25th February Mayank

205 9 0
                                    

Kuch ajeeb hi hai woh ladki. Us din to shukria ka ek lafz nahi nikla tha uske muh se aur kal shukriya karte uski zaban nahi thak rahi thi. She is quite a funny girl. Kal maine college ki building enter hi ki thi ki mujhe aisa laga koi mujhe pukaar raha hai. Mudh kar dekha to wahi ladki thi. 

"Suniye."

"ji kahiye?Aaj bhi koi kaam hai?"

Maine time dekhte huye kaha.

"Woh actually i wanted to say thank you kal main keh nahi payi thi na."

"Oh its okay. "

Maine notice board ke taraf turn karte huye kaha.

"Shit saare first classes cancelled hai."

Maine halke se kaha aur woh phir mere pas aa kar khadi hogayi.

"Kya? Meri bhi classes cancelled hai?"

"Ji. Likha to hai. Aisi notices I don't know why yeh log ek din pehle kyun nahi dedete. Bekar mein logon ka waqt zaya hota hai. Upar se koi meeting hai toh yeh library bhi band rakhenge."

"Arre college me to in sab cheezon ka hi  maza hai. Classes off matlab friends ke saath hum bahar ja sakte hai ya canteen me baith ke hi baatein kar sakte hai. "

"Toh ap yeh sab karne college ati hai kya? Mujhe to yeh saari cheezein bilkul pasand nahi. farigh hone par main library chala jata hoon par aaj toh woh bhi band hai."

"Kis kisam ke bore insan hai ap? Off class me library kaun jata hai? Main to school me humesha library class bahane laga kar bunk kar leti thi."

"ji?"

maine ek irritated look diya use.

"Woh mera matlab wo nahi. I am sorry. Bas hum dono bohot mukhtalif hai."

"Ji."

Main kehte huye age badhne laga par woh phir mere peeche ane lagi.

"Koi kaam hai?"

maine rukhte huye pucha.

"Nahi woh main soch rahi thi kidhar jaon mere to abhi koi friends bhi nahi bane. Ap shayad kisi first years ko jante ho mere department ke to mujhe unse milwa dete ap."

"Main apko yaha match maker lag raha hoon."

"Le maine to friends ke liye kaha tha life partner todhi."

"Excuse me."

Main kehte huye phir age badh gaya. Magar woh baaz kaha ati phir mere age hath phaila kar mujhe rok diya.

"Yeh kya kar rahi ho?"

"woh rok rahi hoon apko itna bhag kyun rahe hain mujhse? Main koi bhoot todhi hoon."

"Par bhoot se koi kam bhi nahi hoon."

"Hum inti dair se aatein kar rahe hai par humne ek dusre ka naam hi nahi pucha.Nupur Bhushan."

Kehte usne hath age badhaya.

"Mayank Sharma. Baatein itni dair se main nahi ap kar rahi hai. Ab please kripa kar ke mera rasta mat rokiye ga."

Isse pehle woh muh kholti maine kaha

"Aur please main koi dostiyaan nahi kara sakta yaha. Mujhe aur bhi behtar kaam hai.Aur please mera raasta choriye."

Usne is dafa kuch kaha nahi aur main age badh gaya.

Uff!Kitna bolti hai yeh ladki.

Diaries: A Mayur ffWhere stories live. Discover now