Chapter 2

1.1K 32 5
                                    

is liye us ki jeep chalane ka andaz aur chehre k tasurat bata rahe the k wo is jaga aur yahan k halaat se mukamil aghai rakhta tha.Ayla ke dil ko kuch ahtminyan hoa. shukar hai mein drust bande ke pas khud ba khud puhnch gai, warna agar ye bhi meri tarah koi anjan admi huta to mein to gai thi kaam se.wo is ka mukamil jaiza lene ke bad soch rahi thi.

isi waqt jeep ek jatke se rukhi. is se kuch bhi kahe bagher  wo ek jatke se uthar gaya, aur samne mojood kaimay ka parda uta kar andar dakil ho gaya, wo iski bad tameezi par khul kar reh gai.itna behuda or bad tehzeeb insaan hai, agr madad kar he di thi to kuch insaniyat ka saboot bhi to de. 

wo yahi jeep mein behti gussay se jal rahi thi. jab yunhi behtey behtey usy 10/15 minutes guzar gaye or wo dobara bahir na nikla to wo majbooran jeep se uthar ayi. or bin bulaye mehman ki tarah is ke kaimay ka parda hata kr andar dakil ho gai. apni is be sharmi par usy khud sakt tao a raha tha magar halaat ka takaza yahi tha ke gadhe ko bap bana liya jaye. is liye is ne chehre ke tasurat bhi dostana rakhe.

 is ka khema kya tha poora ek luxury kisam ka bedroom tha. kam az kam is ne ab tak ki zindagi mein jitne bhi kheme dekhe the ye un is se muktalif tha. poora khema wall to wall carpet tha.maroon color ka araam da khaleen jis par sabz or suhneri print tha. single folding bed jis par halke neele rang ki chadar behchi hoi thi. side mein teh kiya hoa mor ka blanket jis par tiger print bana hoa tha. bed ke pas he folding chair rakhi thi. zra aghe ek table rakhi thi. jis par time pace tape record,  do kitabe or cigarette ki dabiya rakhi hoi thi. bed ke samne do hadad floor cushoins or ek dusbin bhi tha. or phir sab se akhir mein mez par chulla rakha hoa tha. isi mez par do char bartan or khane peene ka saman bhi nazar a raha tha. 

Ya Ilaahi ye koi nawab sahib hai ya shikari. itne shahana andaz mein to aj tak kisi ko shikar karte nhi dekha. ye to aisa lag raha hai ke hazrat mustakil  yahi kayaam farmate hai. 

wo is ki amad ka koi notice liye bagher apne liye chaii [tea] banane mein masroof tha. chaii ban gai to bare araam se cup hath mein liye Araam se tanghe pela kr floor cushions par beht gaya.  or sip lene laga, apni itni insult par issy sakt gussa a raha tha. magar koi or jaye pana bhi nhi thi. is liye majbooran khud ko gaseetti wohi qaleen par simat kar beht gai. 

wo bari mushkilo se khud apne ap ko samja buja rahi thi. or apni Ana ko or unchi nak ko tapak tapak kar sula rahi thi. zra socho agar ye is waqt mjhe na milta to mera kya hashar huta. wo zakhmi sher mujhe kha chuka huta. in halaat mein is ka milna bhi bohut ganeemat hai. wo apne ap ko samja rahi thi. jab ke wo bari khamoshi se is ko khud se jang karte dekh raha tha. 

phir jab wo chaii pe chuka to wohi qaleen par floor cushions par sar rakh ke let gaya. Ayla ne do char bhar sar tedha kar ke uski taraf dekha. uski band ankon se pata nhi chal raha tha ke wo jag raha hai ya so raha hai. kitni he der guzar gai jis waqt wo is ke sath ayi thi sham ke 4:0 baj rahe the jab ke ab 6:30 baj rahe the. 


Wo Aik Aisa Shajar HoWhere stories live. Discover now