2nd March Nupur

139 5 0
                                    

Waise Mayank Sharma itna sadu aur ajeeb bhi nahi hai. Aaj humare department ne Fresher's party organize ki thi. Main toh jaane ke liye badi excited thi par Gunjan ne aane se mana kar dia. Woh ek hi dost toh bani hai mere class mein. I am very upset with her. Kitna manane ki koshish ki maine par usne meri baat kaha sunni thi. Uske cancel karne ke baad maine bhi jaane ka plan cancel kar dia tha par phir humare seniors ne mujhe itna insist kiya ki main mana nahi kar payi. After all, this party was organised for us. 

Party mein main kareeban saath baje pohnch gayi thi par tab tak toh koi aya hi nahi tha. Logon ko agar time par aana nahi hota toh phir woh aisi timings hi kyun fix karte hai. Khair main ja kar ek table par baith gayi. Todhe dair mein baki log bhi aane lage aur meri classmate Dia woh mere pas akar baith gayi. Gunjan ke alawa todhi bohot baatein meri Dia se bhi huyi hai. But since uske friends aye nahi the woh mere pas akar baith gayi.

"Gunjan nahi ayi?"

Usne apni drink peete huye pucha.

"Umm..ane toh wali thi par aaj subah hi usne plan cancel kar dia.Maine bhi apna plan cancel kar dia tha but then seniors ne itna insist kiya ki.."

"I understand...Suhaani ne bhi plan cancel kar dia hai.Par main Rannvijay ke insistence pe ayi hoon."

She said blushing.

"Rannvijay kaun hai?"

"Woh humare hi department ka hai. Second year. Tum nahi janti shayad use. "

"Haan kyun ki class se zada woh canteen me rehta hai."

Riya ne baithte huye kaha.

Riya is actually Dia and Suhaani's friend. I had never spoken to her before but somehow she always seemed more rational and secure than Dia and Suhaani. 

"Haan ab har koi college sirf padhne toh nahi ata."

Dia tried defending.

Riya simply rolled her eyes. I was actually enjoying Riya's behavior. Dia ke liye woh skeptical hogi shayad but I think uski baatein kahi na kahi point par thi. 

Main unke saath hi baithi thi ki suddenly i spotted Mayank. Honestly, I was quite surprised. I didn't really expect him to turn up for a party but then he never fails to surprise me. Class ka topper hai but equally good in sports. Zada show off mein belief nahi rakhta shayad isliye humesha field me nahi dikhta. Koi mujhe agar college ke first week mein kehta ki he is the captain of our football team toh main zarur has padti uspar. Magar us din use kehlte huye dekh kar i was shocked. Pura match dekha maine by god jab ki i have no idea about football. I guess he was playing the game beautifully isliye shayad maine baith kar dekh lia.

Uski bhi nazar mujh par padi isliye usne ek halki si smile di par phir apne doston ke saath busy hogaya. Dia ne shayad humare beech ka yeh chota sa interaction notice kiya isliye usne mujhse pucha

"Mayank Sharma ko janti ho?"

"Yeah. first day usne meri bohot help ki thi tab se kabhi corridors par mil jane par baat ho jati hai."

"oh...Bas dosti ya aur kuch?"

Usne haste huye pucha.

"Dosti bhi nahi hai. We just know each other nothing else."

I said explaining.

"I see. Dosti bhi ho jayegi."

"Dosti aur Mayank se? Tab toh library ke chakkar hi lagte rahenge mere."

Maine haste huye kaha.

Hum baatein hi kar rahe the ki achanak se Dia ne kaha 

"Rannvijay is here."

She waved at him and responding he took the seat next to me. Usko dekh kar kuch achi vibes nahi arahi thi honestly. Even Riya didn't seem to enjoy his company.A little later, Riya aur main uth kar dance floor ki taraf chale gaye. Hum dance toh nahi kar rahe the because it was all really very awkward. Par hum bakiyon ko enjoy karte dekh rahe the.

Todhi dair baad Dia called Riya. I guess woh washroom ki taraf chale gaye. Immediately Rannvijay mere pas akar khada hogaya. I tried to ignore him but woh mujhse baat karne ki koshish karne laga.

"nupur right?"

"yes."

I said nodding but still fixing my gaze on the dance floor. Mayank who was across the hall was suddenly looking towards us.

"Dia mujhe bata rahi thi tumhare bare mein. She is really fond of you i guess."

I simply smiled.

"cold drink?"

Before i could really say anything, he literally shoved the glass in my hand.

"Ok."

 I said being taken aback.

Before i could take a sip, Mayank paced forward and intervened.

"Nupur do you have a minute?"

He asked standing in front of Rannvijay.

"Sure. Excuse me."

I responded trying to escape Rannvijay's company.

"Bol-o-o.."

Before i could complete Mayank grabbed the glass from my hand.

"Yeh kya horaha hai?Pehle usne drink zabardasti pakda di aur ab tumne zabardasti cheen li?"

"Tum kya bewakuf ho?"

"Kya matlab hai tumhara?"

Maine usse confusion mein pucha.

"Yeh drink jo tum peene ja rahi ho ye koi cold drink nahi hai. Isme alcohol mixed hai."

He said smelling the drink and then handing it to me. It did smell of alcohol.I looked at him a bit surprised and uttered

"Woh main.."

"Nupur aisi parties mein bina kisi ko jaane tumne glass kaise leliya. Fresher ho I know but sense toh hai na. Rannvijay ko dekh kar hi tumhe andaza nahi hota ki woh kaisa hai."

"Haan kuch ajeeb toh hai."

"Toh phir tumne yeh accept kyun kiya."

"Woh mujhe kya pata tha ki wo alcohol milakar mujhe yeh drink dedega."

"Agar tum in night clubs ke freshers me aogi toh is baat ka andaza toh tumhe hona chahiye. Tum dekh kar  mujhe drink karne wale logo mein se nahi lagti isliye maine tumse ye lelia. Your first time could be a disaster. Warna bakiyon ko malum bhi hai aur adat bhi."

"Thanks."

Maine halkesmile karte huye kaha.

He simply nodded and moved away.

Acha ladka hai Mayank. Aur acha hua ki usne yeh andaza laga liya warna pata nahi kis tarah ka tamasha hojata.



Diaries: A Mayur ffWhere stories live. Discover now