Humara Zindagi

1.8K 94 17
                                    

Kartik POV
(Wakes up in the morning.)

Hayyy, meri Naira. Dulhan ke roop mein kitni sundar lag rahi hai. Aur uthte samay hi ye dikhne ka mauka mil raha hai. Man kar raha hai ki hum donon aise hi baithe rahe.

(Naira wakes up.)

Naira: Good Morning Kartik.

Kartik: Good Morning Naira. Ek minute, tum yahan kya kar rahi ho?

Naira: Kartik, hum gaadi mein baithkar ghar jaa rahe hain, yaad hai? Humari shaadi hi gayi hai. Ab tum single se married ho chuke ho.

Kartik: Are haan, sorry. Maine yeh dream kitni baar dekha hai, tumhe pata nahi hai. I love you so much, aur main yahi chahti hoon ki main har subah jab uthoon, to tumhara chehra dekhoon.

Naira: To tumhara wish poora samjho. Ab main humesha ke liye tumhari hoon.

Kartik: I love you.

Naira: I love you a lot too. Par philhaal tumhe mere lap se uthna padega. Main bahuth uncomfortable hoon. Hum gaadi mein baithkar so rahe hain.

Kartik: Haan, sorry. Vaise bhi, ghar pahunch hi chuka hai. Jab hum ghar pahunch jayenge, to hum aaram se room me akele romance kar sakte hain.

Naira: Kartik...... (Naira hits Kartik's shoulder.)

Kartik: Kya? Ab finally meri biwi bani ho. Sapne dekhkar romance nahi karna padega na.

Naira: Tum mere baare mein sapne dekhte the?

Kartik: Haan, kitni baar. Ab saare sapne poore karunga.

Naira: Haan, Haan. Theek hai. Ab andar chalte hain.

(Kartik and Naira get out of the car and go to the gate of the house, where their grahapravesh happens. After that, they enter the house.)

Dadi: Accha bachon, ab tum donon upar jao. Kuch der aaraam karo.

Naira: Ji Dadi.

Dadi: Kittu, Naira ko kamre mein le jao.

Kartik: Ji.

(Kartik takes Naira to the room. Naira enters, and suddenly Mansi comes and stands in front of the door.)

Mansi: Bhaiyya, aap andar nahi jaa sakte.

Kartik: Kyon? Yeh mera kamra hai. Ab jaane do na.

Mansi: Bhai..... Aapko itni besabri kyon ho rahi hai. Aap bas mujhe neg de dijiye, aur andar jaayiye.

Kartik: Accha, theek hai.

(Kartik takes some money from his wallet and gives Mansi.)

Kartik: Theek hai?

Mansi: Haan, abhi ke liye.

(Mansi laughs and goes down. Kartik enters the room.)

Kartik: Naira, tum theek to ho na? Kuch chahiye, to mujhe bataana.

Naira: Agar mujhe kuch chahiye hogi to main le loongi. Ab ye mera bhi kamra hai, mera bhi ghar hai. Aaj humari nayi zindagi ki shuruaat hai.

Kartik: Haan, aur main bahuth bahuth khush hoon.

(Kartik goes and hugs Naira.)

Naira: Main bhi.

(Then Kartik kneels down.)

Kartik: Naira, I really love you a lot. Maine tumse tab se pyaar kiya, jab se maine tumhe dekha hai. I love you, I love you, I love you so much.

(Naira starts laughing remembering the Switzerland proposal.)

Naira: I love you too. Last time nahi keh payi, ab keh rahi hoon. I really love you.

(Kartik stands up and goes near Naira.)

Naira: Kya kar rahe ho Kartik?

Kartik: Biwi ke saath romance.

(Kartik slowly goes close to Naira's lips, and kisses her. Naira kisses back and they kiss for the next few minutes without bothering what is happening around them. They are now together, and after so many struggles, they will never go apart.)

-------------------------------

Author's Note

I'm sorry for not posting for so long. I've been very busy. I hope you enjoyed the chapter. I have decided that this will be the last chapter, so this book is over. I hope you all enjoyed it. Please vote and comment, and thank you all for reading.

Kaira: We Will Always Find Each OtherWhere stories live. Discover now