wo jawab deti opar opar se tora pasta nikalne lagi phir us se boli..
"agar ap ki permission ho to ap ki bag se namak le sakti hun??
jo dil chahe le lo,, bas tum jaldi se khana khela do tume bohut sawab mile ga,, pooray din ka bhooka pyasa hun, mazeed kasar tum ne 2 ghante minate karwa kar poori kar di,, "
ise jawab deta wo khud he bag se namak nikal kar le aya or poochne laga..
"or kuch chaiye?? "
"han aisa kare machli ka or mashroom ka ek ek dhaba le aaye,, "samaan ka tafseeli jaiza to wo subah he le chuki thi,, wo barhi sadat mandi se dono cheeze nikal kar le Aya ,,
"pasta boil ho gya hai, iska pani kahan painko?? "
wo poochne lagi to wo bola ,,,lao mein bahar paink aon... wo barha he acha bacha bana hoa tha ya shayad bhook shadeed lag rahi thi.. wo is khadshe ke paish nazar ke wo pani samet sb kuch he na paink aye,, khud he patheli utha kar bahar le gayi,, wo bhi iske peechay peechay aya, phir jitni der mein wo machli or mashroomz ko fry krti rahi wo iske pas he karha baghor ise kam karte hoe dekhta raha. fry ki hi cheeze isne patheli mein dhal kar mix ki or plate mein nikalne lagi , wo to khoob gehri saans leta hoa bola ,, "khushbo to zabardast Aa rahi hai! "
plate is ke hath mein pakrha kar wo apne liye frying pan mein pasta nikal liya ,, ke yahan cup, glass,, plate, chamcha wagera, sb he cheeze ek thi,
wo apni plate pakre carpet par behta iska intezar kar raha tha ,, apne liye patti ki dhabe se chamcha nikal kar wo bhi wohi kuch fasle par beht gayi.
wo barhi ragbat se khata raha ,,,
"barhe dino bad kuch dhang ki cheez khane ko mili hai. "
wo iske hath ke pakhe hoe khane ki tareef kar raha tha. plate khali hoi to wo or nikal kar le aya jab k Ayla kha pi kar farigh behti thi.

Wo Aik Aisa Shajar HoWhere stories live. Discover now