Chapter-4 : Tujhse Naraz Nahi Zindagi

540 5 2
                                    

NEXT DAY

Sonakshi was in the hospital to clear her account

Sonakshi: Shilpa, mera account aur balance clear kar do

and she heard some voices , and saw Sakshi crying, the nurses were trying to handle her as she was hurting herself

Sonakshi: Sakshi, Sakshi ye Shilpa...ye Sakshi...ye kya ho gaya hai isey

Shilpa: Vo Dr Sonakshi, Sakshi ko us din aap bahar leke gayi thi uske baad usey pata nahi kya ho gaya, logon ko dekhke darne lag gayi, yahan tak ki usne sirf staff ko hi nahi apne aap ko bhi nuksaan pahonchane ki koshish ki, wo toh accha hai Dr Dev sahi time par aa gaye varna Sakshi...

Sonakshi: Kya Sakshi ko Dr Dixit ne sambhala

Shilpa: Haan ma'am, actually aap se pehle Dr Dixit bhi Sakshi ko bheed mein le gaye they toh aisa hi hua tha, isiliye vo Sakshi ko kahin nahi le jaate, in fact apni dost ko is haal mein dekhna unhe khud bhi achha nahi lagta

Sonakshi: Dost?Matlab?

Shilpa: Haan Dr Sonakshi, Dr Dixit, Sakshi ke dost hain

Sonakshi : What!!..aur main gadhi apne hi pairon pe kulhadi de baithi...Oh god!!..ab main kya karun...

................................................................................................................................

ON OTHER SIDE

Gauri was in her office and working on the laptop when someone knocked the door

Gauri: Please come in

It was Omkara

Gauri: Om, aap yahan...aap yahan kya kar rahe hain

Omkara: Vo main yahan se guzar raha tha, socha tumhe tumhari important cheez lautate chalun

Gauri: Kaisi cheez

Omkara(shows a bracelet to her): Ye...aap mere ghar pe bhool gayi thi

Gauri: Aap sirf is bracelet ko lautane aaye they , aap ye mujhe tab bhi de sakte they jab aap subah train karne aaye they

Omkara: De sakta tha lekin us waqt maine kuchh khaas notice kiya isliye maine nahi diya

Gauri: Kya?

Omkara: Maine dekha aap aaj apne Dad ko bahot miss kar rahi thi isliye achhe se practise bhi nahi kar rahi thi

Gauri: Haan, vo aaj Dad ka birthday hai...aur vo jab main 7 saal ki thi tab

Omkara: Oh I am sorry mujhe nahhi pata tha

Gauri: Omkara , apni soch ko rukiye, vo zinda hain..sahi salamat hain

Omkara: Oh! Toh phir

Gauri: Darasal jab main 7 saal ki thi tab vo hume chhodke chale gaye they, kyunki vo meri Mom ke saath...i mean...

Omkara: I understand Gauri, lekin mera manna ye hai Gauri ki I am sorry to say, lekin aapke Dad bahot hi khudgarz insaan rahe honge jo aapki maa ko hi nahi, apne dono bachhon ke baare mein nahi socha unhone..I think aise log bahot hi ghatiya....

Gauri: Mr Omkara Singh Oberoi, Mere dad ke baare mein kuchh bhi bolne ka haq aap nahi rakhte...so please mere Dad ke khilaaf ek shabd bhi aap nahi bolenge...

Omkara: Gauri main toh

Gauri: Aap mera saman lautane aaye they aapne de diya now you may leave

Omkara: Gauri

Tum Jo Mile Ishq Meinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें