Chapter 8

1.6K 99 24
                                    




All except Naina are walking outside the house after dinner. Everyone is in their own thoughts. After sometime they take their seat on the grass in garden. Huda looks upwards at Rajveer's room. The light in that room is still on.

"Doston, iss Phoolan ko koi samjhao. Kahin aisa naa ho ke Sir thik ho jaye aur ye bimar pad jaye." Huda expresses his concern for Naina.

"Kar lene dijiye aaj unhe jo karna hain. Kalse hum aisa nahin hone denge. Jyada stress unke liye acha nahin hoga." Says Ali who also turns to look at the light of Rajveer's room.

"Guys, mujhe toh ab bhi yakeen nahin ho raha. Kal raat shayad issi waqt humne decide kiya tha ke hum Rajveer sir ko dhoond lenge. Aur dekho, after 24 hours, he is with us." Yudi is still not able to believe that what happened today is true.

"Aisa ho jata hain Yudi. Kabhi kabhi barso tak call nahin lagta aur ek din achanak jab socha bhi naa ho hume khud call aa jata hain. Mujhe lagta hain aaj Naina bahot jyada thaki huyi hain. Pehle academy mein kaam aur phir ye sab. Physically aur mentally bhi uske phone ki battery down hain. Kya aaj raat tum logon mein se koi so sakta hain sir ke pass? Main usko kaise bhi mana lungi." Everyone is thinking only same thing to which Pooja has given words.

"Taiyar toh aapun sab hain. Lekin kya wo manegi?" Aalekh knows Naina very well.

"Usse manna padega Qaidi." Declares Huda. Huda turns to look at Aalekh and gets up from his seat. He folds his hand to his chest and looks upward to see at Rajveer's room once again and continues, "Main ye achi tarah se janta hun Qaidi ke Sirji ko Phoolan ke siwa koi aur thik nahin kar sakta. Par iske liye sabse jaruri hain Phoolan ka thik rehna. Humme kuch karna hoga yaron."

"I have an idea dude." Yudi says getting up from his place. Everone looks at him. "Kyu na hum yeh decide kar le ke sir ke pass kaun kab rahega. Aakhir sab log chahte hain sir ke sath time spend karna. Kyun chief?" Yudi looks at Aalekh for support.

"Yeh Yudi thik keh rela hain. Lekin abhi ye karneki naubat nahin aayi." Says Aalekh. All look at him confusingly. "Shayad Naina aur tum sab log ek baat bhul rahe ho ke aapun ko aur Naina ko parso matlab untees(29) January ko Delhi jaana hain retreat parade keliye. Agar aaj tum sab log ghar bhi chale jaatey phir bhi aapun dono ko wapas Delhi jaana hi padta. Toh Naina sir ke pass hamesha toh nahin reh sakti. Woh chahe bhi toh bhi nahin." Aalekh reminds them all about their duty.

"Are haan Qaidi, hum toh bhul hi gaye. Tum dono ko toh retreat parade ke liye bhi chuna gaya hain na." Huda places his hand on his head's backside. "Lekin iss Phoolan ka kya, wo aayegi?" Asks Huda.

"Usse aana hi padega Huda. Uske mentor ne use duty ko nibhana sikhaya hain." Says Aalekh firmly. "Shayad aapun dono ko kal hi niklana pade. Aapun ki abhi khana khane ke baad Delhi baat ho gayi hain." Informs Aalekh.

"Guru, aap fikra mat kijiye. Aap bas Naina ko sambhaliye. Hum sab hain yaha sir ke pass. Aur pata nahin kyun lekin hume lag raha hain ke sir jaldi thik ho jayenge. Shayad aap logon ke aane se pehle." Ali speaks it out in the heat of moment.

"Oye Ali.." Pooja shouts and hugs Ali. "Agar aisa hota hain toh kitna acha hoga. Rab ji karein tere mobile ka version upgrade ho jaye." All laughs at Pooja's silly wish.

Huda comes at Ali and Pooja. He sits near them, on his one knee and says, "Oye Panjaban, control kar apne emotions pe aur jakar Phoolan ko sambhal. Jaa , bahar nikal usko sir ke kamre se."

All stands up. (Fast LRL tune starts in the Background)

Yudi says determindedly, "So guys, now we have two missions. Pehla, Rajveer sir ko jagana aur dusra Naina ko sambhalna. And we have to do these. Hamare pass yahi ek holiday hain ek saath kuch karne keliye. So What say.." Yudi extends his hands and motions all to join him. Everyone places their hand on his.

Rajveer Naina Some Love Stories Never End...Where stories live. Discover now