Zindagi

111 10 5
                                    

"Zindagi ki haqeeqat koh o kun k dil se pooch,
Joye sher o tesha e sang e dra hai zindagi"
"Tm kuch bolte kiun nhi Ayan, Maa hn mai tmhari, Bolo kuch"
"Maa plz mai in ghr k ma'mlon mai uljhna nhi chahta, jia kuch glt nh kh rhi" Jia ki maghroor muskrahat maa ka dil torr rhi the. Bete ki trf pur umeed nazron se dekh rhi the. Beta apne mobile mai magan tha. Jia ne saas ko uthne ka ishara kia. Nehla k pass koi rasta na tha siwaye is k wo apne shohar ki jaidad me se apna hissa le k elahda ho jati.

Nehla, prhi likhi toh nhi the k koi nokri krti. Shohar ki pension se ghr chlati. Or property se milne wali rqm se 2 ghr bnaye, aik ghr (karaye) rent pe dia or dusra apne jaisi be bas orton k leay imaj gah (rehne ki jga) bna lia.

Aj kal k dor mai koi kisi ki prwah nhi krta. Koi krae b toh bura lgta hai k privacy distrb ho rhi hai. Joint family systems ka riwaj khtm hota ja rha hai. Bachae apni apni families ma magan ho jatae hain. Reh jatae hain maa baap toh old homes hain na un k leay. Jis umr ma sukoon ki khwahish hti hai.. Beskooni hi khtm nhi hti.
Kisi ne kya khoob kaha hai,
"Wo mere naseeb ki barishen kisi or ch'hat pe baras gyi,
Aye dil e bekhabar meri baat sun usae bhool ja"
Maa ka dil toh itna nrm hta hai k wo ulad ko bd'dua b nhi de skti.
____________________________________
Mishal apne bhaiyon k ghr se nikl kr kahan jati. Sagae rishton ne thukra dia tha, baqi toh ghair hte hain. Us ne women hostels, ngos ki profiling or aik munasib jga dekh k rhne lgi. Yh nehla ka hi ghr tha. Nehla sb ki maa the. Zamanae ki thukryi hui beshtar ortein lrkian or wo bachian jinhe un k ghr walae phenk gye thae. Wahan rhti theen. Ana b unhi ma se aik the. Mhbt k leay bhag k ghr se nikli the. Mgr wo shakhs beech raah mae hi chor gya. Jo chor drwazae bnwate hain un pe pehra b rkhte hain. Ana k bhaiyon ne us lrke ko mrwa dia. Ana kisi trh chup k iss ghr tk puhanch gyi. Aur ab yhi ghr us k panagah tha.
_________________________________

"Bichar gye ho toh loh e dil se mje,
Iss trh mitana k kamal kr dena"
Mishi ne yh prhte huae ankhein bnd kr lin.
__________________________________

Mishi or ana ka kya mustaqbil ho ga?? Kya nehla ki lfz màa sun'ne ki arzoo kbe us ka beta puri kr pye ga?

Zindagi Udaas haiWhere stories live. Discover now