chapter 3

1K 23 10
                                    

"Hello zubiya tum please aisa Karo asfi se milnay ajao kuke aunty abhi ghar gayee hain magar wo kuch dair mein wapis aa jaen Gi
Mein..? Kaisay?
Oho zubiya mein tumhain address send kar rahi hoon tum foran aao plz.
Jee mein...mein aati hoon..

(At hospital)

Zubiya tum agai.., gaite ne zubiya ko catch up kar liya tha dekho wo room ha tum jaoo.. Wo jaag raha ha..
Aap bhi aein na.. Zubiya ne gaite ko bola.
Aray tum pagal ho gayee ho jao tum..
Jao...

(In room)

Wo betha tha tek laga kar, uss ke maathay pe bal thay aor uss ki aankhon mein ansu mehsoos hotay thay..

Zubiya agay ki taraf barhi thi ussay uss ki majodgi ka ilm nahin tha..
Ummhmm..zubiya ne Kuch iss tarah ki awaz nikali tabhi uss ne apnay daaien taraf dekha..
Zubiya foran uss ke bed ke saath rakhi kursi par bethi thi..
Kaisay hain aap? Mein ..mujhay plz maaf kar dain...
(He didn't replied but he was seeing her with teary eyes.)

      ( There was a silence of at least 30 seconds)

Mein..mein aap ke qabil nahin hoon..

Bass.. Ab aik lafz mat bolna.
Zubiya tumhain pata ha jis din mein tumhain apni feelings ke baare mein batanay wala tha..
Mein office mein apnay kuch important papers dhoond raha tha ke mujhay tumhara CV mil gaya wohan par as a guardian kisi ka number tha , mein ne call ki thi shayad tumhari khala thin..
Unhon ne mujhay wo sab batay jo tum chupati ayee ho..

Unhon ne bataya ke tumhare man baap ka inteqal ho chuka ha..
Aor tumhare bhai ne tumhain ghar se nikaal diya..

Sab kuch jaanta hon mein tumhare baare mein aor han tumhain bas itna trust tha mujh par ke tum sab kuch sach sach bolo gi aor mein tumhain chor doon ga..

Kuch tou bharosa karti mujh par agar mein ne tumhain chorna hota tou ussi waqt chor daita tumhain purpose na karta mein sab kuch jaanney ke baad.

Aor haan tumhara pehlay shadi ke liye haan kar dena aor kuch dinon baad inkaar kar dena..

Mein tumse naaraz hoon akhir ku tumne aisa kiya? Ku jhoot bolay?

Mein...mujhay dar tha ke mein aap ko kho dungi, mein ne pehlay bohut log khoain hain aap ko khona nahi chahti thi.. Uss ki aankhon se aansu nikal rahay thay..

Mein tumse bohut piyaar karta hoon aor apni zindagi tumhare saath guzarna chahta hoon.. Asfandyar bola tha..

Mein bhi...
Zubiya ne apna sar rakha tha uss ki tangon par...

Asfandyar muskuraya tha uss ki iss harkat par...

(After silence of 10 sec)
Zubiya mere ammi thodi naraz hain tumse...
Mein janti hoon Magar aap fikar na karain mein aunty ko mana loon gi ..

Zubiya mein tumhain wo pyaar dena chahta hoon jis ki kami reh gayee tumhari zindagi mein..

Wo mukurayee thi, uss ka sar abhi bhi uss ki taangon par tha..uss ne apni aankhain band ki Hui thein..

Bass aap nay bohut bol liya, aor bohut energy waste kar li... Ab aor nahin , wo uthi thi ussay mukura kar shararti andaz mein kehtay hoay...zubiya achanak boli thi..

Zubiya uthi thi uss ne site table par rakhi file uthai thi jiss ke mutabiq ye medicine ka time tha..

Wo uthi thi muskuratay hoay, wo bahir gayee thi kamray se..

Tabhi ussay Dr. Haroon ki call ayee thi..
_______________________________________

Hello everyone! I hope you all are doing well!!
Sorry for updating so much late because of my exams!
My exams are still going and I think they will go on forever...😉
Let me know what you think about this chapter!
Promo: An unexpected conversation between Zubiya & Dr. Haroon.










Journey Of Trust ✔Where stories live. Discover now