The Apple Of Our Eye

1.3K 34 1
                                    

Shivam bilkul apni maa par gaya hai, wahi brown aankhein, wahi hazaar watt ki sweet si smile, wahi dadagiri aur shaitaniyan, sach kahun toh ghar me tabhi shanti hoti hai jab wo so raha hota hai aur sote hue wo apni ma se bhi pyara lagta hai. Papa aur Sumo ne shayad kabhi aisa socha bhi nahi hoga ki wo mujhse jyada kisi se pyaar kar sakte hain par Shiv se dono itna pyaar karte hain ki shayad unhe bhi iska andaza nahi. Meri bhi zindagi me sabse important ab wo hi hai, shayad Sumo se bhi jyada. Hum dono ek dusre ke bina shayad reh bhi jaaye par Shiv ke bina rehne ki soch bhi nahi sakte.
Waise wo thoda meri tarah bhi hai, bilkul jalkukda... Aaj subah Sumo jab nashta kar rahi thi toh priyanka (preekar's daughter) Sumo ki godi me aakar baith gayi. Shiv ne dekha ki uski ma priyanka ko nashta khila rahi hai toh wo rooth ke rone laga aur tabhi mana jab priyanka ko utar ke Sumo ne usko godi me baitha kar nashta karaya. (flashback - a six year old cute kid comes down the stairs, is upset to see his elder cousin sitting in his mamma's lap, doesn't say anything just takes the chair opposite and refuses to eat anything. Sumo and Priyanka get what is going on and Priyanka gets down. Sumo gets up slowly and goes to Shiv, she starts tickling him and he starts laughing she picks him up saying mera baccha and then feeds him breakfast) Waise usko kahaniya sunne ka bhi bahut shauk hai. Jab tak wo mujhse raat ko story nahi sun leta wo sota nahi hai.(A very nice room with pictures of cars all around and Shravan and Shiv are sitting on Shiv's bed and Shravan is telling Shiv the story of Pinocchio) Har mahine usse nayi kitabein aur comics chahiye hoti hain aur haan ek baat toh maine apko batayi hi nahi, mujhe lagta hai ki uski height bilkul meri jaisi hogi kyuki wo abhi se hi apni age ke bachchon se kaafi lamba hai.

Sumo POV
Shravan chahe kuch bhi sochta ho, meri life me usse zaroori koi bhi nahi, Shiv bhi nahi, haan Shiv zaroor mera hissa hai par main usse itna zyaada pyaar isliye karti hun kyuki wo mere Shravan ka bhi hissa hai, aur wo bilkul apne papa pe gaya hai, waisa hi akdu hai, waisa hi possessive aur utna hi sweet aur caring hai. Isliye hi shayad koi kuch bhi kahe ki maine apne laadle ko bigad rakha hai, par main usse naraaz nahi reh paati, na hi uski aankhon me aansu dekh paati hun. Aaj subah ki hi baat hai, jab hum sokar uthe toh dekha ki usne apne baalon mein hair gel ki poori tube laga li thi aur apne papa ki tarah apne baalon ko style karne ki koshish me laga tha. Is chakkar me usne shravan ke perfume ki bottle bhi tod di thi. Gussa toh mujhe bahut aaya par wo (thinking back fondly, their cutiepie with messed up gelled hair standing in the closet with a hairbrush in his hand and mess all around) kitna pyara lag raha tha.. Phir bhi maine jhooth mooth ka gussa dikhate hue daant lagayi (Sumo trying to control her laughter and trying to look angry) ...
Shravan - Phir hona kya tha.. Apni ma ko wo bade ache se jaanta hai, ek aansu tapkaya nahi ki Sumo ne khud hi sorry bol ke usko gale se laga liya, aur to aur usko manane ke liye tiffin me sev ki sabzi bana kar di... Sumo khud itne dramein karti hai phir bhi apne bete ki nautanki ke aage haar jaati hai.

Edkv FF season 2 Where stories live. Discover now