chapter 7

857 27 7
                                    

(In the car)

Zubiya was sitting at front with asfandyar while gaite was at back.

Huh..iss ne tou mere koi tareef nahin ki...
Wo udaas baithe thi..
Aor doosri taraf asfandyar janta tha ke iss udaasi ki kia wajah ha...

(After the reception)
( In room) 10:15

Dr. zubiya mujhay thakawat mehsoos ho rahi hai, Mein sona chahta hoon.
Asfandyar sofa par jabke zubiya bed par bethi thi..
Umm..ji aap so jayen..
Aor tum?
Mein...mein..

Wo hansa tha zor se..
Dr .zubiya asfandyar aaj aap bohut khoobsurat lag rahi hain..
Itni ke mere pass alfaz nahin thay bayan karnay ke liye..

Zubiya ne apna sar jhukaya tha...
Dr. Zubiya jab aap sharmati hain, tou mujhay bohut achi lagti hain..
Zubiya  ne apnay honton ko daanton mein chabaya tha..

Asfandyar utha tha aor jaa kar bed pe uss ke sath betha tha..
Aor uss ke hath par apna hath rakha tha..aor apna kandha uss ke kandha par rakha tha..

Zubiya ne uss ki taraf dekha, Tou uss ki aankhon mein aansu thay..

Asfi kia hua? Uss ne dheemi si awaz mein poocha..
Asfandyar ne nah mein sar hilaya tha..
Zubiya hati thi , tou asfandyar ne apna sar hata liya tha..

Asfi batayen mujhay kia hua?
Ab tou uss ke aansu tapaknay lagay tha..

Zubiya mujhay bhai ki yaad arahi hai..
Kaash wo bhi yahan hotay,gaite bhabhi ke saath , kitna khush hotay..

Uss ne asfandyar ke chehray par haath rakha tha...
Uss ki aankhain bhi nam thin.
Wo keh kuch nahin sakti thi...

Asfandyar ne apna sar zubiya ki god (lap) mein rakha tha..
Zubiya ne uss ke baalon mein hath phera tha..
Zubiya pata hai, ham bohut close thay, mein apni saari baatain unn se share karta tha aor wo bhi kartay thay...
Mein bohut khush raha karta tha..
Zubiya mere engagement ho gayee thi...
Par faryal mere liye theek nahin thi,
Asfandyar ne ussay sab kuch bataya tha jo uss ke bhai ke saath hua tha, jis ki wajah se asfi ki aor faryal ki engagement tooti thi..
Zubiya ye sab kuch pehlay se jaanti thi, ussay gaite ne sab bataya tha..

Haan magar wo ye sab asfandyar ke zuban se sunnNa chahti thi..

Aaj sun liya tha usne , wo mukurai thi iss yakeen ke saath ke asfandyar ne uss par bharosa kiya , aor ussay apnay maazi se agah kiya...
Jabke zubiya ne aisa na kiya tha..
Apnay jazbat ko apnay andar dabaye rakha tha...

Asfi mein..mein aap se baat Karna chahti hoon..
Bolo...zubiya
Aap ko Dr. Haroon kaise lagtay hain?
Iss sawal ne jahan asfandyar ko pareshan kiya tha wohin hairaan bhi..

Matlab? Mein samjha nahin...
asfi jo mein ne poocha hai, uss ka jawab dain..

Achay hain, mere senior hain, respect karta hoon kaafi unn ki..
Aor khaas baat ye hai, ke unn ka sense of humor bohut acha hai..

Kia aap nahin chahtay ke gaite bhabi shaadi karlain..? Zubiya ne Dr. Haroon ki mazeed tareef na suntay hue baat kaati..

Ham tou chahtay hain zubiya par wo khud nahin chahtin...

_______________________________________

First of all a big sorry to all readers that I couldn't update earlier.
Second big sorry for such a short chapter of 510 words only.
I was busy in family weddings.
Guyz I really want you all to support me, please guyz comment so that I keep updating!
Tell me what you think about this chapter!


Journey Of Trust ✔Where stories live. Discover now